Pele ‘The Greatest’ Say Lay Kar Aaj Lionel Messi Tak Football Dunya Kay Kai Baray Naam Hain Jinhon Nay Maidan Mein Jersey No. 10 Pehni. Aur Sirf Ye 2 Nahi, Balkay Azeem Players Ki Aik Buhat Lambi List Hay Jinhon Nay 10 Number Ko Aik Legendary Status Dia. Diego Maradona, Johan Cryuff, Michel Platini, Roberto Baggio, Zinedine Zidane, Michael Owen, Kaka, Ronaldinho Aur Wayne Rooney, In Sub Ka Jersey No. 10 Tha!

In Great Players Nay Football Ko Utnay Hi Greatest Moments Bhi Diay. Isi Liay Number 10 Football Mein ‘Greatness’ Ki Alaamat Samjha Jata Hay. Akhir 10 Number Mein Aisa Kya Hay? Aur Ye Itna Symbolic Kyun Hay? Is Ki Aik Poori History Hay.

Jersey Per Number Kyun?

Football Mein Jersey Par Number Laganay Ka Aaghaz Yahi Koi 100 Saal Pehlay Hua Tha. Is Kay Kai Reasons Thay. Pehla Ye Kay Maidan Mein Mojoud Tamashai Door Bethay Number Say Hi Player Ko Pehchan Jaen. Phir Coaches Ko Bhi Apni Technique Aur Strategy Behtar Bananay Mein Madad Milti Aur Tez-Raftar Khel Kay Douran Players Kay Liay Aik Doosray Ko Pehchan’na Bhi Aasan Ho Jata.

1 Say 11 Tak

Tab Players Ko Un Ki Position Kay Hisab Say Numbers 1 Say 11 Tak Numbers Allot Kiay Jatay Thay. In Mein Number 1 Goalkeeper Ka Hota Tha Aur Number 10 Aur 11 Forwards Kay. Yani Un Ka Jo Asal Mein Play Maker Ya Finisher Hotay Thay.

Raftar Bharne Do
(Photo: Getty Images)

Phir Jersey No. 10 Kay Players Nay Wo Karnamay Kiay Ke Ye Number Hi ‘Greatness’ Ka Doosra Naam Ban Gaya. Aaj Lionel Messi, Neymar Jr., Paul Pogba, Mesut Ozil, Luka Modric, Mario Gotze Aur Is Saal Ballon d'Or Jeetnay Walay France Kay Karim Benzema Bhi Jersey No. 10 Hi Pehntay Hain.

Cricket Mein Bhi Jersey Numbers

Mazay Ki Baat Ye Hay Ke 90s Mein Cricket Mein Bhi Shirts Par Numbers Lagaey Janay Lagay. Zarurat To Koi Nahi Thi, Aiwain Shashkay!

Jersey No. 10
(Photo: Getty Images)

Players Ko Choice Di Gai Ke Wo Apna Number Khud Choose Karain. Tab Pakistan Kay Shahid Afridi Nay Sab Say Pehlay No. 10 Lia. ‘Lala’ Apnay Pooray Career Mein Number 10 Ki Jersey Pehn Kar Khelay. Aur Jo Kaarnamay Kiay, Wo Kisi Ko Batanay Ki Zarurat Nahi.

Jersey No. 10
(Photo: Getty Images)

Cricket History Mein Sab Say Zyada Runs Bananay Walay India Kay Sachin Tendulkar Nay Start Mein To 99 Number Ki Jersey Pehni. Laikin Baad Mein Unhon Nay Bhi 10 Number Ka Intikhab Kia Aur Cricket Mein Bhi Is Jersey Ko Legendary Status Day Dia.

In Kay Ilawa South Africa Kay Great Fast Bowler Allan Donald Bhi 10 Number Ki Shirt Pehntay Thay.

Aajkal Kay Players Mein Pakistani Pacer Shaheen Afridi Aur South Africa Kay David Miller Bhi Jersey No. 10 Kay Sath Kheltay Hain. Bowling Aur Batting Mein Donon Kay Karnamay Hum Dekhtay Hi Rehtay Hain. Yani Number 10 Ki Greatness Ab Bhi Chal Rahi Hay, Football Say Cricket Kay Maidanon Tak.

شیئر

جواب لکھیں