“Aik Bara Business Chhota Shuru Hota Hay” ~ Sir Richard Branson

Billionaire Richard Branson Ne Jo Kaha Wo Cent Per Cent Sahi Hay. Richard Branson Virgin Group Ke Founder Aur British Businessman Hain, Unko Group Various Sectors Main 400 Companies Control Karta Hay.

Chahay Mcdonlad, KFC Aur Starbucks Hon Ya Google, Amazon, Apple, Facebook Jesay Tech Giants. In Sab Ne Bohat Chhotay Paimanay Per Kaam Start Kiya Tha. Subway Ke Founder Fred DeLuca  Ne 17 Years Ki Age Main Sandwiches Bechnay Ka Business Chotay Scale Per Shuru Kiya Tha.

Kya Aap Apna Business Karna Chahtay Hain?

Pakistan Main Bhi Aap Ko Aisi Bohat Si Examples Mil Jayen Gi Ke Small Level Per Business Shuru Karnay Walay Ab Kamyab Businessman Ban Chukay Hain. Is Waqt Mulk Main Lakhon Chhotay Business Chal Rahay Hain Aur Wo Acha Kama Rahay Hain. Aap Bhi Small Level Per Kaam Shuru Karen Aur Wo Chal Paray Tou Mazeed Investment Kar Kay Is Ka Scale Barha Saktay Hain.

Aaiye Hum Aap Ko Batatay Hain Ke 1 Lakh Se 10 Lakh Rupay Ki Investment Se Kaun Kaun Se Chhotay Karobar Shuru Kiya Ja Saktay Hain.

1. Food Business

Raftar Bharne Do
Food Business Ghar Se, Stall Per Ya Van Main Start Kiya Ja Sakta Hay.

A. Agar Aap Kam Investment Se Food Business Shuru Karna Chahtay Hain Tou Satellite / Cloud Kitchen (Tayyar Khana Parcel Bana Kar Supply Karna), Tiffin Service, Food Catering Ka Kaam Start Kar Saktay Hain. Ya App Ghar Main Bnay Huye Cakes, Ice Cream, Cookies, Biscuits, Samosay, Kabab etc Ki Supply Ka Kaam Bhi Kar Saktay Hain.

B. Aap Kisi Lorry/Van Main Chaat, Dahi Baray, Samosay, Burger, Chinese, Sandwich, Soft Drinks, Tea/Coffee Waghera Ki Shop Bhi Set Bana Saktay Hain, Ya Kisi Gali Muhallay Main Koi Chhoti Shop Rent Per Le Saktay Hain.

C. Agar Aap Ne Apni Product Ki Quality Achi Rakhi Tou 2 Se 3 Saal Main Aap Aik Brand Ban Saktay Hain.

2. Clothing Business

Raftar Bharne Do
Clothing Business online Ya Locally Kiya Ja Sakta Hay.

A. Low-Cost Clothing Businesses Main Tailoring, Embroidery, Children's /Women's Clothing Store, Online Clothing Sales, Laundry Aur Dry Cleaning Waghera Shamil Hain.

B. Initially Aap Ghar Se Karobar Shuru Kar Ke Facebook, Daraz Aur Dusray Online Platforms Per Sell Kar Saktay Hain. Ya Koi Shop Rent Per Le Kar Local Aur Online Dono Tarah Business Chala Saktay Hain.

C. Ye Kaam Shuru Karnay Se Pehlay 6 Months Se 1 Year Tak Kisi Ke Saath Kaam Kar Ke Is Ka Experience Gain Karna Behtar Hota Hay.

3. Useful Items Ki Ghar Per Production

Raftar Bharne Do
Soaps Aur Candles Ki Tarah Bohat Si Items Ghar Main Bana Saktay Hain.

A. Is Business Main Aap Daily Use Ki Items Like Candle, Soap/Detergent, Mosquito Coil, Incense, Lace And Button, Disposable Plates/Cups, Art Pieces (Paintings Etc.), Paper, Cloth Aur Jute Bags Waghera Ghar Per Bana Kar Sale Kar Saktay Hain.

B. Khanay Ki Items Ki Tarha Aap Ye Items Bhi Facebook, Daraz, OLX Aur Dusray Venues Per Online Sell Kar Saktay Hain, Sath Hi Baray Stores Ya Shops Ko Supply Bhi Kar Saktay Hain.

4. Mobile Accessories Ka Business

Raftar Bharne Do
Mobile Accessories Ka Business Har Area Main Chalta Hay.

A. Mobile Phone Ab Har Fard Ki Zarurat Ban Chukka Hay Isi Liye In Ki Accessories Ka Business Bhi Khoob Chalta Hay. Aap Cellphone Ke Charger, Data Cable, Cover, Protector, Hands-Free, Airpods Waghera Online Ya Koi Chhoti Shop Rent Per Le Kar Sell Kar Saktay Hain.

B. Agar Aap Zyada Invest Kar Saken To Mobile Phone Ya Tablet Ki Shop Bhi Set Up Kar Saktay Hain.

5. Beauty Salon

Raftar Bharne Do
Beauty Salon Ka Business Small Scale Per Start Ho Sakta Hay.

A. Agar Aap Beautician Ya Hair Cutting Ka Course Kar Lain Tou Apnay Ghar Main Ya Kisi Shop Main Beauty Salon Khol Saktay Hain. Agar Aap Khud Kaam Na Karna Chahen Tou Skilled Worker Bhi Rakh Saktay Hain. Magar Us Surat Main Aap Ki Income Thori Kam Ho Jaye Gi.

B. Achi Service Aur Reasonable Charges Hon Tou Jald Hi Aap Ki Aik Strong Client Base Ban Jaye Gi.

7. Consulting, Coaching And Training Classes

Raftar Bharne Do
Coaching Aur Consulting Ke Business Per Bhi Zyada Investment Nahi Hoti.

A. Agar Aap Kisi Skill, Knowledge Ya Art Ke Expert Hain Tou Aap Consulting Aur Coaching Ka Business Bhi Set Up Kar Saktay Hain. Consulting Aur Training Different Areas Main Ho Sakti Hay.

B. Mathematics, English, Science Ki Teaching Se Le Kar Musical Instruments, Good Handwriting, Chess, Badminton, Investment, Health And Fitness Ki Coaching Tak Ye Field Bohat Vast Hay.

C. Aap Apna Koi Coaching/Training Center Bhi Bana Saktay Hain Ya Gharon Per Ja Kar Bhi Apni Service Provide Kar Saktay Hain.

In Tamam Small Businesses Main Bhi Competition Bohat High Hay Is Liye Highest Quality Ki Success Ka Ratio Zyada Hota Hay.

In Ke Elawa Aap t Freelancer Ke Tor Per Conten Writing/Development, Digital Information Product, Web/Software Development, Pickup And Drop, Graphic Designing, Social Media Marketing, Event Management Services, Videography, Video Editing, Propert Agent Waghera Ka Business Bhi Shuru Kar Saktay Hain.

Tou Agar Aap Bhi Achi Job Na Milnay Ki Wajah Se Pareshan Hain Tou Himmat Na Haren. Apna Business Set Karnay Ke Baray Main Sochen. Best Quality Services Aur Products Ke Saath Mehnat Aur Consistency Se Kaam Karen Tou Bohat Jald Aap Ka Business Aik Success Story Main Badal Sakta Hay.

شیئر

جواب لکھیں