Morocco Portugal Ko Hara Kar FIFA World Cup 2022 Kay Semifinal Mein Puhanch Gaya Hay, Aur Agar Koi Is Result Ko Upset Kehta Hay To Shayad Us Nay World Cup Mein Morocco Ki Performance Nahi Dekhi. Wo Team Jo Croatia Kay Sath Draw Khelnay Kay Baad World No. 2 Belgium Aur Phir Round Of 16 Mein Spain Ko Hara Chuki Ho, Us Ki Jeet Ko Ab Upset Nahi Kehna Chahiye. Kya Khayal Hay? 

Waisay Ye Baat Hay Ke World Cup Say Pehlay Socha Kisi Nay Nahi Socha Hoga Ke Semifinal Stage Tak Undefeated Rehnay Wali Teams Mein Say Aik Morocco Ki Hogi. 

Pehla Arab, Pehla African

Portugal Kay Khilaf 1-0 Say Tareekhi Jeet Kay Sath Morocco History Ka Pehla Arab Balkay First African Mulk Bhi Ban Gaya Hay Jo Kisi FIFA World Cup Kay Semifinal Mein Puhancha Hay. Aaj Say Pehlay Sab African Countries Ki Kahani Quarterfinal Mein Hi Khatam Hui Thi, Chahay 1990 Mein Cameroon Ho, 2002 Mein Senegal Ya Phir 2010 Mein Ghana. Koi World Cup Kay Final-4 Tak Nahi Puhanch Saka Tha. Ye Aizaz Ab 2022 Mein Morocco Ko Mila Hay. 

Round Of 16 Mein Spain Aur Ab Us Kay Parosi Portugal Ko Hara Kar Morocco Nay Goya Conquest Of Hispania Mukammal Karli Hay Aur Is Ka Jashan Sirf Morocco Aur Arab World Mein Nahi, Balkay Dunya Bhar Kay Musalmanon Nay Manaya Hay. 

Only Goal

Morocco vs Portugal Quarterfinal Ka Wahid Goal 42nd Minute Mein Youssef En-Nesyri Nay Kia. Yahia Attiyat Allah Kay Cross Par Unhon Ka Zabardast Leap Kaam Kar Gaya, Jis Say Wo Portuguese Goalkeeper Aur Defender Donon Ko Beat Karnay Mein Kamyab Rahay Aur Header Par Goal Score Kardia.

Waisay Morocco Nay Apnay Last Donon Matches Mein Buhat Hi Defensive Khel Pesh Kia, Especially Goal Karnay Kay Baad. Match Kay ¾ Hissay Mein (74%) To Possession Portugal Kay Paas Raha. Laikin 12 Shots Mein Bhi Wo Goal Na Kar Saka. Is Mein Jahan Kuch Kamal Moroccan Goalkeeper Yassine Bounou Ka Tha To Kuch Qismat Bhi Morocco Kay Sath Thi. 93rd Minute Mein Walid Cheddira Ko 2nd Yellow Card Kay Baad Maidan Say Bahar Bhej Dia Gaya. Jis Kay Baad Last 6 Minutes Morocco 10 Players Kay Sath Khela.

Semifinal Tak Ka Safar 

Morocco Nay Is World Ka Start Hi Zabardast Kia Tha. Unhon Nay Last World Cup Kay Runner Up Croatia Kay Khilaf Draw Khela. Is Kay Baad To Wo Top Gear Mein Chalay Gaey. Isi Al Thumama Stadium Mein Unhon Nay Belgium Ko Shikast Di. Abdelhamid Sabiri Kay Freekick Par Goal Nay Lead Dilai Jo Last Moments Mein Zakaria Aboukhlal Nay Double Kar Kay Match Ka Khatma Kardia. 

Canada Kay Against Last Group Match Mein Morocco Nay 2-1 Say Kamyabi Haasil Ki Aur Next Round Mein Puhanch Gaya. Jahan Us Ka Muqabla 2010 Kay World Champion Spain Say Tha. Phir Aik Most Memorable Match Hua Jis Mein Atlas Lions Nay Penalty Shootouts Par Spain Ko 3-0 Say Haraya. Yassine Bounou Hero Ban Kar Samnay Aaey. 

Ronaldo Ka Safar Khatam 

Brazil Kay Neymar Jr. Kay Baad World Cup Mein Aik Aur Modern Day Great Ka Safar Khatam Hua. Portugal Kay Star Cristiano Ronaldo Next Player Banay Hain Jin Ki Team Quarterfinal Mein Hi Bahar Ho Gai. Youn Donon Kay World Champion Ban’nay Kay Khwab To Khatam Ho Gaya Hay. Ye 37 Years Kay Ronaldo Ka Last FIFA World Cup Tha, Youn Wo Un Greats Mein Shamil Ho Gaey Hain, Jin Kay Naseeb Mein World Cup Nahi Tha. 

Ab Kya Hoga? 

Morocco 14th December Ko France Kay Khilaf Semifinal Khelay Ga. First Semifinal Mein Croatia Aur Argentina Aamnay Samnay Hongay. In Donon Matches Mein Jeetnay Walay 18 December Ko Lusail Iconic Stadium Mein FIFA World Cup Trophy Kay Liay Final Battle Larain Gay. 

شیئر

جواب لکھیں