Pak-England 2nd Test Mehmaan Kay Naam Raha. Is Match Main Jahan Abrar Ahmed Ki Performance Nay Pakistani Fans Ko Khush Kia, Waheen Umpire Aleem Dar Kay Decisions Per Buhat Tanqeed Bhi Hui. Match Kay Talking Points Kaun Say Rahay? Aayen Dekhtay Hain:

Lagataar 3 Test Matches Mein Haar

Pakistan Nay 63 Saal Baad Home Ground Per 3 Test Matches Lagataar Haraay Hain. 1959 Main Pakistan West Indies Say Lahore Test Match Hara Tha. Us Kay Bad Australia Nay Pakistan Ko Dhaka Aur Lahore Kay Test Matches Main Shikast Di Thi. Us Kay Baaad Ab 2022 Mein Aisa Hua Hay Ke Pakistan Musalsal 3 Home Test Haara Ho. England Say Pehlay Australia Nay March Main Pakistan Ko 3 Test Matches Ki Series Kay Last Match Main 115 Runs Say Defeat Di Thi. Yeh Match Lahore Main Khela Gaya Tha.

Phir England Aur Pakistan Kay Pehlay Test Match Main Rawalpindi Main Host Team 74 Runs Say Haari. Phir Multan Test Match Main England Nay Pakistan Ko 26 Runs Say Haraya.

Aleem Dar Kay Controversial Decisions

Aleem Dar Apni Achi Umpiring Ki Waja Say Kafi Mashoor Hain. Buhat Kam AIsa Hota Hay Kay Aleem Dar Kay Decisions Overturn Hon.

2003 Say Ab Tak 140 Test Matches Supervise Karna Walay Aleem Dar Ko Multan Main Na-Janay Kya Ho Gaya. Test Kay Pehlay Din, Pehlay Hi Session Mein Un Kay 3 Decisions Overturn Huay.

Pak-England 2nd Test
(Photo: PCB)

Phir Pakistan Ki 2nd Innings Main Jab Saud Shakeel 94 Kay Score Per Batting Ker Rahay Thay To Mark Wood Ki Leg Side Say Bahar Jati Ball Per Wicket Keeper Kay Hathon Catch Out Diay Gaey.

Umpire Aleem Dar Nay Leg Umpire Marais Erasmus Say Discuss Kiya Aur Third Umpire Joel Wilson Say Consult Kiya. Aleem Dar Nay Out Ka Soft Signal Dia. Iss Liye TV Umpire Nay Replay Daikhnay Kay Baad Bhi Iss Ko Out Hi Qaraar Diya. Replay Main Dekha Jasakta Hay Kay Wicket Keeper Kay Gloves Main Jatay Huay Ball Ground Say Bhi Touch Hui Thi. Laikin Aleem Dar Ka Soft Signal Saud Shakeel, Aur Pakistan Ko Bhi, Buhat Mehnga Par Gaya.

Babar Aur Rizwan, Umeedain Toot Gaeen

Captain Babar Azam Aur Wicket Keeper Batter Mohammad Rizwan Say Fans Ko Buhat Umeedain Theen. Donon Players Per Match Winning Innings Due Thi. Babar Azam 1st Innings Main 75 Runs Per Out Huay, Tab Jab Team Ko Aik Bari Partnership Ki Zaroorat Thi. Phir Rizwan Bhi Sirf 10 Runs Per Pavilion Laut Gaey.

Pak-England 2nd Test
(Photo: PCB)

Phir 2nd Innings Main Rizwan Ko Imam Ul Haq Ki Injury Ki Waja Say Opening Per Bheja Gaya. Rizwan Nay Tez Khelnay Ki Koshish Ki Aur 43 Balls Per 30 Runs Score Kardiye. Yahan James Anderson Ki Aik Kamal Out Swing Delivery Kay Samnay Rizwan Ka Defence Nakaam Hogaya Aur Who Bowled Hogaey.

Phir Babar Azam Bhi 1 Run Per Robinson Ki Andar Aati Ball Ko Judge Na Ker Sakay, Aik Aur Batter Clean Bowled!

Donon Ka Shumar Pakistan Cricket Kay Eham Tareen Players Main Hota Hay Aur In Ka Aisay Fail Hona Match Main Decisive Factor Sabit Hua.

Abrar Ahmed Ka Dream Debut

Pakistan Kay Debutant Spinner Abrar Ahmed Nay History Rewrite Kardi. Pak-England 2nd Test Test Match Main 10 Wickets Lay Ker Woh Pakistan Cricket Ki Tareekh Mein Debut Par 10 Ya Zyada Wickets Lainay Walay 2nd Bowler Ban Gaey. Is Say Pehlay Yeh Aizaz Fast Bowler Mohammad Zahid Kay Paas Tha Jinhon Nay 1996 Main New Zealand Kay Against Debut Per 11 Wicket Hasil Kia Theen.

Wo World Cricket Kay 18th Bowler Hain Jinhon Nay Debut Per 10 Ya Zyada Wickets Li Hon.

Pakistan World Test Championship Say Bahar

Pak-England 2nd Test Main Shikast Kay Sath Pakistan World Test Championship Table Par 6th Place Par Agaya Hay. Pakistan Nay 11 Matches Khelay Hain Aur Sirf 4 Jeetay Hain. Youn Pakistan Kay Final Khelnay Kay Chances To Khatam Ho Gaey.

BazBall Era

Brendon McCullum Nay Iss Saal Hi England Cricket Team Ki Coaching Ka Zimmedari Sanbhali Hay. Un Ki Coaching Main England Ab Tak New Zealand Aur India Ko Bhi Test Series Main Hara Chuka Hay.

Pakistan Ko Test Series Main Shikast Dai Ker McCullum Nay Ab Tak 3 Test Series Main 3 Test Nations Ko Shikast Di Hay. Captain Ben Stokes Aur McCullum Kay Era Main Ab Tak England 9 Main Say 8 Matches Jeeta Hay. Yani BazBall Zabardast Ja Raha Hay!

شیئر

جواب لکھیں