Parveen Rahman, Us Kay Kai Jurm Thay, Kai Ghaltian Theen, Jis Ki Waja Say Jaraim Paisha Afrad Ko Majboran Usay Qatal Hi Karna Para.
Pehla Jurm
Dhaka Kay Mushkil Tareen Halat Main Pakistan Say Mohabat Pehla Jurm Tha. Mashriqi Pakistan Kay Khatmay Kay Baad Ye Apni Family Kay Sath Karachi Shift Ho Gaeen.
Doosra Jurm
Parveen Nay Architecture Main Graduation Kay Baad Aik Roshan Mustaqbil Ki Bajaye Karachi Kay Har Lower Middle Class Kay Ghar Kay Sapnay Ko Sach Karnay Ka Faisla Kia. Orangi Pilot Project Main Internship Say Aghaz Kia Aur Samaji Khidmaat Ki Waja Say 1988 Main Isi Idaray Main Hi Director Ban Gayen.
Teesra Jurm
Parveen Rahman Karachi Ka Pani Karachi Kay Awam Ko Dainay Ki Bohat Bari Himayti Theen. Woh Illegal Water Hydrants Kay Naa Sirf Shadeed Khilaaf Theen, Balkay Unki Fehrist Bhi Bana Raheen Theen. Ilaqay Main Pani Chori Karnay Walay “Muhibb-E-Watan” Parveen Say Buhat Tang Thay.
Chautha Jurm
Parveen Rahman Ilaqay Mian Syasi Pusht-Panahi Main Qabza Mafia Kay Bhi Shadeed Khilaf Theen. Wo Un Zameenon Ka Survey Bhi Kar Rahen Theen Jin Par Na-Jaiz Qabza Kia Giya Tha.
Sab Say Bara Jurm
In Sab Jaraim Kay Sath Parveen Ka Sab Say Bara Jurm Ye Tha Kay Woh Darti Nahi Theen. Jis Shehr Main, Police, Adlia, Sarkar, Awaam Sab In Jaraim-Paisha Mafia Say Khauf-Zada Haun, Aisay Main Bahadur Hona Bhi To Jurm Hay, Awaz Uthana Bhi To Jurm Hay. 2011 Main Parveen Rahman Nay Aik Interview Main Bahria Town Kay Malik Riaz, Dr. Farooq Sattar Aur Anp Kay Muqami Rehnuma Raheem Swati Ka Zikar Kia Tha. Jo Interview Bhi Tab Samnay Ayaa Jab Parveen Zinda Naa Raheen. Raheem Swati Par Ilaqay Main Illegal Water Hydrant Aur Zameenon Par Qabzay Ka Ilzaam Tha.
Parveen Rahman Yeh Sab Us Waqt Kar Rahi Theen Jab Karachi Main Laa-Qanooniat Ka Raaj Tha. Aur Manghopir Road To Itna Badnaam Tha Ke Police Bhi Jaraim-Paisha Afrad Ki Ijazat Say Dakhil Hoti Thi.
Qatal-E-Parveen Ka Faisla
In Sab Jaraim Kay Sath Parveen Nay Qabza Mafia Ko Apna Daftar Dainay Say Inkar Ka Jurm Bhi To Kia Tha. Bar Bar Israr Par, Bar Bar Inkaar!
In Sab “Jaraim” Ki Roshni Main, Raheem Swati Aur Doosray Afrad Ki Aik Meeting Main Faisla Hua Ke Bas Buhat Ho Gaya! Ab Mazeed Bardasht Nahi Kia Ja Sakta. Itni Bahadur Khatoon Ko Karachi Main Jeenay Ka Koi Haq Nahi.
13 March 2013
Parveen Rahman Shaam 7 Bajay Kay Qareeb Office Say Ghar Kay Liye Nikleen To Aik Ujrati Qatil Qari Bilal Nay Firing Kar Kay Karachi Ki Beti Ko Maut Kay Ghaat Utar Dia. Driver Zakhmi Parveen Ko Hospital Lay Kar Gaya, Magar Shehr Main Bahaduri Ki Alamat Samjhi Janay Wali Parveen… Rahman Kay Pass Puhanch Chuki Theen.
Aglay Hi Roaz, Police Nay Aik News Conference Main Bataya Kay Ujrati Qatil Bilal Police Muqablay Main Mara Gaya. Bilal Kay Marnay Kay Sath Hi Kai Aham Suboot Khatam Ho Gaye.
2015 Mein Police Nay Khyber Pakhtunkhwa Kay Shehr Mansehra Say Ahmad Khan Pappo Ko Giraftar Kiya Aur 2016 Main Raheem Swati Aur Uskay Sathion Ko Giraftar Kar Liya. In Sab Nay Police Kay Samnay Qatal Ki Mansooba-Bandi Ka Aitraaf Kia.
2021 Mein Parveen Rahman Kay Qatal Kay Jurm Main Raheem Swati, Amjad Hussain, Ayaaz Swati Aur Ahmed Hussain Ko 2,2 Baar Umar Qaid Ki Saza Sonai Gai.
Aur Phir Aa Gaya 21 Nov 2022. Sindh High Court Nay Adam-Suboot Ki Bina Par Tamam Mulzimaan Ko Ba-Izzat Bari Kar Dia.
Is Case Ki Sab Say Bari Haqeeqat Yeh Hay Kay Awaaz Uthaanay Par Parveen Ko Qatal Kar Dia Gaya. Magar Hum Sab… Hum Sab… Parveen Kay Qatilon Ko Na Pakarr Sakay. Parveen Hamaray Liye Lartay Lartay Mar Giye…
Magar, Hum Sab, Hum Sab, Sab Kuch Jantay Huay Bhi Khamoosh Hain!
Parveen Rahman Ko To Goli Maar Kar Khamosh Kia Gaya…
Hum Sab Bina Goli Khaye Hi Khamosh Hain.