QatarEnergy Ne China Ki Company Sinopec Ke Sath 27-Saal Ke Liye Liquified Natural Gas (LNG) Ki Supply Ki Deal Sign Karli. Ye Ab Tak Ki Sab Se Badi Aur Lambi Deal Hai.

 “Aaj Ka Din Hamare Liye Ek Milestone Hai Kyun Ke Hum Ne 27 Saal Tak China Ko 4 Million Tonnes Per Annum LNG Supply Karnay Ke Liye Deal Sign Ki Hai. QatarEnergy Chief Saad Al-Kaabi Ne Kaha.

The North Field, Dunya Ki Bari Se Bari Gas Field Mein Shumar Huta Hai Jo Qatar Iran K Sath Share Karta Hai Jisko Share Of South Pars Kaha Jaata Hai.

QatarEnergy Ne North Field East (NFE) Ke Liye Is Hi Saal Aur Mazeed 5 Deals Sign Ki Hai Jin Mein Se 2 Sab Se Bada Phase Hai Jo North Field Expansion Plan Ka Hissa Hai. Ismein 6 LNG Trains Hein Jo Qatar Ki Liquefaction Ko Har Saal 2077 Tak Ramp Up Kareingi 126 Million Tak  Jo Ke Abhi 77 Million Hai.

Baad Mein 3 Aur Contracts NFE Ki Expansion Ke Liye Pakke Kiye Gaye Hein.

Sinopec Aur QatarEnergy Ki Ye Ek Wahid Deal Hai Jo Announce Ki Gai Hai NFE Ke Liye.

Qatar China Gas Deal Ki Significance Kiya Hai?

Is Saal Feburary Mein Jab Russia Ne Ukraine Pe Hamla Karna Shuru Kiya Tha , Tab Se Ab Tak LNG Ke Competition Mein Garma Garmi Ho Gayi Hai . Russia Ne Takreeban 40% Gas Ki Pipeline Europe Ko Provide Ki Thi Jiska Alternative Dhunda Jaraha Tha.

Qatar Jo Ke Dunya Mein LNG Ka Top Exporter Hai Wo North Field Expansion Plan Ke Zariye Apni Position Aur Value Ko Boost Kar Sake Ga Aur Europe Ko Gas Ki Long-Term Supply Ki Guarantee De Sake Ga.

شیئر

جواب لکھیں