Legal Business Karna Complicated Aur Mushkil Hai Aur Illegal Karobaar Seedha Aur Asaan. Agar Koi Sab Taxes Pay Kar Ke Import Ka Business Shuru Karta Hai Tou Uska Business Fail Ho Jata Hai Kyunke Koi Doosra Admi Tax Aur Duty Diay Bagher Same Goods Ko Lower Price Mein Pehle Hi Sell Kar Raha Hai. Wohi Products Jo Humain Rozana Jaga Jaga Nazar Aati Hain, Chocolates Se Lekar High-Tech Devices Tak.

Pakistan Mein Legal Channel Se Simple Si Cheez Ko Bhi Import Karna Sasta Nahi Parta, Kyunke Import Duties Ziada Tar Items Par Kaafi High Hain, Taqreeban 50% Tak.

Mazey Ki Baat Yeh Hay Ke Records Bhi Clearly Data Show Nahi Karte. Islamabad Ka Ek Bara Cosmetic Store Jiski Worth 50 Crores Se Bhi Ziada Hai, Uska Pakistan Bureau Of Statistics Ki Annual Reports Mein Official Number 30 Crores Dikhaya Wa Hai.

Han Han Sab Hi Ko Pata Hai Ke Ziada Tar Items Smuggle Ho Kar Hi Pakistan Mein Aatey Hein, Par Sawal Ye Hai Ke In Saarey Mehenge Items Ki Payment Ke Paise Bahir Kese Jaate Hain? Kia Exchange Ka Koi Mechanism Hai? Ye Import Duties Se Kese Bach Jaate Hein ? Aur Customs Kiya Hamari Itni Weak Hai?

Money Laundering Akhir Hoti Kese Hai?

Raftar Bharne Do

Dunya Ke Jis Bhi Konay Mein Overseas Pakistani Maujood Hein, Wahan Unke Liye Banking Aur Official Channels Say Hat Kar Aik Tareeqa Hay: Hawala Aur Hundi. In Kay Agents Ka Channel Directly Pakistan Se Connected Hota Hai, Jahan Inke Workers Hotey Hein. Ye Agents Overseas Pakistanis Aur Exchange Companies Se Dollars Khareedtay Hain, Wo Bhi Kam Se Kam 2% Premium Par.

Phir Pakistan Mein Jo So-Called Importers Hein, Wo In Agents Ke Workers Ko Paise Pay Kardete Hein. Phir Ye Workers Ye Payment Overseas Pakistani Ya Exporters Ke Pakistani Bank Account Mein Transfer Karte Hein, Ya Cash Day Dete Hein Jiski Proper Fee Charge Ki Jaati Hai. Consumer Market Se Inke Exchange Rate Mein Kaafi Kami Hoti Hai.

Youn Exporters/Overseas Pakistani Ko Aik Acha USD Rate Mil Jata Hai, Kyunke In Agents Ke Pass Iss Process Ke Liye Pehle Se Hi Dollar Ki Kafi Storage Hoti Hai.

Ye Jo Pakistan Mein So-Called Importers Hein, Is Sab Ne UAE, Japan Aur China Mein Fake Companies Banai Hui Hain, Jahan Inko Agents USD Farhaam Karte Hein. Kabhi Kabhar Ye Fake Companies $5k Se $50k Jesi Choti Legal Transactions Bank Ke Through Kar Deti Hein, Nazron Se Bachne Ke Liye. 

Smuggling Ke Tareeqay

Raftar Bharne Do

Importers Ki Fake Companies Foreign Companies Ko Full Amount Pay Karke Cheezein Khareed Leti Hain. Pakistan Mein Customs Official Tax Charge Karte Hein Jo Legal Transfer Rates Ke Mutabiq Hote Hain, Par Kabhi Kabhi Inhe Bribe Bhi Kardiya Jaata Hai Paise Ya Gifts Dety Kar.

Legal Custom Charges Jo 50% On Imported Goods Hain, Iss Se Bachne Ke Liye In Fake Companies Ka Tareeqa Ye Hai Ke Agar Ek Product $100k Cost Karti Hai To Use $10k Ka Pakistan Mein Bheja Jaega. Customs Ismein Tax Lagaegi Tou Iski Total Cost Phr $105k Banjaati Hai. Bachat Kese Hui? Wo Aisay Ke Jahan Legal Channel Se Custom Tax Lagne Ke Baad $150k Banta Wohin Ye Sirf $105k Ka Hua. Aur Phir Ye Rolling Jaari Rehti Hai Aur In Sab Ka Profit Aisay Hi Generate Hota Hai.

Ye Smugglers Tou Buhat Types Ke Hote Hain, Jinhain Khepia Ka Naam Bhi Dia Jata Hai. Sab Se Common Aur Barhte Huay Smugglers Hain Overseas Labour. Ye Middle Se Lower Class Labour Force Hoti Hai Jo Bahir Mulk Jese UAE Jaane Ke Liye In Importers Aur Exporters Ki Fake Companies Ke Pass Jaate Hein. Ye Fake Companies  In Mazdooron Ke Passports Aur Tickets Ki Puri Formality Complete Karke Inke Baggage Mein Products Ko Aisay Wrap Up Karti Hein Jese Inka Apna Samaan Ho. Customs Ki In Pe Nazar Kabhi Nahi Balke Buhat Bar Parti Hai, Par Kuch Hota Nahi Kyunke Iss Pure System Mein Ye Bhi Shamil Hote Hein.

Bachne Ka Tareeqa Kia?

Smuggling Itnay Urooj Par Hai Jese Hamara Culture Ho, Tax Losses Ho Rahe Hein Aur Pakistani Legal Companies High Duties Ki Waja Se Tarakki Hi Nahi Kar Paa Raheen.Laikin In Smugglers Aur Importers Ke Mazey Hein Kyunke SBP Ne Jo $50k Se Upar Ke Letter Of Credits (LCs) Ko Rok Jo Diya Hai.

Aisa Nahi Ke In Sab Ko Khatam Nahi Kiya Ja Sakta. Bilkul Kiya Jasakta Hai, Aur Wo Aisay Ke Agar Government Import Duties Ko Reduce Kardey To Ye Black Market Business Logon Ko Legal Channel Se Mehenga Lagne Lagega. Haan Duties Aur Taxes Kam Kam Collect Honge Par Jis Tarha USD Mulk Se Nikalta Jaraha Hai, Iss Se Tou Behtar Hi Haal Hoga.

State Bank Exporters/Overseas Pakistanis Ko Legal Channels Ke Through Ache Exchange Rates Offer Kare Tou Ye Hawala Hundi Bhi Kaafi Hud Tak Ruk Sakti Hai.

Akhir Mein Customs Par Nazar Rakhni Chahiye. Ye Jo Unlawful Acts Ho Rahe Hein Under The Table, In Par Sakht Action Lena Chahiye.

شیئر

جواب لکھیں