FIFA World Cup 2022 Apnay End Ki Taraf Barh Raha Hay. Is Event Main Kuch Memorable Moments Aisay Samnay Aey Jo Hamesha Yaad Rahain Gay.

Iran Ka Bold Act

Iran Nay FIFA World Cup 2022 Main Apnay Pehlay Match Main Kuch Aisa Kia Jo Yaad Rakha Jaey Ga. England Kay Against Match Say Pehlay Team Nay National Anthem Nahi Parha. Is Harkat Ka Maqsad Iran Main Government Kay Khilaf Jari Protests Ki Himayat Karna Tha. Ye Muzahiray Mahsa Amini Naami Aik Larki Ki Police Custody Main Death Kay Baad Shuru Huay Thay.

FIFA World Cup 2022

Biggest Upset Ever!

Argentina Bharpur Tayyari Kay Sath Qatar Aaya Tha, Laikin Pehlay Match Main Hi Saudi Arabia Kay Khilaf Maidan Mai Aei. Saudi Team Is Event Main 2nd Lowest Ranked Team Thi. Argentina Nay Match Main Lead Bhi Li, Laikin Saudi Players Nay Sirf 5 Minutes Main 2 Goal Karkay Sab Ko Hairan Kar Dia. Ye World Cup History Ka Aisa Moment Hay Jo Hamesha Yaad Rakha Jaey Ga.

Is Jeet Ki Khushi Nay Dunya Ko To Hairan Kia Hi, Saudi Arabia Nay Bhi Zabardast Jashan Manaya. Government Nay Is Kamyabi Par Mulk Bhar Main Aik Din Ki Chhutti Bhi Di.

Germany Munh Chupata Reh Gaya

Qatar Ko Host Bananay Par West Mein Ik Toofan Khara Ho Gaya. Especially LGBT Rights Kay Naam Par Buhat Tamasha Kia Gaya. England, Wales, Germany, Belgium, Netherlands, Switzerland Aur Denmark Kay Captains Nay To OneLove Armbands Wear Karnay Ka Faisla Kia. Laikin FIFA Nay Is Ki Permission Denay Say Inkar Kardia. Jis Par Germany Nay Aik Match Mein Kuch Istara Protest Kia.

FIFA World Cup 2022

Germany Waisay Hi Japan Say Haar Chuka Tha. Phir Spain Say Bhi Nahi Jeet Saka Aur Group Stage Mein Hi Bahar Ho Gaya. Yani Munh Chhupaya, Aur Phir Munh Dikhanay Kay Qabil Bhi Nahi Raha. 🤭

South Korea Ka Tikka Ban Gaya

Cameroon Kay Khilaf Last Group Match Harnay Kay Baad Brazil Nay Round Of 16 Mein Apna Woh Game Pesh Kiya Jis Kay Liye Woh Famous Hay. South Korea Kay Khilaf Match Kay Pehlay 45 Minutes Main Hi Brazil Nay 4 Goal Score Kar Diay, Yani Apnay Jobun Per Nazar Aaya. Players Ki Sharp Movements, Attacking Play Aur Brilliant Passes Nay Dekhnay Walon Kay Dil Jeet Liye. Brazil Agerchay Quarter Final Main Haar Gaya Magar South Korea Walay Match Main Fans Ko Behtareen Football Dekhnay Ko Mili.

Ronaldo Bench Par

Round Of 16 Kay Important Match Main Portugal Ki Team Jab Switzerland Kay Against Maidan Main Uteri To Cristiano Ronaldo Sath Nahi Thay. Coach Fernando Santos Nay Ronaldo Kay Us Reaction Ka Bura Manaya Tha Jab Unhain South Korea Kay Against Match Main Bula Kar Substitute Bheja Gaya Tha.

Phir Ronaldo Ki Jaga Anay Walay Player Gonçalo Ramos Nay Hattrick Kar Kay Is Decision Ko Sahi Sabit Kardia. Portugal Yeh Match 6-1 Say Jeeta, Magar Ronaldo Ko Bench Per Bethanay Ka Faisla FIFA World Cup 2022 Kay Dauran Headlines Zaroor Bana Gaya. Baad Mein Portugal Kay Quarterfinal Haarnay Say Wo Un Greatest Players Mein Shamil Ho Gaey, Jinhon Nay Kabhi World Cup Nahi Jeeta.

Morocco Ka Magical Run

Football World Cup History Main Aisi Kai Teams Aai Hain, Jo Unforgettable Performance Day Kar Dil Jeet Laiti Hain. Is Bar Morocco Nay Aisa Kar Dikhaya Hay. Us Nay Belgium, Spain Aur Portugal Jaisi Superpowers Ko Shikast Di Aur FIFA World Cup 2022 Kay Semi Final Tak Puhanchnay Wali Pehli African Team Ban Gaya.

Ab Morocco 14th December France Kay Khilaf Semi Final Khelay Ga. Agar Aik Aur Historical Victory Hasil Ki To 18 December Ko Lusail Iconic Stadium Mein FIFA World Cup Trophy Bhi Jeet Sakta Hay. Laikin Ab Tak Ki Performance Bhi Magical Hay.

شیئر

جواب لکھیں