Pakistan Kay Naujawan Bowler Abrar Ahmed Nay Debut Test Kay Pehlay 2 Hours Main Hi Aisay Records Bana Diye Hain Jin Ka Koi Bowler Sirf Khwab Hi Daikh Sakta Hay. Abrar Ki Spin Bowling Kay Samnay Multan Main English Batters Ka Jadu Na Chal Saka, Aur Unhaon Nay Phelay Hi Match Key Pahlay Hi Din, Balkay Pehlay Hi Session Main 5 Wickets Lai Ker Tareekh Raqam Kardi.

Multan Main England Nay Toss Jeet Ker Pehlay Batting Ka Faisla Kia Tou Darr Tha Kay Rawalpindi Test Ki Kahani Na Repeat Ho Jaey. Khair, Pakistan Nay Is Test Kay Liay Mohammad Nawaz Aur Faheem Ashraf Kay Sath Mystery Spinner Abrar Ahmed Ko Bhi Khilanay Ka Faisla Kia, Balkay Ye Abrar Ka Test Debut Tha.

Abrar Ka Jadu

Aur Phir 9th Over Main Captain Babar Azam Nay Bowling Main First Change Kia, Aur Abrar Ahmed Ko Ball Di. Abrar Aaey Aur Chha Gaey!

Abrar Nay Atay Hi Apni 5th Ball Per Zak Crawley Ko Bowled Kerkay Sansani Phaila Di.

Leg Break Bowler Abrar Nay Shaandar Line Aur Length Kay Sath Bowling Ki. Un Ki Doosri Wicket Ben Duckett Thay Jo 63 Runs Per Leg Before Wicket (LBW) Hoay.

Abrar Ka Confidence Barhta Raha Aur Woh Behtar Say Behtareen Hotay Gaey. English Batters Kay Pass Abrar Ki Deliveries Ka Koi Idea Nahi Tha.

Joe Root Ko Bhi Phansa Diya

Current Cricketing World Kay Behtareen Batter Joe Root Bhi Abrar Kay Jaal Main Phans Gaei. 8 Runs Kay Score Per Abrar Nay Unhain LBW Kardia. 145 Peer 3 Wickets Girnay Kay Bad English Batting Line Main Khalbali Si Mach Gai.

Ollie Pope Bhi 60 Runs Score Kerkay Abrar Ka Shikaar Banay. Un Ka Catch Abdullah Shafiq Nay Liya. Harry Brook 9 Runs Per Abrar Ki Ball Per Mohammad Nawaz Ko Catch Dai Baithay. Aik Magical Start, Aik Historical Performance!

Abrar Nay 5 Wickets Lenay Kay Bad Bhi Himmat Nahi Haari. Unhonay Apnay Ghoumti Hoi Deliveries Say English Batters Ko Phansanay Ka Silsila Jari Rakha.

Ben Stokes 30 Runs Per Abrar Ki Khoubsurat Googly Per Bowled Hogae. Woh Ball Match Ki Behtareen Ball Kahi Jarahi Hay. Middle Aur Leg Stump Per Pitch Honay Kay Bad, Ball Bahar Ki Taraf Nikli Aur Off Stump Per Hit Hoi.

Will Jacks, Abrar Ahmed Ki 7th Wicket Thay. Unko Bhi Abrar Nay LBW Kia. Jacks Sirf 31 Runs Score Kersakay.

Abrar Nay 22 Overs Main 114 Runs Dai Ker 7 Wickets Apnay Naam Kiye. Who Debut Per 7 Wickets Lenay Walay 3rd Pakistani Bowler Hain.

Abrar Ka Record

Abrar Nay Apnay Debut Test Match Main, Pehlay Dinn, Lunch Say Pehlay 5 Wickets Lai Ker Record Book Main Naam Likhwa Liya Hay. Woh Yeh Record Bananay Walay Pehlay Pakistani Bowler Bhi Hain.

Abrar Ahmed Say Pehlay John Lever, Lester King, Alf Valentine, Fen Cresswell, George Finlay-Bissett Aur Bill Lockwood Apnay Debut Match Main First 5 Wickets Apnay Naam Kernay Ka Aizaz Rakhtay Hain.

Pakistani Bowlers Ka Record

Agar Pakistan Kay Bowlers Ki Baat Ki Jaey, Jinhon Nay Debut Test Match Main 5 Ya Zyada Wickets Li Hain To Un Main Abrar Ka Number 13th Hai.

Abrar Say Pehlay Nauman Ali, Bilal Asif, Tanvir Ahmed, Wahab Riaz, Yasir Arafat, Shabbir Ahmed, Mohammad Sami, Shahid Afridi, Mohammad Zahid, Shahid Nazir, Mohammad Nazir Aur Arif Butt Yeh Aizaz Apnay Naam Ker Chukay Hain. Laikin First 5 Wickets Lainay Ka Karnama Sirf Abrar Ka Hay.

Peshawar Main Paida Honay Walay 24 Saal Kay Abrar Ahmed Nay Pakistan Ko Aik Acha Start To Dia Hay, Ab Dekhta Hain Ke Match Par Is Ka Kya Impact Parta Hay. Series Main 1-0 Say Peechay Pakistan Ko Doosray Players Say Bhi Aisi Hi Performance Ki Umeed Hay.

شیئر

جواب لکھیں