Pakistan Ke Halaat Bohat Kharab Hain. Mulk Default Ke Kinare Par Khara Hai. Mehengai Aur Be Rozgari Barhti Ja Rahi Hai. Economist Hon Ya Aam Aadmi, Sab Ki Zabaan Se Aaj Kal Isi Qisam Ki Baatein Sunnay Ko Millti Hain. Aisay Mein Bohat Se Log Yeh Bhi Kehte Nazar Atay Hain Ke Agar Mujhe Mauqa Miley To Mein Pakistan Chhor Kar Bahar Chala Jaoun. Aam Taasur Yahi Hai Ke Aisa Sochnay Walay Pakistanion Ki Aksariyat Hogi. Isi Liye 'Pakistan Zindabad' Naaray Ki Parody 'Pakistan Se Zinda Bhag' Banayi Gai. Ke Kisi Na Kisi Tarah Mulk Se Nikal Jaao. Pakistan Se Emigrate Karnay Walon Ka Data Dekhen To Bhi Yahi Nazar Aata Hai Ke Jesay Har Shaksh Bahar Bhagnay Ki Fikar Main Hay. Har Saal Mulk Se Janay Walon Ki Tadaad Barhti Hi Nazar Aati Hai. Lekin Dusri Janib Aik Survey Mein Herat Angaiz Tor Par Yeh Baat Samnay Aayi Hai Ke Buray Aur Mushkil Halaat Ke Bawajood Pakistanio Ki Aksariyat Mulk Chhor Kar Jana Nahi Chahti.

The Pakistan Institute of Development Economics (PIDE) Ke Survey Mein Logon Se Sawal Kya Gaya Ke Agar Mauqa Miley To Kya Aap Pakistan Chhorna Pasand Karen Ge. Sirf 37% Afraad Ne Is Ka Jawab Haan Mein Diya. Yani Har 3 Main Se 2 Pakistani Mulk Chhorna Nahi Chahtay.

Survey Ke Mutabiq Mulk Chhornay Ki Khwahish Rakhnay Walon Ki Tadaad Urban Elaqon Mein Rural Elaqon Se Thori Si Ziyada Hai.

Province Ke Lehaaz Se Pakistan Se Janay Mein Dilchaspi Rakhnay Walon Ki Tadaad Mein Koi Khaas Farq Nahi Hai. Pehla Number Balochistan 42%, Dosra Gilgit Baltistan 41.5%, Teesra Khyber Pakhtunkhwa 37.7%, Chotha Sindh 37.6% Aur Panchawan Punjab 35.8% Raha. Azad Kashmir Ke 43.6% Jabkay Wifaqi Dar-ul-Hukoomat Islamabad Ke 36.5% Logon Ne Bhi Mulk Chorney Par Amaadgi Zahir Ki.

Pakistan Province wise Data
'Pakistan Se Zinda Bhag' 1

Isi Tarha Pakistan Chhor Kar Janay Ki Khwahish Mein Taleem Ka Bhi Amal Dakhal Hai. Jo Log Kabhi School Gaye Hi Nahi Un Ki Sirf 22% Tadaad Emigrate Karna Chahti Hai. Primary Walay 36.4, Secondary Education Walay 44.9 Aur Higher Aur Is Se Ziyada Education Walay 49.3 Percent Log Mauqa Milnay Par Mulk Se Nikal Jayen Ge. Yani Aala Taleem Yafta Afraad Ki Almost 50% Tadaad Pakistan Mein Nahi Rehna Chahti.

Desir To Leave Pakistan By Education Level
'Pakistan Se Zinda Bhag' 2


50% Naujawan Pakistan Chhorna Chahtay Hain!

Naujawan Kisi Bhi Mulk Ka Sarmaya Hotay Hain. Magar Hamaray Sarmaya Karon Ki Tarha Hamara Human Capital Bhi Mulk Se Faraar Hona Chahta Hai. Survey Ke Mutabiq 15 Se 24 Saal Ke 49.7% Naujawanon Ko Mauqa Miley To Woh Bahar Chalay Jayen Ge. Un Mein Larkoon Ki Sharah 62 Percent Aur Larkiyon Ki Sharah 36.2% Hai. Isi Tarha 25 Se 34 Saal Ke 44% Naujawan Bhi Mulk Se Jane Ki Khwahish Rakhtay Hain. Jin Mein 58.1% Mard Aur 31% Khawateen Shaamil Hain.

Desir To Leave Pakistan By Age and Gender
'Pakistan Se Zinda Bhag' 3


Log Pakistan Chhor Kar Kyun Jana Chahtay Hain?

Jo Log Mulk Chhor Kar Jana Chahtay Hain Aakhir Wo Is Ki Wajah Kya Batatay Hain. PIDE Ke Survey Ke Mutabiq Ziyada Income, Behtar Opportunities Sab Se Bari Wajah Batayi Gayi. 78.6% Afraad Isi Wajah Se Mulk Chhorna Chahtay Hain. Herat Angaiz Tor Per 44% Logon Ne Yeh Wajah Bhi Batayi Ke Wo Is Liye Bahar Jana Chahtay Hain Taakay Ziyada Ba Izzat Zindagi Guzaar Saken. Yeh Sabab Batanay Walon Ki Sab Se Ziyada Tadaad Balochistan Aur Sindh Mein Thi. Equal Opportunities, Ziyada Security Aur Gender Equality Bhi Woh Wajohaat Hain Jin Ke Liye Log Apna Watan Chhornay Par Amaada Hain.

Raftar Bharne Do
'Pakistan Se Zinda Bhag' 4
شیئر

جواب لکھیں