Aik Zamana Tha One Day International Cricket Main Double Century Banana Impossible Samjha Jata Tha. Viv Richards, Saeed Anwar Aur Sanath Jayasuriya Jaisay Great Players Double Century Kay Arman Liay Hi Cricket Say Chalay Gaey. Phir Waqt Badla, Halaat Badlay Aur Ab To Double Centuries Aisay Ban Rahi Hain, Jaisay Kabhi Centuries Bana Karti Theen. India Kay Ishan Kishan Ko Hi Lay Lain, Jinhon Nay Double Century Bana Kar Records Main Apna Naam Likhwa Lia Hay.
Bangladesh Kay Against Chattogram Main 3rd ODI Waisay To Dead Rubber Tha, Laikin Usay Ishan Nay Yaadgar Bana Diya. Bangladesh 2 Epic Victories Kay Sath Series Pehlay Hi Jeet Chuka Tha. Bus Ab Lagta Hay Isi Ka Ghussa Ishan Nay Last ODI Main Bangladeshi Bowlers Par Utara Hay.
Ishan Ki Double Century
Ishan Kishan Nay Is Match Main Sirf 126 Balls Per 200 Ka Milestone Paar Kiya. Youn Woh ODI Main Double Century Bananay Walay Youngest Player Ban Gaey Hain. Phir Unhon Nay Ab Tak Double Centuries Score Kernay Walay Batters Main Sab Say Kam Balls Bhi Kheli Hain, Yani Yeh ODI Ki Fastest Double Century Bhi Hai.
Yahi Nahi, Yeh Bangladesh Kay Against Kisi Bhi Batsman Ki Highest Individual Innings Bhi Hay.
Ishan Kishan Nay 131 Balls Per 210 Runs Score Kiye, Jis Main Unhonay 24 Fours Aur 10 Sixes Hit Kiye.
Patna Main Paida Honay Walay 24 Saal Kay Ishan Kishan Ka Is Say Pehlay Highest ODI Score 94 Tha. Yani Un Ki Pehli Century Hi Double Century Bani.
Is Say Pehlay India Ki Taraf Say Sachin Tendulkar, Virender Sehwag, Rohit Sharma 200+ Score Kar Chukay Hain.
Ishan Kishan Waisay Tou Wicket Keeper Hain, Laikin Iss Match Main Wo Specialist Opener Batter Khelay.
ODI Ki Sab Say Bari Double Centuries
Ab Tak ODI Main 9 Double Centuries Score Hui Hain. India Kay Rohit Sharma 264 Runs Kay Sath Is List Main Top Per Hain. Doosray Number Per New Zealand Kay Martin Guptill Hain. Unhon Nay 237 Runs Banaey Thay.
Phir Aatay Hain India Kay Viru Virender Sehwag. Unhon Nay 219 Runs Score Kiye Thay. West Indies Kay Chris Gayle 4th Position Per Hain. Unhon Nay 215 Runs Banaye Thay.
Fakhar Zaman 210 Runs Kay Sath 5th Position Per Hain.
Rohit To Lagta Hay Mazay Lainay Kay Liay Double Centuries Banatay Hain. ODI Main Un Ki Aik Nahi, Do Nahi Balkay Teen Double Centuries Hain. 264 Kay Baad Un Ki Baqi 2 Innings 209 Aur 208 Runs Ki Hain.
Waisay 'Asli Tay Wadday' Double Centurion Thay Sachin Tendulkar. Wo Ke Jinhon Nay 2010 Main Pehli Baar Ye Karnaama Anjam Dia. South Africa Kay Against Gwalior Main Unhon Nay 200 Runs Banaey Thay.
One Day International Ki Highest Individual Innings
Runs | vs. | Venue | Date | |
---|---|---|---|---|
![]() | 264 | Sri Lanka | Kolkata | 13 Nov 2014 |
![]() | 237* | West Indies | Wellington | 21 Mar 2015 |
![]() | 219 | West Indies | Indore | 8 Dec 2011 |
![]() | 215 | Zimbabwe | Canberra | 24 Feb 2015 |
![]() | 210* | Zimbabwe | Bulawayo | 20 Jul 2018 |
![]() | 210 | Bangladesh | Chattogram | 10 Dec 2022 |
![]() | 209 | Australia | Bengaluru | 2 Nov 2013 |
![]() | 208* | Sri Lanka | Mohali | 13 Dec 2017 |
![]() | 200* | South Africa | Gwalior | 24 Feb 2010 |
India Ka Aik Bhi Record
India Nay Is Match Main 400 Runs Score Kiye. ODI Main 400 Plus Runs Score Kernay Kay Yeh 22nd Mauqa Hay. Indian Cricket Team ODI Main 6 Dafa 400 Runs Say Ziada Score Ker Chuki Hai.