State Bank Of Pakistan Ne Announce Kiya Hay Ke Ab Tak 500,000 Roshan Digital Accounts Khul Chukay Hain. Is Par Khushi Khushi Sab Ka Shukriya To Ada Kiya Hay Par Ye Nahi Bataya Ke Bhai! Accounts Itne To Khul Gaye Par Inke Inflows November Ke End Month-On-Month Basis Pe 3 % Ki Kami Ai Hay Jo Ke December 2020 Se Lekar Ab Tak Sab Se Lowest Hai.
Jahan October Mein RDAs $146 Million Par Stand Kar Rahe Thay Waheen Ab $141 Million Pe Agaye Hein. RDA Funds Mein Kami Mulk Ki Political Uncertainty, Bad Economic Conditions Aur International Interest Rates Mein Izafey Ki Waja Say Hay.
SBP Ke Data Ke Mutabiq September 2020 Se Lay Kar November 2022 Tak Mulk Ne Kiye Non-Resident Pakistanis Say $5.4 Billion Inflows Record . In $5.4 Billion Mein Say Naya Pakistan Certificates (NPCs) Mein $3.5 Billion Ki Investment Ki Gayi, $1.680 Billion Islamic NPCs Aur $1.750 Billion Conventional NPCs Mein Aur Sirf $47 Million Ya 1% Se Bhi Kam Pakistan Stock Exchange Tak Puhancha.