Aksar Naujawan Jab Business Karnay Ka Sochtay Hain Tou Un Ka Khayal Hota Hay Ke Business Karoron Rupay Ki Investment Si Hi Kiya Ja Sakta Hay. Us Ke Liye Kisi Posh Elaqay Main Shandar Office Aur Millions Of Rupees Ka Capital Aur Cash Flow Hona Chahiye. Ab Jin Ke Pass Itna Paisa Nahi Hota Wo Ye Soch Kar Mayus Ho Jatay Hain Ke Jab 9 Man Tel Hi Nahi Tou Radha Kesay Nachay Gi. Dusri Janib Agar Hum America Ko Dekhen Tou Aaj Dunya Per Raj Karnay Wali Bohat Si Companies Garage Se Start Hui Theen. Yani Bohat Small Scale Per.
Garage Main Janam Lenay Wali Big Companies
Kisi Garage Main 1 Ya Aik Se Zyada Naujawanon Ne Kese Apnay Genius Idea Ko Haqeeqat Ka Roop Diya, Ye In Companies Ki Stories Ka Essential Part Hay Jo Aksar Ye Companies Bhi Proud Se Batati Hain.
Silicon Valley Ki In Famous Companies Ki Stories Bohat Motivating Aur Captivating Hain. Ye Dunya Bhar Main Un Najawanon Ko Hosla Deti Hain Jo Apna Business Start Karna Chahtay Hain Magar Resources Ki Kami Ka Shikar Hain.
Aaj Un Garages Main Se Bohat Se Us Halat Main Nahi Hain Jab Un Main Ye Famous Companies Qaaim Ki Gayi Theen. Magar In Ke Reovated Model Bhi Fans Aur Even Un Shehron Ke Municipalities Ki Nazron Main Historic Sites Hain.
1. Apple
Steve Jobs Aur Steve Wozniak Ne Reportedly Los Altos Ke Is Ghar Ke Garage Se Apple Ka Start Kiya Tha. Ye Steve Jobs Ka Bachpan Ka Ghar Bhi Hay. 2013 Main Los Altos Historical Commission Ne Is Jagah Ko Historic Site Designate Kiya. Agarche Wozniak Garage Main Apple Ke Startup Ko “A Bit Of Myth” Qarar Detay Hain. Un Ka Kehna Hay Ke Garage Main Wo Aur Steve Jobs Sirf Ideas Discuss Kartay Thay.
Steve Jobs Aur Steve Wozniak Ne 1st April 1976 Ko Apple Start Ki Thi.
2. Google
Google Ke Founders Larry Page Aur Sergey Brin Ne 1998 Main Menlo Park Ke Ye Jagah Rent Per Liya Aur Apna Famous Search Engine Shuru Kiya. Aaj Google Dunya Ki Un Companies Main Se Hain Jin Ka Impact Har Shakhs Aur Life Ke Har Aspect Per Hay.
Ye Garage Susan Wojcicki Ke Ghar Ka Hissa Tha, Wo Ab Youtube Ki Ceo Hain. Susan Future Ke 2 Billionaires Se $1,700 Per Month Rent Leti Theen.
3. HP
Almost 84 Saal Pehlay Bill Hewlett Aur David Packard Ne Hp Ki Foundation Palo Alto Main David Packard Ke Garage Main Rakhi Thi. 1987 Main Isay Historic Sight Designate Kiya Gaya. Hp Ne 2000 Main Ye Property $1.7 Million Main Purchase Kar Li Thi.
Is Garage Main Unhon Ne Audio Oscillator Develop Kiya Jo Un Ke Liye Big Success Sabit Hua, Ye Product Unhon Ne Disney Ko Film "Fantasia” Ke Liye Sell Kit Hi. Is Maqam Ko "Birthplace Of Silicon Valley" Bhi Kaha Jata Hay.
4. Microsoft
Microsoft Ke Cofounders Bill Gates Aur Paul Allen Ne Shuru Main Albuquerque Ke Garage Se Kaam Shuru Kiya. Is Ke Saath Sundowner Motel Un Ka Temporary Home Base Tha Jahan Unhon Ne Basic Programming Language Ka Pehla Version Likha Tha.
2013 Main Ye Motel Redevelop Kar Ke Affordable Housing Main Convert Kar Diya Gaya.
5. Amazon
Jeff Bezos Ne Apni Company Ka Start Bellevue, Washington Ke Ghar Se 1995 Main Kiya Tha. Ye Ghar Unhon Ne Aur Un Ki Wife Mackenzie Ne $890 Per Month Rent Per Liya Tha.
Bezos Ne Aik Baar The Wall Street Journal Ko Bataya Tha Ke Ye Ghar Unhon Ne Is Liye Liya Kiun Ke Is Main Garage Tha. Takay Wo Apni Company Ke Hewlett-Packard Aur Dusri Major Tech Company Ki Tarah Start Per Fakhar Kar Saken.