FIFA World Cup 2022 Mein Iran Apna Pehla Match Buri Tarah Haar Gaya. England Kay Khilaf Muqablay Mein Usay 6-2 Say Shikast Hui. Laikin Asal Khabar Ye Nahi, Kuchh Aur Hay, Balkay Wo Khabar Match Say Bhi Pehlay Samnay Aai Thi. Jab Donon Teams Qaumi Taranay Kay Liay Maidan Main Aain, To Iran Football Team Nay Apna National Anthem Nahi Parha Aur Khamosh Hi Kharay Rahay. Players Ki Is Harkat Ko Iran Mein Government Kay Khilaf Protests Ki Himayat Samjha Ja Raha Hay.

Iran Mein Hua Kya Hay?

Iran Mein Last 3 Months Say Halaat Buhat Kharab Hain. September Mein Moral Police Ki Custody Mein 22 Saal Ki Aik Larki Mahsa Amini Maari Gai Thi. Jis Kay Baad Say Iran Mein Zabardast Hungamay Chal Rahay Hain. Forces Kay Sakht Crackdown Mein 100s Laug Mar Chukay Hain, Laikin Protests Mein Kami Nahi Aa Rahi. Aur Is Ka Sab Say Barra Muzahira Is Match Mein Iran Football Team Nay Kia Hay.

Kya Aisa Pehli Baar Hua Hay?

Iran Football Team Nay Aisa Pehli Baar Nahi Kia. September Mein Senegal Kay Against Aik Friendly Match Mein Bhi Players Qaumi Tarana Parhnay Kay Liay Apni National Kit Kay Ooper Black Colour Ki Jackets Pehn Kar Aaey Thay.

Is Harkat Ko Government Kay Khilaf Protest Samjha Gaya Tha. Phir Iran Ki Beach Football, Water Polo Aur Basketball Teams Nay Bhi Mukhtalif Events Mein Qaumi Tarana Parhnay Say Inkaar Kia.

Laikin Ab Mulk Ki Sab Say Famous Sports Yani Football Ki Team Ka Dunya Kay Sab Say Barray Stage FIFA World Cup Par Aisa Karna Buhat Barra Step Hay. Ye Nahi Maloom Kay Is Harkat Ka Nateeja Kya Niklay Ga?


Muhammad Ali ‘The Greatest’

Iran Football National Anthem
(Photo: AP)

Sports Ki Dunya Ka Sab Say Barra Protest Kia Sab Say Barray Player Muhammad Ali Nay.

1967 Mein Wo World Heavyweight Champion Thay Aur Dunya Mein Un Say Zyada Famous Koi Nahi Tha. Tab Vietnam War Apnay Urooj Par Thi. US Government Nay Muhammad Ali Ko Is Jang Kay Liay Fauj Mein Bharti Kar Lia, Laikin Unhon Nay Jang Par Janay Say Inkaar Kardia. Muhammad Ali Kehtay They Ye Jang Un Kay Muslim Believes Kay Khilaf Hay Aur Wo Is War Ko Theek Nahi Samajhtay.

Is Par Muhammad Ali Say Un Kay Sub Titles Aur Medals Chheen Liay Gaey. Balkay Fighting License Bhi Cancel Kar Dia Gaya. Saalon Tak Wo Aik Fight Bhi Nahi Kar Sakay. Yahan Tak Ke 1971 Mein US Superme Court Nay Un Kay Haq Mein Faisla Kardia. Muhammad Ali Nay 1975 Mein Apna Khoya Hua Heavyweight Title Wapis Lia.

Muhammad Ali Ko ‘The Greatest’ Sirf Is Liay Nahi Kehtay Ke Wo Barray Boxer Thay, Balkay Is Liay Bhi Kehtay Hain Ke Wo Barray Insaan Thay. Ye Qadam Is Baat Ko Zahir Karta Hay.


Black Power Salute

Iran Football National Anthem
(Photo: Getty Images)

Muhammad Ali Par Ban Aur Phir America Mein Civil Rights Movement Kay Leader Martin Luther King Jr. Kay Qatal Kay Baad Aik Aur Waqia Pesh Aaya. Ye 1968 Kay Mexico City Olympics Thay, Tommie Smith Aur John Carlos Nay 200m Sprint Mein Gold Aur Bronze Medals Jeetay. Medals Lainay Kay Baad Jab America Ka National Anthem Bajaya Gaya, To Unhon Nay Seenay Par Haath Rakhnay Kay Bajaey ‘Black Power Salute’ Kia. Maqsad Tha America Mein Blacks Aur Doosri Minorities Ki Haalat Par Protest Karna. Maidan Mein Hi Donon Players Kay Khilaf Sakht Naaray-Bazi Hui. Baad Mein Unhain Olympics Say Nikaal Dia Gaya. Donon Par Buhat Tanqeed Ki Gai, Media, Government Sab Un Kay Khilaf Ho Gaey, Laikin Wo Tareekh Mein Amr Ho Gaey. 


Zulm Ka Parcham

Iran Football National Anthem
(Photo: AP)

Chris Jackson 90s Kay Aik Famous US Basketball Player Thay. Unhon Nay Islam Qubool Kia Aur Apna Naam Mahmoud Abdul-Rauf Rakh Lia. Denver Nuggets Ki Taraf Say 2 Seasons Mein Shandar Performance Di Aur Kai Records Bhi Banaey. Laikin Un Kay Aik Protest Nay Dunya Ko Hairan Kardia.

1996 Mein Abdul-Rauf Nay NBA Kay Matches Mein National Anthem Par Kharray Honay Say Inkaar Kardia. Un Ka Kehna Tha Ke Wo Is Parcham Ko Zulm Ki Alamat Samajhtay Hain. Aur USA Aik Na-Jaiz Jabir Hukoomat Hay.

Is Harkat Par Pehlay To Unhain 1 Match Kay Liay Suspend Kia Gaya. Baad Mein Taranay Par Kharray Honay Par Razi Karlia Gaya. Laikin Unhon Nay Kaha Ke Wo Is Qaumi Taranay Kay Dauran Sar Jhuka Kar, Aankein Band Kar Kay Dua Karain Gay, Seenay Par Hath Nahi Rakhain Gay.

Is Qadam Nay Abdul-Rauf Kay Career Ko Buri Tarah Muta’sir Kia Aur Wo Is Kay Baad Sirf 3 NBA Seasons Hi Khel Sakay.

Taking The Knee!

Iran Football National Anthem
(Photo: Getty Images)

2016 Mein US National Anthem Kay Dauran American Footballer Colin Kaepernick Nay Aik Aisa Qadam Uthaya, Jis Nay Dunya Ka Hila Kar Rakh Dia. Unhon Nay Qaumi Taranay Par Kharay Honay Ka Bajaey Aik Ghutnay Par Bethnay Ka Intikhab Kia, Aur Kaha Ke Wo Aisay Mulk Kay Parcham Par Fakhar Mehsoos Nahi Kar Saktay Jo Blacks Par Zulm Karta Hay.

Ye Anti Racist Statement Ab Football Say Cricket Tak Sport Ki Dunya Ka Maqbool Tareen Symbol Ban Chuka Hay.

شیئر

جواب لکھیں