Finally Cristiano Ronaldo Ka World Cup Mein Safar Khatam Hua. Morocco Kay Hathon Aik Tareekhi Shikast Khanay Kay Baad CR7 Rotay Huay Maidan Say Wapis Aaey Aur Shayad Ab Dubara Kabhi FIFA World Cup Na Khel Sakain. 37 Saala Ronaldo Nay 2006 Say 2022 Tak 5 World Cup Khelay, Laikin Portugal Kabhi Top 3 Mein Bhi Nahi Aa Saka. 

Youn Ronaldo Bhi Un Players Mein Shamil Ho Gaey Hain, Jo Kabhi World Cup Nahi Jeet Sakay. To Aisay Kaun Say Players Hain Jo Great, Balkay Greatest Thay, Laikin Kabhi World Cup Ki Khoobsurat Trophy Un Kay Hath Nahi Lagi, Aayen Aap Ko Batatay Hain: 

Eusebio 

Pehla Naam To Ronaldo Kay Portugal Say Hi Eusebio Ka Hay. Portugal Ko 1966 FIFA World Cup Kay Semifinal Tak Puhanchanay Walay Eusebio Nay Us Match Mein England Kay Khilaf 1 Goal Bhi Kia Tha. Laikin Jeet Nahi Saka. Portugal Nay Apni History Ki Best Performance Usi World Cup Mein Di Thi, Jab Wo 3rd Position Par Aaya. Eusebio Nay Is Tournament Mein 9 Goals Kiay, Laikin Portugal Ko Champion Na Bana Sakay. 

Ferenc Puskas 

Hungary Ki Golden Team, Jisay Mighty Magyars Kehtay Thay, Kay Member Ferenc Puskas. Wo Team 5 Saal Tak Unbeatable Rahi, Laikin 1954 Kay Final Mein West Germany Say Haar Gai. Puskas Us Match Mein Zakhmi Honay Kay Bawujood Khelay, Aik Baar Goal Ko Net Mein Bhi Phenka Laikin Offside Qarar Diay Gaey. Hungary Phir Kabhi World Cup Mein Quarterfinal Say Aagay Nahi Ja Saka. 

Lev Yashin 

Soviet Union Kay Greatest Goalkeeper, Jo ‘The Black Spider’ Kay Nickname Say Famous Thay. 4 World Cup Khelay, 3 Martaba Soviet Union Quarterfinal Aur Aik Bar Semifinal Tak Puhancha, Laikin Jet Nahi Saka. Yashin World Cup Jeetnay Ka Khwab Aankhon Main Liay Football Chhor Gaey. 

Johan Cruyff 

Netherlands Kay Great Player, Balkay 20th Century Kay Greatest European Player Johan Cruyff. Aisay Player Ke Jis Match Mein Goal Kartay, Dutch Team Wo Muqabla Kabhi Na Haari. 1974 Kay World Cup Mein Player Of The Tournament Rahay, Laikin Final Mein Score Na Kar Sakay. West Germany Nay World Cup Ki New Trophy Uthai. 1978 Kay World Cup Say Pehlay Cruyff Retire Ho Gaey. Youn Dil Mein World Cup Ka Armaan Hi Raha. 

Zico 

Wo Zico Jinhain ‘White Pele’ Kaha Jata Tha. Brazil Ki History Kay Top 5 Scorers Mein Shamil Hain, Laikin Mulk Kay Liay Tab Khelay Jab Team Koi World Cup Na Jeet Sakay. Zico Nay 1978, 1982 Aur 1986 Kay World Cup Khelay Laikin Final Tak Bhi Nahi Puhanch Sakay. 

Michel Platini 

The Greatest French Player Ever, Consecutive 3 Saal Tak Ballon d’Or Jeetnay Walay Platini Nay 1982 Aur 1986 Kay World Cup Khelay, Laikin Semifinal Say Aagay Nahi Ja Sakay. 

Roberto Baggio 

Italy Kay Aik Great Player, FIFA Player Of The Century Kay Poll Mein 4th Number Par Aaey They. 56 Matches Khelay Laikin 1990, 1994 Aur 1998 Mein World Cup Khelnay Kay Bawujood Kabhi Trophy Nahi Utha Sakay. 1994 Mein To Buhat Qareeb Bhi Puhanchay, Laikin Penalty Shootouts Mein Unhi Say Penalty Miss Hui, Aur World Cup Brazil Jeet Gaya. Apnay Unique Hairstyle Ki Waja Say Unhain 'The Divine Ponytail' Kaha Jata Tha.

David Beckham 

England Kay Beckham Kisi Ta’ruf Kay Mohtaj Nahi. Freekicks Kay Ustad Aur Apnay Zamanay Ki Most Famous Sports Personality Thay. Laikin World Cup Kabhi Nahi Jeet Sakay. 1998, 2002 Aur 2006 Mein Khelay, Par Quarterfinal Say Aagay Kabhi Nahi Ja Sakay. 

Raul 

Spain Kay Best Player, Balkay Apnay Waqt Kay Dunya Kay Behtareen Forward. 3 World Cup Khelay Laikin Qismat Nahi Chali. 1998 Mein Spain Apna Pehla Match Hi Nigeria Say Haar Gaya Aur 1st Round Hi Mein World Cup Say Bahar Ho Gaya. 2002 Mein Usay Quarterfinal Mein South Korea Say Aik Upset Shikast Hui. Phir 2006 Mein Group Mein Top Karnay Kay Baad Knockout Round Kay Pehlay Match Say Hi Out Ho Gaey. Raul Ka World Cup Jeetnay Ka Khwab Bus Khwab Hi Raha. 

Zlatan Ibrahimović

Aik Aur Modern Day Legend, Ibrahimović Nay 2002 Aur 2006 Kay World Cup Khelay. Pehlay Round Of 16 Mein Sweden Senegal Say Haara Aur Phir 2006 Mein Isi Round Mein Germany Naya Hara Dia. 2010 Mein Ibrahimović To Khel Rahay Thay, Laikin Sweden World Cup Kay Liay Qualify Hi Nahi Kar Saka. 

To Ye Thay Kuch Azeem Players Jinhain Kabhi Apnay Khwab Ki Tabeer Nahi Mili. FIFA World Cup 2022 Mein Bhi Abhi Kuch Players Aisay Baqi Hain, Jaisa Ke Lionel Messi Jo Legendary Status To Rakhtay Hain Laikin Kabhi World Champion Nahi Banay. Dekhtay Hain Kay Jatay Jatay World Cup Trophy Utha Sakain Gay Ya Nahi. 

شیئر

جواب لکھیں