77 Percent Possession, 1019 Passes, 90 Percent Pass Accuracy, 13 Shots, Ye Sab Bhi Morocco vs Spain Match Mein Spain Ko Jitwa Nahi Sakay. FIFA World Cup 2022 Kay Round Of 16 Mein Morocco Nay Spain Ko Penalty Shootouts Par Hara Kar Aik Nai Tareekh Raqam Kardi Hay. Wo World Cup Kay Quarterfinals Mein Puhanchnay Wala Pehla Arab Mulk Ban Gaya Hay, 'Fakhrul Arab' Ban Gaya Hay!
Ziyad Say Ziyech Tak
Morocco Aur Spain Ki History Hay Buhat Purani Aur Sath Hi Tense Bhi 8th Century Yahi Morocco Ki Sarzameen Thi Jahan Say Muslim Commanders Uthay Aur Unhon Nay Spain Fatah Kia Tha. Ye Morocco Kay Ilaqay Tangier Kay Governor Tariq Bin Ziyad Thay, Jinhon Nay Gibraltar Strait Cross Ki Aur 711 Mein Spain Fatah Karlia. Phir Next 700 Saal Tak Spain Par Musalmanon Ka Raj Raha.
Yahi Waja Hay Ke Aaj 1300 Saal Baad Bhi Donon Mulkon Kay Ta’luqat Mein Aik Tension Nazar Aati Hay, Jo Is Match Mein Bhi Thi. Hum Nay Tariq Bin Ziyad Ko Spain Fatah Kartay To Nahi Dekha, Laikin Hakim Ziyech Ko Spain Ko Haratay Huay Zarur Dekh Lia Hay.
The Great Red Wall
Education City Stadium Mein Honay Wala Ye Match Africa Ki Aakhri Umeed Tha. Aik Din Pehlay World Cup Mein Asia Ka Raj Khatam Hua Tha, Par Africa Ki Umeed Abhi Baqi Thi. Morocco Nay World Cup Mein Abhi Tak Koi Match Nahi Haara Tha, Laikin Ab Muqabla Spain Say Tha. 2010 Kay World Champion Ka Muqabla Morocco Ki “The Great Red Wall” Say.
Spain Nay Kya Kuchh Nahi Kia? Laikin Moroccan Defence Ki Red Wall Nay Koi Ball Net Mein Nahi Janay Di. First Half Mein Opportunities To Buhat Kam Create Huin, Spain Ko Zara Open Chances Milay, Jin Ka Wo Faida Nahi Utha Saka.
Second Half Mein To Lag Raha Tha Spain Nay Sirf Attack Karna Hay Aur Morocco Nay Bus Defend. Muqabla Aggressive Spain Aur Gritty Morocco Ka Lagta Tha. Full-Time Tak Match 0-0 Say Barabar Hi Raha. Phir Morocco Ko Stoppage Time Mein 3 Chances Milay Laikin Aur Wo Kisi Ka Faida Nahi Utha Saka.
Aakhir Mein To Lag Raha Tha Spain Penalty Shootouts Mein Janay Say Bachna Chah Raha Hay, Aur Morocco Chahta Hay Ke Ma’mla Penalties Tak Jaey. Last Minute Mein Decivise Moment Aaya,Jab Spanish Substitute Pablo Sarabia Ki Kick Moroccan Goalpost Say Takra Kar Chali Gai. Kuch Hi Dair Mein Ma’mla Chala Gaya Penalty Shootouts Par, Wohi Jis Say Spain Buhat Ghabrata Hay.
Spain Aur Shootouts, Kelay Ka Chhilka
Jis Tarah Pakistani Batsman Asif Ali Kay Net Mein 150 Sixes Maidan Mein Kisi Kaam Kay Nahi, Waisy Hi Spain Ki 1,000 Penalty Shootouts Ki Practice Bhi Kuch Nahi Kar Saki.
Sarabia Nay Pehli Penalty Par Ball Phir Post Par Maar Di Aur Us Kay Baad Yassine Bounou Nay Carlos Soler Aur Sergio Busquets Ki Kicks Rok Kar Tehelka Macha Dia. Spanish Goalkeeper Unai Simón Sirf Aik Kick Hi Rok Paey. Phir Achraf Hakimi Kay Goal Nay Morocco Ko Jitwa Dia.
Spain Kay Sath Aisa Pehli Baar Nahi Hua. Wo World Cup 2002 Mein Penalty Shootouts Par South Korea Say Quarterfinal Haara Tha. Phir FIFA World Cup 2018 Kay Round Of 16 Mein Mezban Russia Say Aur Ab 2022 Kay Isi Round Mein Morocco Say Haar Gaya.
World Cup Say Hat Kar Bhi Dekhain To Spain Last Year UEFA Euro 2020 Mein Italy Say Penalty Shootouts Par Semifinal Haara Tha. Yani Ye Wo Kelay Ka Chhilka Ban Gaya Hay, Jis Par Spain Ko Phisalna Hi Parta Hay.
Bounou The Superman
Chalain Spain Ki Pehli Penalty Kick To Post Par Lagi, Laikin Jis Tarah Moroccan Goalkeeper Yassine Bounou Nay Next Donon Kicks Roki Hain, Us Par Unhain Player Nahi Hero Of The Match Kehna Chahiay. Wo Tanha Aik Banda Pooray Spain Par Bhari Parr Gaya.
Morocco Kay Jeetnay Kay Baad Maidan Mein Kaan Parri Awaz Nahi Sunai Day Rahi Thi. Saudi Arabia-Argentina Match Kay Baad Pooray Tournament Mein Itna Charged Crowd Nahi Dekha Gaya Tha.
1st Arab, 4th African Mulk
Morocco Kisi FIFA World Cup Kay Quarterfinal Tak Puhanchnay Wala Pehla Arab Aur 4th African Mulk Bana Hay. Sab Say Pehlay 1990 Mein Cameroon World Cup Quarterfinal Tak Puhancha Tha. Phir 2002 Mein Senegal Aur 2010 Mein Ghana Quarterfinal Tak Gaey. Laikin Is Say Aagay Koi Nahi Ja Saka. Kya Morocco Ja Paey Ga?
Quarterfinal Mein Morocco Ka Muqabla Hoga Spain Kay Parosi Portugal Say, Wohi Portugal Jis Nay Round Of 16 Mein Tournament Ka Apna Most Powerful Display Dia Hay. Us Nay Switzerland Ko 6-1 Say Haraya Hay. Is Liay Mushkil Zarur Hay, Laikin Morocco Kay Lia Na-mumkin Nahi.