Saalon Ke Intezar Ke Baad, Google Pakistan Aa Chuka Hai. Google Ne Security Commission Of Pakistan (SECP) Ki Certification Hasil Karne Ke Baad Apna Liaison Office Pakistan Mein Establish Karliya. Official Office Pakistan Ke Main Business Hub Karachi Mein Ho Ga.
Google Asia Pacific Ke 4 Team Members Pakistan Pohanch Chuke Hein Aur Head Of Policy Sunday 11 December Ko Ayein Ge. Is Puri Team Ki Mulaqaat Minister For IT And Telecom Syed Amin Ul Haq Ke Sath Monday 12 December Ko Scheduled Hai.
IT Minister Kehte Hein Ke Google High-Powered Team Ke Sath Meeting Mein Ye Ensure Kiya Jaega Ke Pakistan Mein Inke Functions Kese Smoothly Aur Without Any Hassle Operate Kareinge.
Opportunities From Google In Pakistan
Previous Reports Ke Mutabiq Ye Platform Apne Operations Pakistan Mein Start Karte Hi Ek Scholarship Program Shuru Karega, Jismein 15,000 Citizens Ko Enroll Kiya Jaega. Government Google Ke Sath Milkar Youth Ke Liye Job Opportunities Bhi Barhaye Gi.
Google Ne Pehle Hi Is Saal Pakistan Mein Digital Initiatives Shuru Kardiye The. April Mein Google Delegation Ki Islamabad Mein Special Technology Zones Authority (STZA) Aur Tech Valley Pakistan Ke Leaders Ke Sath Meeting Hoi. Iss Meeting Mein Delegation Ko Puray Pakistan Mein Develop Kiye Jarahe Special Tech Zones Ke Bare Mein Brief Kiya Gaya. STZA Google Ke Sath Milkar Future Mein Pakistani Tech Environment Ko Further Grow Karay Gi.
Suicidal Aur Mental Health Cases Mein Izafa Ho Raha Hai Tou Isko Tackle Karne Ke Liye June Mein Google Ne Anti-Suicide Hotline Start Ki. ‘Umang Pakistan’ Ke Sath Collaboration Karne Ke Bad Ek Hotline Banai Hai Jiske Zariye Mentally Disturbed Logon Ki Fori Tour Par Help Di Jati Hai.
September Mein Career Certificate Program Jari Kiya, Jis Ke Zariye Pakistani New Age-Up To Date Digital Skills Ko Seekhein Aur In-Demand Jobs Araam Se Hasil Kar Sakein Gay.
Agar Google Apna Art Data Center Across Pakistan Operate Karna Shuru Kardeta Hai Tou Ye Enhanced Global Cloud Services Ke Zariye Local Demand Ko Harness Aur Industrial Sectors Ki Economic Value Ko Boost Karsakta Hai. Google Pay Se Financial Eco-System Aur Dusri Cashless Payments E-Commerce Activity Ko Mazeed Enable Aur Grow Karsakti Hain, Jo Pakistani Freelancer Market Ke Liye Ek Bahut Achi Khabar Ho Gi. Original Equipment Manufacturers (OEMs) Bhi Pakistan Mein Google Ki Tech Devices, Jese Chromebooks And Mobile Phones, Ki Manufacturing Start Kar Sakte Hein.
Ab Meta Se Kamao!
Pakistani Foreign Minister Ne Aaj Apni Tweet Ke Zariye Ek Major Development Bhi Announce Ki, Ke Ab Pakistani Content Creators Meta Mein New Star Feature Ke Zariye Paise Aram Se Kama Payeinge.
Ye News Direct Singapore Mein Meta Ke Asia Pacific Headquarters Se FM Bilawal Bhutto Ne Ek Video Ke Through Di.
Ye Star Feature Facebook Ke Reels, Facebook Live, On-Demand Videos, Photos Aur Texts Posts Pe Available Ho Ga. Agar Aap Creator Hein Aur Aap Ke At Least 1,000 Active Followers Hein Pichle 60 Dino Mein Tou Aap Iss Feature Ke Liye Eligible Hein.
Pehle, Digital Media Organizations Aur Creators Ko Third Party International Companies Ka Sahara Lena Parta Tha, Laikin Ab Ye Masla Hal Hote Huwe Nazar Araha Hai.
Chalein, Bil-Akhir Itni Tensions Aur Buri Khabroon Ke Baad Kuch Khushi Ki Khabrein To Ai. Magar Sawal Ye Hai Ke Ye Khushiyan Kab Tak Sustain Ho Sakaingi?