Ye Hay Dunya Ki Most Famous Trophy, FIFA World Cup. Jisay Hasil Karna Har Footballer Ka Khwab Hota Hay. Is Khwab Ko Poora Karnay Ka Aik Aur Mauqa Aaya Hay Aur Dunya Bhar Kay Footballers Jama Ho Rahay Hain Qatar Mein. Jahan 22nd World Cup 2022 Shuroo Honay Hi Wala Hay. Is World Cup Kay Matches 20th November Say Khelay Jaen Gay. Aur Phir 18 December Ko Lusail Iconic Stadium Mein Ye Trophy Kisi Aik Captain Ko Di Jaey Gi.

Is Khoobsurat FIFA World Cup Trophy Ka Weight Hay 6.1 Kilograms. Aur Ye 18 Carat Gold Say Banai Gai Hay. Laikin Is ki Sirf Physical Value Nahi, Historical Significance Bhi Buhat Zyada Hay. Itni Zyada Ke Is Trophy Ko Priceless Kehna Chahiye.

Purana World Cup

Dastaan FIFA World Cup Trophy Ki
Azeem Footballer Pele Replica Jules Rimet Trophy Kay Sath (Photo: Getty Images)

Ye Trophy 1974 Mein Banai Gai Thi. Laikin FIFA World Cup To 1930 Say Khela Ja Raha Hay. To Us Say Pehlay World Champion Ko Kya Milta Tha? Jee Haan! 1974 Say Pehlay Doosri Trophy Di Jati Thi. Us Ki Story Bhi Ajeeb Hay. Aaen, Aap Ko Bataen.

1930 Main Jab Uruguay Mein Hua Tha Jis Ko Jeetnay Wali Team Ko Ye Trophy Di Gai Thi. Isay ‘Victory’ Kaha Jata Tha, Kyunkay Is Par Greek Goddess Nike Bani Hui Thi, Jo Kamyabi Ki Devi Samjhi Jati Thi. Khair, Baad Mein Is Trophy Ko FIFA President Jules Rimet Ka Naam Dia Gaya. Ye Trophy Gold Plated Silver Say Bani Hui Thi, Jis Ka Wazan Tha 3.8 Kilograms.

Jab Brazil 1970 Mein Teesri Baar World Champion Bana To Waday Kay Mutabiq Ye Trophy Brazil Ko Hi Day Di Gai. Yun Jules Rimet Trophy Ka As A World Cup 40 Saal Ka Safar Khatam Hua.

Afsos Ki Baat Ye Hay Ke Jules Rimet Trophy Ka Anjam Buhat Bura Hua. Ye Trophy December 1983 Mein Brazilian Football Confederation Kay Office Say Chori Ho Gai. Aur Aaj Tak Nahi Mili.

Naya World Cup

Khair, 1974 Mein World Cup West Germany Mein Hua. Is Kay Liay New Trophy Design Competition Karwaya Gaya. 53 Designs Samnay Aaey Laikin Jeeti Ye Trophy Jisay Aaj Main, Aap, Balkay Hum Sub Achhi Tarah Jantay Hain.

18 Carat Gold Ki Ye 14.4 Inch Tall Trophy Italy Kay Silvio Gazzaniga Nay Design Ki Thi. Is Trophy Ki Base Kay Nichlay Hissay Par Har World Cup Jeetnay Wali Team Ka Naam Likha Jata Hay.

Shuroo Mein To Ye World Cup Har Jeetnay Wali Team Ko Day Dia Jata Tha. Laikin Brazil Mein Purani World Cup Trophy Chori Honay Kay Baad Ye Silsila Khatam Kar Dia Gaya. Ab World Cup Jeet Kar Bhi Winner Ko Replica Trophy Hi Milti Hay. Jo Gold Nahi Balkay Gold Plated Bronze Ki Hoti Hay. Kitnay Afsos Ki Baat Hay!

Waisay Germany Nay 1974 Kay Baad 1990 Aur 2014 Mein Bhi World Cup Jeeta The. Jules Rimet Trophy To 3 Martaba Jeetnay Par Brazil Ko Day Di Gai Thi, Laikin Is World Cup Kay Liay Aisa Koi Wada Nahi Kia Gaya Tha. Is Liay Ye Trophy Germany Ko Nahi Mili, Balkay FIFA Ki Milkiyat Hay Aur Switzerland Mein Us Kay Headquarter Mein Rehti Hay.

شیئر

جواب لکھیں