Aksar Naujawanon Ka Ye Sawal Hota Hai Ke Is Mulk Ne Humain Kya Diya Hai? Bohat Kam Naujawan Khud Se Ye Sawal Karte Hain Ke Main Ne Is Mulk Ko Kya Diya Hai Ya Main Is Mulk Ke Liye Kya Kar Sakta Hon?

Hamaray Aksar Naujawan Halaat Ka Shikwah Karte Dikhayi Detay Hain. Achi Taleem Nahi Hai, Job Nahi Hain, Gandagi Hai, Corruption Hai. Economy Doob Rahi Hai. Aisay Main Aksar Naujawanon Ki Ye Khwahish Hoti Hai Ke Apna Watan Chhor Kar Pardes Chalay Jayen. Haal Hi Main Kiye Jane Walay Aik Survey Main Ye Baat Samnay Aayi Hai Ke 15 Se 24 Saal Ke 50% Naujawanon Ko Agar Mauqa Miley To Woh Pakistan Chhor Den Gay. Isi Tarha Higher Education Rakhnay Walay 50% Afraad Ko Bhi Apni Manzil Maghribi Mulkon Main Nazar Aati Hai. Sochnay Ki Baat Ye Hai Ke Agar Hamaray Naujawan Aur Hamaray Behtareen Dimagh Mulk Ko Dobta Ship Samajh Kar Usay Chhor Den Ge To Usay Manzil Tak Pohanchanay Ki Zimmay Daari Kon Le Ga? Agarchay Bairun-e-Mulk Jane Walay Bhi Foreign Remittances Ki Soorat Main Pakistan Ki Economy Ko Sahara Detay Hain. Lekin Ye Kaam Tou Labour Class Bhi Kar Leti Hai. Highly Qualified Afraad Yani, Doctors, Engineers, Scientists, Chartered Accountants, Programmers Waghera Ki Tou Aik Developing Country Ko Sakht Zaroorat Hoti Hai. Un Ke Chalay Janay Se Mulk Ki Taraqqi Mutasir Hoti Hai.

Naujawan Mulk Chhor Kar Jatay Huye. Pakistani Youth Desire Tou Leave Country.
Naujawano Pakistan Ko Bachao! 1

Naujawan Mulk Ke Liye Kya Kar Saktay Hain?

Agar Hum Problems Se Shuru Karen To Is Waqt Pakistan Ka Sab Se Bara Masla Economic Crises Hai. Balkay Ye 75 Saal Se Mulk Ka Sab Se Bara Problam Raha Hai. Corruption Aur Na Ehli Ki Wajah Se Mulk Qarzon Ke Pahar Ke Neechay Dabta Ja Raha Hai. Abadi Ki Growth Ke Muqablay Main GDP Growth Sharamnaak Hai. Imports Aur Exports Ka Gap Record 50 Billion Dollars Tak Pohanch Chuka Hai. Is Economic Crises Se Niklnay Ka Aik Hi Tareeqa Ye Hai Ke Hum Apni GDP Aur Exports Barhayain Aur Apne Kharchay Aur Imports Kam Karen.

Naujawan Is Silsilay Main Ye Kar Saktay Hain Ke Businesses Set Karen, Chahay Chhotay Pemanay Par Hon Ya Barray Pemanay Par. China Ki Taraqqi Ka Aik Raaz Un Ki Cottage Industries Bhi Hain. Jis Se Karoron Logon Ko Rozgaar Bhi Milta Hai Aur Mulk Ki Pedawar Aur Exports Bhi Barhti Hain. Aap Bhi Khud Ya Chand Doston Ke Sath Mil Kar Smaal Ya Big Industries Lagayen Aur Khaas Tor Par Exports Par Tawajah Den.
Pakistan Main Bohat Se Log Amazon, Ali Baba Aur Dosray E-Trade Platforms Par Karobar Kar Rahay Hain. Aap Un Platforms Par Bhi Apni Products Sale Kar Saktay Hain Aur Bulk Exports Ke Liye Dosray Venue Bhi Talaash Kar Saktay Hain. Is Silsilay Main Trade Development Authority Bhi Aap Ki Madadgaar Saabit Hosakti Hai. Exports Main Bhi Hamesha Value Added Products Par Focus Karen. Raw Material Aur Natural Products Ki Exports Mulk Ke Liye Itni Faida Mand Nahi Hoti. Maslan Pakistan Se Pink Salt Raw Form Main Bhaari Miqdaar Main Export Hota Hai. Lekin Is Ki Woh Qeemat Nahi Millti Jo Usay Value Addition Ke Sath Baqaida Brand Bana Kar Export Karne Se Milti Hai.

