Real Madrid Kay Karim Benzema Nay Ballon d’Or Jeet Lia Hay. Woh Ye Trophy Jeetnay Walay History Kay 5th French Player Banay Hain. Yahi Nahi Balkay Ye Aizaz 34 Saal Ki Umar Main Hasil Kar Kay Last 66 Years Kay Oldest Player Bhi Ban Gaey Hain.

Is Kay Saath Hi Lagta Hay Lionel Messi Aur Cristiano Rolando Ka Era Khatam Hua. Last 13 Main Say 12 Ballon D’ors In Donon Players Nay Jeetay Thay. Sirf 2018 Aisa Saal Tha Jis Main Real Madrid Main Benzema Kay Saathi Luka Modric Nay Ye Aizaz Jeeta Tha. Ab 2022 Kay Awards Main To Ye Haal Raha Ke Messi To Nominate Tak Nahi Huay, Jabkay Ronaldo 20th Number Par Aaey.

Benzema 10ween Martaba Ballon d’Or Kay Liay Nominate Huay Thay. Unhon Nay Last Season Main 46 Matches Main 44 Goals Kiay. Khaas Taur Par Champions League Main Un Ki Performance Ko Buhat Appreciate Kia Gaya Tha. Unhon Nay Final 16 Main Paris Saint-Germain Aur Phir Quarter Final Main Chelsea Kay Khilaf Hat Tricks Bhi Keen.

Champions League Final Main Liverpool Kay Khilaf Real Madrid Ki Kamyabi Par Hi Laug Keh Rahay Thay Ke Benzema Hi Ballon d’Or Jeetain Gay.

5th French Ballon d’Or Winner

Benzema France Kay 5th Player Banay Hain Jinhon Nay Ballon d’Or Jeeta Hay. Un Say Pehlay 1998 Main Zinedine Zidane Wo Last Player Thay Jinhain Ye Aizaz Mila. 1958 Main Raymond Kopa Nay Pehli Baar Aur Phir Michel Platini Nay 1983 Say 1985 Tak Consecutive 3 Saal Ye Award Hasil Kia Tha. 1991 Main Jean-Pierre Papin Ballon d’Or Winner Banay Thay.

Ballon d’Or Kia Hay?

Ballon d’Or Aik Annual Football Award Hay, Jo French Magazine ‘France Football’ 1956 Say Day Raha Hay. Last Year Kay Best Players Ka Faisla Sports Journalists, National Teams Kay Coaches Aur Captains Kartay Hain.

Sab Say Ziada Jeetnay Walay

Sab Say Ziada Martaba Ballon d’Or Lionel Messi Nay 7 Martaba Jeeta Hay. Unhon Nay 2009 Kay Baad Musalsal 3 Saal Aur Phir 2012, 2015, 2019 Aur Last Year Yani 2021 Main Ballon d’Or Jeeta Tha.

Un Kay Baad Cristiano Ronaldo Ka Number Hay. Jinhon Nay 2008, 2013, 2014, 2016 Aur 2017 Main Yani 5 Martaba Ye Trophy Hasil Ki.

PlayerCountryWinnerYears
Lionel MessiArgentina7 times2009, 2010, 2011, 2012, 2015, 2019, 2021
Cristiano RonaldoPortugal5 times2008, 2013, 2014, 2016, 2017
Michael PlatiniFrance3 times 1983, 1984, 1985
Johan CruyffNetherlands3 times 1971, 1973, 1974
Marco van BastenNetherlands3 times 1988, 1989, 1992

Doosray Awards

‘France Football’ Saal Kay Best Players Kay Ballon Do’r Award Kay Ilawa Doosri Trophies Bhi Deta Hay. Jesa Kay Women Players Ka Ballon D’or. Ye Aizaz Is Saal Bhi Barcelona Ki Alexia Putellas Nay Jeeta Hay.

Phir Under-21 Best Player Ki Kopa Trophy Barcelona Kay Gavi Ko Mili.

Club Of The Year Ka Aizaz Manchester City Ko Dia Gaya.

Aik New Trophy Is Saal Start Ki Gai Hay Jis Kan Naam Socrates Trophy Hay. Ye Behtareen Humanitarian Work Karnay Walay Footballer Ko Di Jaey Gi. Ye Bayern Munich Kay Sadio Mane Nay Hasil Ki Hay Jinhain Apnay Mulk Senegal Main Kaam Karnay Par Ye Aizaz Mila.

Phir Saal Kay Best Striker Ka Gerd Muller Prize Bayern Munich Hi Kay Robert Lewandowski Nay Hasil Kia.

Best Goal Keeper Ki Yashin Trophy Real Madrid Kay Thibaut Courtois Kay Naam Rahi.

شیئر

جواب لکھیں