Türkiye Ki Economy Crisis Ka Shikar Hay. Inflation Ke Lihaz Se Türkiye Dunya Ke Top 5 Mulkon Mian Shamil Ho Chuka Hay. Mehngai Ka Rate 85.5% Tak Pohnchnay Ki Wajah Se Awam Ki Zindagi Mushkil Ho Chuki Hay. Businesses Aur Factories Band Ho Rahi Hain, Farmers Bhi Pareshan Hain.

Yöneylem Social Research Centre Ke Survey Ke Mutabiq Türkiye Ki 85 Million Population Main Se Almost 56 Million Afrad Ko Apni Food Cost Aur Rent Pay Karnay Main Difficulties Ka Samna Hay. Is Ke Nateejay Main Mental Illness Aur Personal Debt Barh Raha Hay.

Magar Aisa Kiun Hua? Türkiye Ki Economy To Last 2 Decades Se Exceptionally Acha Perform Kar Rahi Thi. 2002 Se 2021 Tak Country Ki Average GDP Growth 5.8% Ho Chuki Thi.

Phir Problem Kesay Shuru Hua?

'Devaluation Spiral'

Turkish Lira Kai Saal Se Trouble Main Hay. Lira Ka Downfall 2013 Main Shuru Hua Jo Ab Tak Chal Raha Hay. September 2021 Main 1 Us Dollar 8 Turkish Lira Ke Barabar Tha, Aaj 1 Dollar Ki Qeemat Almost 19 Lira Ho Chuki Hay.

Raftar Bharne Do
Türkiye Ka Haal Kharab Kiun? 1

Devaluation Ka Result Mehgai Bulkay Bohat Zyada Mehngai Hota Hay. Jab Currency Ki Value Girti Hay Tou Bahar Se Laayi Janay Wali Cheezen Mehngi Ho Jati Hay. Kiunke Zyada Tar Countries Fuel, Materials Ya Technology Import Kartay Hain Tou Weaker Currencies Ka Matlab Hota Hay Price Hike.

Is Liye Türkiye Main Record-Breaking Inflation Hui Hay, Jo Puray Europe Main Sab Se Ziyada Hay.

Turkish Lira Ki Value Main Kami Ki Wajah Se Business Impact Ho Rahay Hain Kiunke Production Cost Barh Chuki Hay. Jabkay Logon Ke Purchasing Power Kam Hui Hay.

University Of Greenwich Ke Economics Lecturer Dr Cem Oyvat Ka Kehna Hay Ke “Skilled Workers Ke Liye Situation Aur Worst Hay. Jis Ki Wajay Se Devastating ’Brain Drain’ Ho Raha Hay. Is Talent Loss Se Türkiye Ki Economy Ko Long Term Damage Ho Sakta Hay Kiunke Ye Naujawan Mulk Main Rehtay Tou Businesses Aur Jobs Create Kartay.”

Türkiye Ki Economy Bohat ‘Hot’ Hay

Türkiye Ke Turmoil Ke Aur Factors Bhi Hain.

Dr Oyvat Kehtay Hain Ke “Türkiye Main Last Decade main Jo Strong GDP Growth Thi Wo Sustainable Nahi Thi.”

Is Ki Kuch Reasons Tou Deeper Structural Issues Hain, Maslan Türkiye Ka Current Account Deficit. Yani Türkiye Ki Imports Uski Exports Se Zyada Hain. Magar Aik Aur Factor Ne Bhi Role Play Kiya Wo Interest Rate Hay.

Jab Economies Rapidly Grow Karti Hain Tou Economy Ko Cool Down Karnay Ke Liye Central Banks Interest Rates Barha Detay Hain. Is Se Money Borrowing Ki Cost Barh Jati Hay Aur Economic Activity Kam Ho Jati Hay.

Türkiye Main Magar Iska Ulat Kiya Gaya. Turkish Centeral Bank Ne Interest Rate Low Rakha Jis Ki Wajah Se Economy Out Of Control Ho Gai.

BlueBay Asset Management Ke Emerging Markets Expert Timothy Ash Ke Mutabiq “Türkiye Ki Economy Bohat ‘Hot’ Chal Rahi Hay. Growth Bohat Zyada Thi, Domestic Demand Bohat Zyada Thi Aur Imports Bhi Bohat Zyada Theen.”

Is Ka Result Ye Hua Ke Economy Main Confidence Collapse Kar Gaya. Lira Ke Free Fall Ki Wajah Se Local Aur International Investors Ne Apna Paisa Nikal Liya.

Türkiye Main Officials Situation Se Aware Hain Aur Un Ko Status Quo Ke Liye Bar Bar Criticise Kiya Jata Hay.

Timothy Ash Ka Kehna Hay Ke Dusri Advanced Economies Ke Muqablay Main Central Bank Of Türkiye Government Ke Control Main Hay. Is Liye Wo Problem Ko Address Karnay Ke Liye Azadana Decision Nahi Le Sakta.”

Mukhalfeen Is Ka Zimmedar President Recep Tayyip Erdogan Ko Qarar Detay Hain. Jo Interest Rate Barhanay Ke Khilaf Hain.

Raftar Bharne Do
Türkiye Ka Haal Kharab Kiun? 2

Halanke Yehi Recep Tayyip Erdogan Thay Jin Ke 20 Sala Daur Main Mulk Ne Bemisal Tarraqi Ki Hay. 2001 Main Türkiye Shaded Financial Crisis Ka Shikar Tha. 2003 Main Erdogan Prime Minister Banay Tou Unhon Ne Infrastructure Behtar Banana Aur Foreign Investment Per Focus Kiya Jis Se Economy Ko Boom Mila. 2014 Main Wo President Banay Aur 2018 Main Bhi Presidency Ka Election Jeeta. Türkiye Main Ab Election Next Year Hon Gay Jis Main Ye Faisla Ho Ga Ke Recep Tayyip Erdogan Dobara President Banain Ge Ya Nahi.

شیئر

جواب لکھیں