Dunya Main 1 Billion Say Population Walay 2 Hi Mulk Hain, Aik China, Doosra India. China To Superpower Ban Chuka Hay Aur Tezi Say Developed Country Banta Ja Raha Hay, Laikin India Kay Halaat Kuch Theek Nahi Lag Rahay. Tabhi To Log Apna “Desh” Chorr Ker Jarahay Hain. Ya Ye Samjhain Bhaag Rahay Hain Aur Indian Citizenship Hi Chorr Rahay Hain.

2011 Say Aab Tak 16 Lakh Indians Nay Apni Citizenship Chorr Di Hay. Sirf Iss Saal Yani 2022 Main Hi 183,741 Log India Chorr Gaey Hain.

Lok Sabha Main Congress Lawmaker Abdul Khaleque Nay Sawal Kia Tha Kay January 2015 Say Ab Tak Kitnay Indians Nay Citizenship Chorr Di Hai?. Is Per External Affairs Minister V. Muraleedharan Nay Written Reply Submit Karwaya.

Un Ki Di Gai Details Main Bataya Gaya Hay Kay 2015 Main 131,489 Afraad Nay Citizenship Chori Thi. Iss Kay Ilawa 141,603 Afraad Nay 2016, 133,049 Nay 2017, 134,561 Afrad Nay 2018, 144,017 Nay 2019, 85,256 Nay 2020, 163,370 Nay 2021 Aur 183,741 Nay 2022 Mein 31 October Tak Indian Citizenship Wapis Kardi Thi.

Mazeed Bataya Gaya Kay Is Say Pehlay 2011 Main 122,819, 2012 Main 120,923, 2013 Main 131,405 Mein Aur 2014 Mein 129,328 Afraad Indian Citizenship Wapis Kar Chukay Hain.

Waisay In Saalon Mein Foreign Nationals Nay Bhi Indian Citizenship Hasil Ki. In Main Bangladesh, Pakistan, Afghanistan Kay Log Shamil Nahi. 2015 Main 93, 2016 Main 153, 2017 Main 175, 2018 Main 129, 2019 Main 113, 2020 Main 27, 2021 Main 42 Aur 2022 Main 60 Afrad Nay Indian Citizenship Hasil Ki.

شیئر

جواب لکھیں