World Cup Ka Pehla Hafta Mukammal Hotay Hi Sab Teams Nay Apna 1,1 Match Bhi Khel Lia Hay. Yani First Impression Aa Chuka Hay, Jo Last Impression Bhi Ban Sakta Hay. FIFA World Cup Round 1 Mein Kisi Team Nay To Buhat Hi Shandar Khel Pesh Kia To Kisi Nay Buhat Mayoos Kia. Aaen Dekhtay Hain, Kis Nay Kya Karnama Anjam Dia.

Dominant Display

Jin Teams Nay Ab Tak Most Dominant Display Dia Hay, Wo Spain Aur Brazil Hain.

2010 Kay World Champion Spain Nay Apnay Only Match Mein Costa Rica Ko 7-0 Say Haraya. Maana Ke Costa Rica Itni Bari Team Nahi, Laikin Itni Buri Bhi Nahi Ke 7 Goal Kha Jaey. Balkay Itnay Goal To Us Nay Apnay Last 8 Matches Mein Nahi Khaey, Jitney World Cup Kay Pehlay Match Mein Hi Parr Gaey. Spain Waqai Unstoppable Tha.

Waisay Spain Nay Kabhi Kisi World Cup Mein Itnay Margin Say Koi Match Nahi Jeeta. First Half Mein 3-0 Ki Lead Lainay Kay Baad Bhi Ruka Nahi, Thama Nahi. Balkay 90 Minutes Honay Kay Baad Bhi 2 Goals Maar Diay.

Phir Brazil Nay Jo Powerful Game Dikhaya Hay, Wo Kamal Tha. Serbia Kay Against Match Mein ‘Hot-Favourite’ Brazil Nay 2-0 Say Kamyabi Hasil Ki Aur Ye Donon Goals Kiay Richarlison Nay.

Richarlison Ka Goal To Tournament Ka Best Goal Tha. Aik Bar Nahi, Hazar Bar Dekhnay Wala. Ye Match Ka 73rd Minute Tha Jis Mein Richarlison Nay Aik Acrobatic Bicycle Kick Par Goal Kia Aur Brazil Ki Lead Double Kardi.

Baqi Is Match Mein Brazilian Strikers Ki Kitni Kicks Par Ball Goalpost Say Takra Kar Wapis Aai? Is Ka Hisab To Hum Laga Nahi Saktay.

Pathetic Starts

Agar Hum Mayoos-Kun Start Ki Baat Karain To Argentina Aur Germany Ka Hi Hoga. Aisi Teams Jinhain World Cup Kay Liay Favourite Kaha Ja Raha Tha.

Argentina World Cup Say Pehlay 36 Matches Mein Unbeaten Raha Laikin Biggest Stage Par Pehlay Muqablay Mein Hi Saudi Arabia Say Shikast Kha Betha, Wo Bhi Match Mein Lead Lainay Kay Baad. Second Half Mein Saudi Arabia Nay Counterattack Kia Aur 2 Goals Kardiay.

Aisa Match Jo Naslon Tak Yaad Rakha Jaey Ga, Saudis Bhi Rakhain Gay Aur Argentinians Bhi.

Phir Doosra Disappointing Start Tha Germany Ka, Jo Kisi Aur Say Nahi Apnay ‘Parosi’ Mulk Japan Say Haar Gaya. Bilkul Argentina Ki Tarah, Lead Lainay Kay Baad. Japan Nay Last 15 Minutes Mein 2 Goals Score Kiay Aur Aik Bara Upset Kardia.

Sab Say Zyada Mayoos Iran Nay Kia. England Kay Against Apnay Pehlay Match Mein Us Nay 6-2 Say Shikast Khai. Aik To Match Shuroo Honay Say Pehlay Hi Politicize Ho Gaya, Aur Shayad Yahi Waja Hay Ke Attention Loose Kar Gaey.

Waisay Germany Nay Bhi Kuch Aisi Hi Harkat Ki Thi. Saza Achi Mili. 😉

Match Haray, Himmat Nahi!

2022 FIFA World Cup Round 1 Mein Kuch Teams Aisi Bhi Raheen, Jo Jeeti To Nahi, Laikin Impress Zaroor Kia. Maslan Senegal, Ghana Aur Canada.

Senegal Nay Netherlands Say 2-0 Say Shikast Khai, Laikin Haqeeqat Ye Hay Ke Us Nay Buhat Muta’sir Kia. Netherlands 84th Minute Mein Pehla Goal Kia Aur Phir 90+ Mein Doosra.

Phir Canada Bhi Acha Khela. 1986, Yani 36 Saal, Kay Baad Pehli Baar FIFA World Cup Kay Liay Qualify Kia Aur First Match Mein Hi Belgium Kay Against Best Khel Pesh Kia. Canadian Players Nay Belgian Goal Par 22 Shots Lagaey, Jabke Belgium Kay Players Sirf 9 Shots Laga Sakay. Agar Canada 10th Minute Mein Penalty Zaya Na Karta To Shayad Nateeja Kuch Aur Hota.

Phir Ghana Nay Jis Tarah Portugal Ka Datt Kar Muqabla Kia, Wo Bhi Dekhnay Laiq Tha. Portugal 3-2 Say Jeet To Gaya, Laikin Jaan Halaq Mein Aa Gai Thi. First Half Mein Muqabla 0-0 Say Barabar Tha, Yani Second Half Mein 5 Goals Huay. Andaza Laga Lain, Kitna Zabardast Match Hua Hoga.

Is Match Mein Cristiano Ronaldo Nay Bhi Goal Kia. Youn Wo 5 World Cup Tournaments Mein Goal Karnay Walay History Kay Pehlay Player Ban Gaey Hain.

FIFA World Cup Round 1 Mein Tunisia Nay Denmark, Morocco Nay Croatia Aur South Korea Nay Uruguay Kay Against Match Draw Kia, Jinhain Unexpected Result Kaha Ja Sakta Hay.

شیئر

جواب لکھیں