Finally, FIFA World Cup 2022 Say Asia Ka Raj Khatam Hua. Croatia Nay Round of 16 Kay Aik Zabardast Muqablay Kay Baad Japan Ko Penalty Shootouts Par Hara Kar Tournament Say Bahar Kardia To Kuchh Hi Dair Baad Brazil Nay Apni Most Clinical Performance Dikha Ke Tehlka Macha Dia. Youn Australia Kay Baad Asian Football Confederation Ki Last 2 Teams Bhi World Cup Say Bahar Ho Gaeen. Yani, Asia Ka Patta Saaf!

Japan Ki Qismat

Japan-Croatia Match Ka Start To Buhat Aggressive Andaz Mein Hua Tha, Laikin Koi Koshish Goal Mein Nahi Badal Rahi Thi. Yahan Tak Ke First Half Key Aakhri Minutes Mein Japan Nay Goal Kardia.  Jis Kay Jawab Mein 55th Minute Mein Croatia Nay Ivan Perisic Kay ‘Golden Header’ Par Score Level Kia.

Phir To Match Dead Hota Chala Gaya. Koshishain To Hueen, Laikin Goalkeepers Nay Kisi Shoot Ko Net Mein Nahi Janay Dia. Yahan Tak Ke Extra-Time Mein Bhi Nahi, Jahan Croatian Defence Nay Kamaal Khel Pesh Kia.

Aakhir Mein Ma’mla Penalty Shootouts Tak Ja Puhancha. Jis Mein Croatia Ka Record Buhat Aala Tha Aur Unhon Nay Isay Barqarar Bhi Rakha. Japan Nay Apni 4 Mein Say 3 Penalties Miss Keen, Balkay Teenon Croatian Goalkeeper Dominik Livaković Nay Roki Theen, Jinhain Match Ka Hero Kahain To Ghalat Nahi Hoga.

Brazil Chha Gaya

Round Of 16 Kay Next Match Mein Brazil Nay South Korea Ka Urra Kar Rakh Dia. Stadium 974 Mein Ye Match Start Hotay Hi Aisay Hamlay Kiay Ke Sirf 36 Minutes Mein Hi Score 4-0 Ho Gaya. 7th Minute Mein Vini Jr., Us Kay Baad 13th Minute Mein Neymar Ka Penalty Par Aur Phir 29th Minute Mein Richarlison Ka ‘Goal Of The Tournament’ Contender Goal, South Korea Kay Defender Sirf Tamasha Hi Dekhtay Rahay.

Goal Of The Tournament?

Brazil Ka Naam Suntay Hi Neymar Ka Naam Zehn Mein Aata Hay, Laikin Is World Cup Mein Asal Performance Di Hay Richarlison Nay. 29th Minute Mein Unhon Nay Apni Unbelievable Skills Dikhatay Huay Marquinhos Ko Pass Dia Jinhon Nay Ball Ko Thiago Silva Ki Taraf Barhaya. Tab Tak Richarlison Apni Position Mein Aa Chukay Thay Silva Say Ball Miltay Hi Ball Ko Phir Goal Mein Puhancha Dia.

Is Say Pehlay Serbia Kay Against Match Mein Richarlison Nay Bicycle Kick Par Goal Kia Tha, Wo Bhi Dekhnay Laiq Tha.

36th Minute Mein Lucas Paqueta Nay Ball Ko 4th Baar Net Main Puhanchaya, Aur Is Match Ko Totally One-Sided Kardia.

South Korea Nay Apna Wahid Goal 76th Minute Mein Kia Pak Paik Seung-Ho Nay Score Kia. Laikin Ye Kafi Nahi Tha. Match Kab Ka South Korea Kay Hath Say Nikal Chuka Tha.

'Dull' Round Of 16

FIFA World Cup 2022 Ki Group Stage Mein Jitney Sansani-Khez Matches Huay, Round Of 16 Utna Hi Dull Aur Pheeka Ja Raha Hay. Kahan Wo Upsets Aur Kahan Ye One-Sided Matches? Pehlay Netherlands Nay USA Aur France Nay Poland Ko 3-1 Say Haraya. Phir England Nay Senegal Ko 3-0 Aur Argentina Nay Kuchh Sakht Muqablay Kay Baad Australia Ko 2-1 Say Shikast Di.

Haan! Japan-Croatia Match Zarur Penalty Shootouts Tak Gaya, Laikin Brazil Nay To Hadd Hi Kardi. 36 Minutes Mein 4-0? Aisa Kaun Karta Hay Bhai?

Ab Khatarnaak Kaun?

Ab Round Of 16 Bhi Apnay Final Din Tak Aa Chuka Hay. Aaj Morocco-Spain Aur Portugal-Switzerland Aamnay Samnay Hongay, Aur Is Kay Sath Hi Quartner-Finals Ki Lineup Bhi Tayar Ho Jaey Gi.

Ab Tak Jin 2 Teams Nay Behtareen Perform Kia Hay, Aur Jinhain Dekh Kar Khauf Aa Raha Hay, Wo France Aur Brazil Hain. Haan! France Nay Nay Tunisia Aur Brazil Nay Last Match Mein Cameroon Say Upset Shikast Zarur Khai, Laikin Jo Matches Jeetay, Kamaal Jeetay. Pre-Quarterfinal Mein Bhi Uni Ki Performance Nay Sabit Kia Hay Ke Wo Title Kay Liay Favourite Hain. Aap Ko Kya Lagta Hay?

شیئر

جواب لکھیں