Apni Services Export Karen

Duniya Ke Ziyada Tar Ameer Mumalik Services Ke Liye Out Sourcing Karte Hain. Aap Ko Jis Field Main Bhi Mahaarat Ho Is Main Freelancer Ya Paid Worker Ke Tor Par Kaam Kar Saktay Hain. Is Tarha Aap Mulk Ko Chhoray Baghair Hi Dollar Main Kamaai Kar Saktay Hain Jis Ka Faida Mulk Ko Ziyada Hoga. Freelancing Kaam Ke Liye Behtareen Websites Fiverr, Toptal, Jooble, Freelancer, Upwork, Guru, Proz Aur Flexjob Waghera Hain. Yahan Aap Apni Asklz Aur Experties Ke Lehaaz Se Kaam Haasil Kar Saktay Hain. Isi Tarha Software Ki Export Pakistan Ke Liye Bohat Aham Hai. India Abadi Ke Lehaaz Se Pakistan Se 6 Times Bara Mulk Hai Magar India Ki IT Exports 178 Billion Dollars Hai Jabkay Pakistan Ki IT Exports Sirf 3 Billion Dollars Tak Hain. Yani Is Sector Main Naujawanon Ko Khoob Mehnat Ki Zaroorat Hai.

Made In Pakistan Ke Culture Ko Farogh Den

Trade Deficit Khatam Karne Ke Liye Zaroori Hai Ke Hum Pakistani Apne Import Craze Ko Khatam Karein. Technical Aur Scientific Products Main To Majboori Hai Magar Aik Agriculturla Mulk Ka Arbon Dollar Ke Food Item Import Karna Sharamnaak Aur Afsos Naak Hai. Agar Hum France Ka Minrel Water Aur Switzerland Ki Chocolate Nahi Khayen Ge To Bhi Hamara Guzara Ho Jaye Ga. Jahan Tak Ho Sakay Local Bani Hui Cheezen Istemaal Karen. Bohat Se Logon Ko Ye Shikayat Hoti Hai Ke Local Items Main Wo Quality Nahi Hoti Jo Imported Cheezon Ki Hoti Hai. To Jaan Lijiye Ke Ye Shikayat Door Karne Ki Zimmay Daari Bhi Naujawanon Ke Kaandhon Par Hai. Agar Mulk Main Koi Acha Drinking Water Brand Nahi Hai To Aap Shuruvaat Karen. Aap Ko Kisi Pakistani Brand Ke Kapray Pasand Nahi To Apna Brind Banayen Aur Logon Ko Achi Quality Ki Made In Pakistan Product Provide Karen. America Aur India Jaisi Bari Economies Bhi Trade Deficit Se Nimatnay Ke Liye Apne Logon Ko Local Products Istemaal Karne Ki Advise Deti Hain.

Technical Knowledge Import Karen

Isi Tarha Pakistan Main Technical Aalat Ki Products Na Honay Ke Barabar Hai. Airpods Hon Ya Aero plane. Humain Har Cheez Import Karni Parti Hai. Is Kami Ko Door Karnay Ke Liye Bhi Naujawanon Ko Leading Role Play Karna Hoga. Agar South Korea, Singapore Aur Vietnam Jaisay Area Aur Population Main Chhotay Chhotay Mulk Sirf Technical Aalat Ki Exports Se Billions Of Dollars Kama Satke Hain To Pakistan Kyun Nahi? Aap Online Courses Ke Zariye Ya Abroad Ja Kar Technical Knowledge Hasil Karen Aur Is Ke Baad Is Technology Ko Pakistan Ki Taraqqi Ke Liye Istemaal Karen. Hum Mantay Hain Ke Ziyada Tar Ye Kaam Hukoomaton Ke Karne Ke Hain Lekin Naujawan Apne Tor Par Mil Jul Kar Bhi Aisay Bohat Se Chhotayy Chhotay Set Up Laga Satke Hain. Misaal Ke Tor Par Chand Saal Pehlay Tak Pakistan Main Energy Saver Aur LED Bulb Import Hotay Thay. Ab Mulk Main Kayi Aisi Factories Hain Jahan Ye Cheezen Tayyar Ki Jati Hain.

Yaad Rakhnay Ki Baat Ye Hai Ke Shikwon Shikayat Se Problems Hal Nahi Hotay. Aik Aisay Mulk Main Jahan Ki 65% Population Under 35 Ho Wahan Najawano Ko Hi Aagay Barh Kar Mulk Ko Mushkilat Ke Bhanwar Se Nikalna Ho Ga, Jesa Ke Aik Shayer Ne Kaha Hay Ke.

Shkiwa-e-Zulmat-e-Shab Se Tou Kaheen Behtar Tha

Apnay Hissay Ki Koi Shamma Jalatay Jatay

شیئر

جواب لکھیں