Pakistan Kay Debutant Spinner Abrar Ahmed History Ko Rewrite Kar Saktay Hain, Balkay Us Ki Janib Pehla Milestone To Uboor Kar Hi Lia Hay. Multan Test Match Main 10 Wickets Lay Ker Wo Pakistan Cricket Ki Tareekh Mein Debut Par 10 Wickets Lainay Walay 2nd Bowler Ban Gaey Hain.

Abrar Nay England Kay Khilaf Pehli Innings Main 7 Wickets Li Theen, Aur Ab 2nd Day Kay Khatam Honay Tak Doosri Innings Main Bhi 3 Wicket Lay Chukay Hain. Yani Pehlay Hi Match Main Ten-Wicket Haul.

Un Ki Performance Ki Waja Say Multan Test Faisla-Kun Morr Par Agaya Hay. Dono Teams Nay Apni Pehli Pehli Innings Mukammal Kerli Hay.

Dosray Din Khel Kay Ikhtetam Per England Nay 202 Runs 5 Wicket Kay Nuqsan Per Score Kiye. Abrar Nay Dosri Innings Main 3 Wicket Hasil Kiye. Pehli Innings Main Abrar Nay 7 Wicket Liye Thay.

England Tour of Pakistan 2022 - 2nd Test

Pakistan vs England

9-13 December 2022

Multan Cricket Stadium, Multan, Pakistan

Raftar Bharne Do ENG1st Innings281
Ben Duckett63 (49)Abrar Ahmed7-114
Ollie Pope60 (61)Zahid Mahmood3-63
Raftar Bharne Do PAK1st Innings202
Babar Azam75 (95)Jack Leach4-98
Saud Shakeel63 (106)Joe Root2-23
Raftar Bharne Do ENG2nd Innings202-5
Ben Duckett79 (89)Abrar Ahmed3-81
Harry Brook74* (108)Faheem Ashraf0-12

Abrar Ahmed, Pakistan Kay Pehlay Spinner Aur Doosray Bowler Hain Jinhon Nay Debut Per 10 Wicket Hasil Ki Hain. Wo World Cricket Kay 18th Bowler Hain Jinhon Nay Debut Per 10 Ya Zyada Wickets Li Hon.

Pakistan Ki Taraf Say Ab Tak Sirf Mohammad Zahid Aisay Bowler Thay, Jinhon Nay Debut Par 10-fer Lia Tha. Unhon Nay November 1996 Main New Zealand Kay Against Rawalpindi Mein Debut Par 130 Runs Day Kar 11 Khilari Out Kiay Thay.

Ab 26 Saal Baad Abrar Aaey Hain, Jinhon Nay Test Cricket Main Qadam Rakhtay Hi Tehlka Macha Dia. Unhon Nay Pehlay Din Kay Pehlay Hi Session Mein 5 Wickets Hasil Keen Aur Youn Record Book Main Apna Naam Likhwa Lia.

Pakistani Bowlers Ka Record

Debut Par 5 Ya Zyada Wickets Lainay Walay Pakistani Bowlers Mein Abrar Ka Number 13th Hay.

Abrar Say Pehlay Nauman Ali, Bilal Asif, Tanvir Ahmed, Wahab Riaz, Yasir Arafat, Shabbir Ahmed, Mohammad Sami, Shahid Afridi, Mohammad Zahid, Shahid Nazir, Mohammad Nazir Aur Arif Butt Yeh Aizaz Apnay Naam Ker Chukay Hain. Laikin First Debut Test Mein Girnay Wali First 5 Wickets Lainay Ka Karnama Sirf Abrar Ka Hi Hay.

Abrar Yahan Tak Kaisay Puhanchay?

Abrar Ahmed Khyber Pakhtunkhwa Kay Ilaqay Shinkiari Main Paida Hoay. Unhon Nay Apni Zyada-Tar Cricket Karachi Main Kheli Hay. Former Captain Sarfraz Ahmed Nay Sindh Ki Team Main Un Kay Hunar Ko Mazeed Nikhara .

24 Saal Kay Abrar Hafiz-e-Quran Bhi Hain Aur Dars-e-Nizami Ki Taleem Bhi Hasil Kar Chukay Hain. Ki Aur Karachi Kay Area Patel Para Main Rehtay Hain.

Khair, Multan Main England Ki Batting Abhi Jari Hay. 3rd Day Par England Ki Baqi 5 Wickets Main Say Agar Abrar 2 Wickets Bhi Lay gaey To Woh Pakistan Ki Taraf Say Debut Per 12 Wickets Hasil Karnay Walay Pehlay Bowler Ban Jayen Gaye. Iss Liye, Picture Abhi Baqi Hay Meray Dost!

شیئر

جواب لکھیں