Pakistan Phir Haar Gaya, Aur Iss Bar To Aisa Hara Kay Ye Daagh Dhona Mushkil Hoga. 63 Saal Main Pehli Baar Pakistan Ko Home Ground Per Musalsal 3 Test Matches Main Shikast Hui Hay. Pehlay Australia Say Haaray, Khai Aur Phir England Kay Against Rawalpindi Aur Multan Donon Main Haar Gaey.

17 Saal Baad England Kay Pehlay Tour of Pakistan Main Umeed To Thi Kay Achi Cricket Dekhnay Ko Milay Gi. Laikin Rawalpindi Test Ki 'Dead' Wicket Per 1st Three Days Sirf Runs Hi Score Hotay Rahay. Match Kay Last 4 Sessions Main England Nay Baazi Palat Di Aur Pakistan England 2nd Test Jeet Lia.

England Tour of Pakistan 2022 - 2nd Test

Pakistan vs England

9-13 December 2022

Multan Cricket Stadium, Multan, Pakistan

Result: England 26 Runs Say Jeet Gaya

Raftar Bharne Do ENG1st Innings281
Ben Duckett63 (49)Abrar Ahmed7-114
Ollie Pope60 (61)Zahid Mahmood3-63
Raftar Bharne Do PAK1st Innings202
Babar Azam75 (95)Jack Leach4-98
Saud Shakeel63 (106)Joe Root2-23
Raftar Bharne Do ENG2nd Innings275
Harry Brook108 (149)Abrar Ahmed4-102
Ben Duckett79 (98)Zahid Mahmood3-52
Raftar Bharne Do PAK(Target: 355)328
Saud Shakeel94 (213)Mark Wood4-65
Imam-ul-Haq60 (104)Ollie Robinson2-23

Doosra Mauqa

Pakistan Ko Multan Main Series Barabar Karnay, Aur Muqablay Ki Daur Main Wapis Aanay Ka Mauqa Mila. Lag Raha Tha Kay Rawalpindi Ki Performance Say Pakistan Kuch Sabaq Seekhay Ga. Aur Phir Multan Test Ka Start Buhat Acha Lia. Debutant Abrar Ahmed Ki Kamal Bowling Nay Pakistan Ko Series Main Wapis Aanay Ka Mauqa Dia. Unhon Nay First Innings Main 7 Wickets Lay Ker Record Book Main Naam Likhwaya Aur England 281 Runs Hi Bana Saka. Is Total Main Ben Duckett Kay 63 Aur Ollie Pope Kay 60 Runs Shamil Thay.

Ab Pakistan Kay Batters Kay Pass Chance Tha Kay Achi Batting Karkay England Ko Pressurize Karain. Laikin Pehlay Din Hi Pakistan Ki 2 Wickets Gir Gaeen.

Batters Phir Nakaam

Pakistan Nay Doosra Din Shuru Kia Tou Innings Jaldi Nimat Gai. Pakistan Kay Batters Sirf 202 Runs Hi Score Ker Sakay. Captain Babar Azam 75 Aur Saud Shakeel 63 Runs Kay Sath Numayan Rahay. Baqi Koi Nahi Chala.

2nd Day Stumps Tak England 5 Wickets Par Mazeed 202 Runs Bana Kar Match Pakistan Say Kafi Door Lay Gaya Tha. Yahan Tak Ke 2nd Innings Main 275 Runs Score Kar Dalay. Youn Pakistan Ko Mila 355 Runs Ka Target. Debutant Abrar Nay Is Innings Main 4 Wickets Leen, Youn Match Main 11 Wickets Hasil Keen.

England Kay Harry Brook Nay 108 Runs Score Kiye. Ben Duckett Nay Aik Aur Half Century Banai. Un Ka Score 79 Runs Tha.

Ab Aik Aur Imtehan

Doosri Innings Main Pakistan Nay Batting Shuru Ki Tou Injury Ki Waja Say Imam Ul Haq Ki Jaga Rizwan Aur Abdullah Shafiq Open Karnay Aaey. Rizwan 30 Aur Abdullah Shafiq 45 Runs Bana Sakay.

Captain Babar Azam, Jin Say Her Baar Ki Tarha, Iss Dafa Bhi Umeedain Theen Kay Woh Match Winning Innings Khelain Gay, Magar Woh Sirf 1 Run Per Bowled Hogaey.

Saud Aur Imam Nay Kuch Umeed Dilai Magar Imam 60 Runs Per Un Ka Saath Chour Gaye. Jab 3rd Day Khatam Hoa Tou Saud Kay Sath Faheem Ashraf Crease Per Kharay Thay.

Aur Phir Aaya Match Ka Day 4, Jab Faheem Ashraf Sirf 10 Runs Per Out Ho Gaey. Match Nikaalnay Ki Umeed Aur Kam Ho Gai. Phir Bhi Saud Confidently Score Agay Barhatay Rahay. Mohammad Nawaz Say Unhain Achi Partnership Bhi Mili. Yahan Tak Ke Nawaz 45 Runs Per Out Hogeay. Samjhain Match Khatam.

Saud Nay Himmat To Ki Aur Target Ki Taraf Barhtay Rahay. Laikin Leg Side Per Aik Ghair Zaruri Shot Nay Saud Ki Innings Ka Khatma Kar Dia, Wo Bhi Us Waqt Jab Wo 94 Runs Par Khel Rahay Thay. Yani Apni First Test Century Say Mehroom Reh Gaey.

Jab Baqi Batters Say Kuch Na Hua To Tail-Enders Kya Kar Laitay? Agha Salman Ager Nay Kuch Achay Shots Zarur Khelay, Par Kahani Zyada Dair Nahi Chali.

Abrar Ahmed 17, Zahid Mehmood 0 Aur Muhammad Ali 0 Run Per Out Hoay Aur Pakistan Match Kay Sath Series Bhi Haar Gaya. England Sirf Runs Say Match Jeet Gaya. Sath Hi Babar Azam Ki Kaptai Par Aik Aur Question Mark Lag Gaya.

Harry Brook Ko Man Of The Match Qaraar Diya Gaya Aur Abrar Ahmed Achi Performance Kay Bawajoud Defeated Team Say Honay Ki Waja Say Is Aizaz Say Mehroom Rahay.

Pakistan Yeh Match Aur Test Series Haar Kar World Test Championship Kay Final Ki Race Say Bhi Bahar Ho Chuka Hay.

Ab Series Ka Last Dead Rubber Test Match 17th December Say Karachi Main Hoga. Pakistan Kay Pass New Zealand Kay Khilaf Series Say Pehlay Hosh Main Aanay Ka Ye Last Chance Hoga.

شیئر

جواب لکھیں