Google Ne 2022 Ke Liye Apne Salana ‘Year in Search’ Ka Data Jari Kardiya Hai. Pakistan Ka Data Dekhen Tou Top Trending Searches Main Cricket Top Of The List Nazar Aati Hai. Top Trends Ki First 3 Positions Par T20 World Cup, Asia Cup Aur PSL 7 Ka Qabza Raha. Herat Angaiz Tor Par Puray Mulk Mein Honay Wali Barishain Aur Is Ke Baad Aanay Wala Sailab Top Trends Mein Jagah Bananay Mein Nakaam Raha, Lekin Climate Change Aur Ehsaas Program Ki Talaash Hoti Rahi. World Cupp T20 Ki Wajah Se Melbourne Ke Mausam Mein Bhi Pakistanio Ne Dilchaspi Dikhayi. Isi Terhan PTI Ka Long March Aur Imran Khan Par Qatilana Hamla Bhi Google Ke So Called Top Trends Mein Shaamil Nahi Hai. Rawan Saal Ki Top Trending Searches Yeh Raheen.

Top Trending Searches

ICC T20 World Cup Final. Pakistan Vs England.
Google Top Trending Searches 1

1) T20 World Cup 2022
2) Asia Cup 2022
3) PSL 7
4) Melbourne weather
5) Climate Change
6) Ehsaas program
7) Arshad Shareef
8) Aamir Liaquat
9) Queen Elizabeth
10) Naseem Shah

Top Searched People

Top Trending Searches
Google Top Trending Searches 2

Personalities Ki Baat Karen To Google Ke Data Ke Mutabiq Pakistanion Ne Ziyada Tar Siyasi Shaksiaat Aur Khilarion Ko Search Kya. Asia Cup Aur T20 World Cup Mein Shandaar Performance Ki Wajah Se Naseem Shah Sab Se Agay Rahay. Google Ke Mutabiq Logon Ne Shehbaz Sharif Ko Bhi Khoob Search Kya Jabkay Imran Khan Yahan Bhi Top Trending Seacrhes Main Jagah Nahi Bana Sakay. Albata Imran Riaz Khan Ka Naam Shaamil Hai. Herat Angaiz Tor Par Showbiz Ki Koi Pakistani Personality Bhi Google Search Mein Pakistanion Ki Tawajah Haasil Nahi Kar Saki.

1) Naseem Shah
2) Pervez Musharraf
3) Salman Rushdie
4) Iftikhar Ahmed
5) Mohammad Rizwan
6) Shahbaz Sharif
7) Shadab Khan
8) Amber Heard
9) Azhar Ali
10) Imran Riaz Khan

Top Searched In News

Raftar Bharne Do
Google Top Trending Searches 3

Duniya Bhar Ki Tarha Pakistan Mein Bhi Log Halaat Se Update Rehnay Ke Liye Google Search Se Madad Letay Hain. January Mein Mari Mein Barf Baari Ke Dauran Traffic Jaam Mein 22 Afraad Ki Maut, Aamir Liaquat Hussain Ki Maut, Pervez Musharraf Ki Beemari, Imran Khan Se Mutaliq News Ne Logon Ki Tawajah Hasil Ki. Russia Aur Ukraine Ki War, Arshad Sharif Ke Qatal Ke Mutaliq Khabron Ke Liye Bhi Logon Ne Google Search Ka Istemaal Kya.

1) Aamir Liaquat
2) Ukraine
3) Imran Khan
4) Murree
5) Fatima Tahir
6) Arshad Sharif
7) Pervez Musharraf
8) Salman Rushdie
9) Iqrar ul Hassan
10) Sri Lanka

Top Searched In Tech And Gadget

Raftar Bharne Do
Google Top Trending Searches 4

Google Ke Data Ka Dawa Hai Ke Technology Ki Search Mein Is Saal Bhi Pakistan Mein Smart Phone Chaaye Rahay. In Mein ViVo, iPhone, Infinix, SamSung, Oppo Aur RealMe Shamil Hain.

1) Vivo V23
2) iPhone 14 Pro Max
3) OPPO F21 Pro
4) Vivo Y21
5) Vivo V23e
6) Realme c35
7) Infinix Note 12
8) Infinix Hot 12
9) Samsung A32
10) OPPO A16

Top Searched Recipes

Raftar Bharne Do
Google Top Trending Searches 5

Khana Pakanay Ki Reepies Har Daur Mein Maqbool Rahi Hain. Is Saal Ki Taap Searched Recipe Chicken Rahi. Pulao Aur Shami Kabaab Kaisay Bantay Hain Is Ke Liye Bhi Pakistanion Ne Google Search Ki Madad Li. Dilchasp Baat Yeh Hai Ke Ziyada Tar Chicken Ke Mutaliq Recipes Search Ki Gayeen. Shayad Is Ki Wajah Yeh Hai Ke Beef Aur Mutton Mehangay Ho Chukay Hain Aur Chicken Banana Beef Aur Mutton Ki Dishon Ke Muqablay Mein Aasaan Bhi Hota Hai. Biryani Ki Tarkeeb Top Search Mein Shaamil Nahi, Lagta Hai Pakistan Mein Sab Ko Biryani Banani Aagai Hai.

1) Chicken Recipe
2) Pulao Recipe
3) Shami Kabab Recipe
4) Chicken Soup Recipe
5) Nuggets Recipe
6) Chicken Pakora Recipe
7) White Chicken Recipe
8) Imli ki Chutney Recipe
9) Brownies Recipe
10) Hot and Sour Soup Recipe

شیئر

جواب لکھیں