2022 Main Pakistan Main History Ka Baad-Tareen Flood Aya Jis Nay Apni Raah Main Anay Wali Her Cheez Ko Tabah Kerdia. Laikin Google Nay Jo Trends Jaari Kiye Us Main Floods Ka Kaheen Koi Zikar Nahi. Afsos Ki Baat Ye Hay Ke Ab Mausam Badal Chuka Hay, Sardia Aa Chuki Hain Aur Ab Bhi Floods Say Muta'sira Lakhon Afrad Ki Rehabilitation Nahi Ho Saki.

UN’s Office for the Coordination of Humanitarian Affairs (OCHA) Ki Situation Report Main Bataya Gaya Hay Kay Flood Kay 3 Months Baad Bhi Pakistan Kay 12 Districts Sailabi Pani Main Doobay Hoay Hain. In Main Say 10 Sindh Aur 2 Baluchistan Main Hain.

Floods Ki Tabahi

Pakistan Main Monsoon Season Main Shadeed Barish Ki Waja Say Sailaab Say One Third Country Pani Main Doob Gaya Tha. Sailaab Say 1700 Afraad Jan-Bahaq Jabkay 3 Crore Say Zaid Effect Hoay.

Raftar Bharne Do

Government Estimates Kay Mutabiq Roads Aur Bridges Damage Honay, Rail Network Muta'sir Honay Aur Makanaat Girnay Say 30 Billion Dollars Ka Nuqsaan Hoa Hay.

UN Ki Report Main Bataya Gaya Kay Kai Ilaqoun Say Pani Nikal Chuka Hay Aur Lakhon Log Wapis Gharon Ko Chalay Gaey Hain Magar Ab Bhi Food Aur Medicines Ki Shadeed Qilaat Hai. Laikin Halaat Ab Behtar Ho Rahay Hain.

Bemaarion Mein Kami, Laikin...

Report Main World Health Organization Kay Statistics Ka Hawala Detay Huay Bataya Gaya Kay September Kay Baad Say Baluchistan Main Malaria Cases 25 % Kam Hoay. Khyber Pakhtunkhwa Main 58 % Aur Sindh Main 67 % Cases Kam Huay Hain. Laikin... Ye Ab Bhi Normal Say Zyada Hain.

Yahi Report Clear Karti Hay Kay Baluchistan Aur Sindh Main Ab Bhi Malaria Aur Cholera Kay Zyada Cases Report Horahay Hain.

Is Kay Ilawa Pakistan Main Recent Floods Ki Waja Say 6 Lakh Bachay Polio Drops Peenay Say Mehroom Reh Gaey Hain. Kyunkay In Areas Main Flood Ki Waja Say Polio Vaccine Ki Teams Nahi Puhanch Saki Thein.

Food Security

Is Kay Ilawa Food Security Situation Bhi Theek Nahi Hay. World Food Program Nay Bataya Hay Kay Sindh Main 3.9 Million Afraad Aur Baluchistan Main 1.6 Million Afrad Ghizai Qillat Ka Shikar Hogaey Hain.

Afsos Ki Baat Yeh Hay Kay Relief Response Bhi Kam Horaha Hay. Flood Effected Areas Main Is Waqt Bhi 51 Lakh Afraad Imdad Kay Muntazir Hain. Saal 2023 Kay Shuru Main 11 Lakh Afraad Is List Main Shamil Ho Saktay Hain.

Two Months Pehlay UN General Assembly Main Pakistan Kay Liye Aalmi Imdad Ki Qarardad Manzoor Kar Li Gayi Thei. 159 Mumalik Ki Taraf Se Co-Sponsored Ki Gayi Unanimous Resolution Main Donor Mumalik Aur Idaron Se Kaha Gaya Kay Woh Pakistan Main Sailab Ke Baad Reconstruction Aur Rehabilitation  Ke Kaam Main Mukammal Cooperate Karen.

Taham Ab Daikhna Yeh Hay Kay Yeh "Foreign Aid" Kitni Jaldi Affected Areas Tak Pauhanchti Hai. Sardiyan Shuru Hochuki Hain Aur Ager Barwaqt Iqdamat Nahi Kiye Gaei Tou Humanitarian Crisis Mazeed Sangeen Hosakta Hay Jis Ka Asar Political Scenario Per Bhi Paray Ga.

Agla Saaal Election Ka Saal Hay, Political Parties Ko Apnay Iktilafat Bhula Ker Is Surat e Haal Kay Liye Amli Iqdamat Kerna Hongay Takay Sailaab Say Mutasaira Ilaqon Main Bhi Haalat Mamool Per Aajaein.

شیئر

جواب لکھیں