Saud Shakeel 94 Runs Par Khel Rahay Thay, Apni Pehli Test Century Kay Qareeb, Pakistan Ko Aik Tareekhi Kamyabi Dilanay Kay Qareeb, Aur Series Barabar Karnay Kay Bhi Qareeb. Laikin Mark Wood Ki Aik Ball, Aur Us Par Aleem Dar Kay Aik Faislay Nay Sab Kuch Badal Dia. Aik Soft Signal Pakistan Ko Buhat Bhari Parr Gaya.

Hua Kya Tha?

Ye Innings Ka 92nd Over Tha. Pakistan Kuch Dair Pehlay Hi Mohamad Nawaz Ki Qeemti Wicket Ka Nuqsan Utha Chuka Tha. Ab 64 Mazeed Runs Ki Zarurat Thi Aur Yahan Saud Say Wohi Ghalti Hui, Jo Nawaz Nay Ki Thi. Unhon Nay Mark Wood Ki Aik Down The Leg Ball Ko Chairr Dia. Ball Un Kay Glove Ko Lagti Hui Wicket Keep Ollie Pope Kay Paas Puhanchi, Jinhon Nay Dip Hoti Ball Ko Pakar Lia.

Aik Zor-Daar Appeal Hui, Wicket Keeper Nay Bhi Hath Utha Ka Catch Claim Kardia. Laikin Umpire Aleem Dar Nay Faisla Third Empire Joel Wilson Kay Supurd Kardia, Aur Sath Hi ‘Soft Signal’ Dia, OUT!

Joel Wilson Nay Bara Waqt Lia, Aur Kaha Ke Aleem Dar Apnay On-Field Decision Par Qaim Rahain Aur Youn Saud Ko Wapis Bhej Dia Gaya.

Hungama Hay Kyun Barpa?

Is Faislay Par Hungama Hona Hi Tha, Hua Bhi. Kuchh Logon Kay Khayal Mein Third Umpire Ko On-Field Umpire Kay Faisla Mustarad Karna Chahiye Tha. Laikin Baqi Logon Ka Kehna Tha Ke Replay Mein Evidence Itna Conclusive Nahi Tha Ke On-Field Umpire Kay Faislay Ko Overrule Kia Jata.

Laikin Replay Mein Lagta Tha Ke Ball Pope Kay Gloves Mein Hi Thi Jab Wo Grassed Hui, Yani Zameen Ko Chhu Gai Thi. Yahi Waja Hay Ke Match Kay Baad Pakistani Captain Babar Azam Nay Bhi Kaha Ke Saud Shakeel Kay Faislay Nay Hamain Bara Nuqsan Puhanchaya. Umpire Kay Faislay Ka Ehtaram Kartay Hain, Laikin Ye Faisla Hamain Theek Nahi Laga.

Ye Soft Signal Hota Kya Hay?

Asal Mein Umpire Kisi Bhi Faislay Ko Third Umpire Ki Taraf Refer Kartay Huay Batata Hay Ke Is Baray Mein Mera Opinion Ye Hay. Ye Opinion Us Waqt Buhat Kaam Aata Hay Jab Decision Review System Mein Koi Kharabi Ho Ya Wo Itna Conclusive Evidence Na Day Sakay.

ICC World Test Championship Ki Playing Conditions Dekhain To Appendix D Kay Clause 2.2.2 Mein Likha Hay Ke TV Umpire Ko On-Field Call Ko Overturn Karnay Kay Liay Conclusive Evidence Ki Zarurat Hay.

“Agar Third Umpire Advice Karta Hay Ke Replay Unconclusive Hay, To Start Mein Dia Gaya On-Field Decision Barqarar Rahay Ga.”

Decision Review System Mein Soft Signal Ka Yahi Qanoon Bara Masla Karta Hay. Cricket Laws Ka Responsible Marylebone Cricket Club (MCC) Bhi Advice Day Chuka Hay Ke Wo Umpires Ko Aik Naya Signal Day Ga Jis Mein Wo Out Ya Not Out Kay Ilawa Keh Saktay Hain Ke Wo Dekh Nahi Sakay. Especially On-Field Catches Kay Ma'mlay Mein, Jab Koi Catch Boundary Line Par Lia Gaya Ho To Door Kharay Umpire Kay Liay Out Ya Not Out Ka Faisla Dena Mushkil Hota Hay.

Yahi Waja Hay Ke Indian Premier League Soft Signal Rule Ko Khatam Kar Chuki Hay. Laikin ICC Ab Bhi Isay Lay Kar Chal Raha Hay. Aur Yahi Qanoon Aaj Pakistan Ko Buhat Mehnga Parr Gaya. Wo Jeet Kay Buhat Qareeb Puhanch Kar Bhi Haar Gaya, Aur Series Bhi Hath Say Chali Gai.

شیئر

جواب لکھیں