Football World Cup Apnay Last Moments Main Dakhil Ho Chuka Hay. Semi Final Main Do Giants Ka Muqabla Do Dark Horses Say Hoga. Mauqa Sab Kay Paas Hai Kay Wo Dream Final Khelain, Laikin Jayen Gi 2 Teams Hi. Pehli Ka Faisla Aaj Raat Argentina vs Croatia Semi Final Main Hoga.

1st Semi Final - Argentina vs Croatia

Lusail Iconic Stadium Main Aaj Raat Taakra Hoga Argentina Aur Croatia Ka. Wo Teams Jo Quarter Finals Main Opponents Ko Penalty Shoot Out Per He Hara Kar Aai Hain. Croatia Nay Brazil Jaisay Giant Ko Aur Argentina Nay Netherlands Ko Dump Kia Tha.

Agar Donon Teams Kay Head-to-Head Matches Dekhain To Croatia Aur Argentina 4 Dafa Amnay Samnay Aa Chukay Hain Aur Dono Teams Nay 2,2 Baar Aik Doosray Ko Haraya Hay.

Argentina Kay Chances

Argentina Kay Pass Yeh Golden Chance Hoga Kay 36 Years Baad World Cup Ka Title Hasil Kerlay. Messi Ki Captainship Main Argentina Is Semi Final Ko Jeetnay Kay Liye Sir Dharr Ki Bazi Laga Day Ga.

Argentina Last Time 2014 Main FIFA World Cup Final Main Puhancha Tha, Laikin Germany Ko Hara Nahi Saka.

Laikin Is World Cup Main Netherlands Kay Against Quarter Final Main Argentina Ka Game Buhat Aggressive Tha. Jahan Is Ki Waja Say Jeetay, Waheen Unko Yellow Cards Bhi Bhugatna Paray. Is Liay Semi Final Main Zara Bach Kar Khelna Hoga. Kisi Bhi Harsh Foul Ki Surat Main Agar Koi Player Bahar Gaya Tou Argentina Kay Liye Masla Ho Sakta Hay.

Waisay Argentina Kay Pass Aik Zabardast Record Hay Kay Woh Kabhi Semi Final Main Nahi Hara. Semi Final Tak Puhanch Kar Argentina Nay Hamesha Final Kay Liye Qualify Kiya Hay. Argentina Nay Kull 5 Bar World Cup Ka Final Khela Hay. Iss Say Pehlay Wo 1930, 1986, 1990 Aur 2014 Kay Semi Finals Main Kamiyabi Hasil Kar Chuka Hay. 1978 Kay World Cup Main Semi Final Nahi Huay Thay Aur Argentina Ye World Cup Jeeta Bhi Tha.

Messi Ka Last World Cup

Argentinian Captain Lionel Messi 35 Saal Kay Hain, Aur Yeh Un Ka Last World Cup Hoga. Woh Pehlay Hi Keh Cukay Hain Kay Woh World Cup Kay Bad Retire Hojaein Gay. 2005 Main Debut Kay Bad Say Messi 170 Matches Main 95 Goals Score Ker Chukay Hain. Messi Ki RAFTAR Ko Rokna Croatian Defence Kay Liye Aasan Nahi Hoga.

Recent Performance

Argentina Nay Is World Cup Main Ab Tak 5 Matches Main 9 Goals Score Kiye Hain. In Main Say 4 Goals Lionel Messi Nay Kiye. Argentina Nay Kisi Bhi Match 2 Say Ziada Goals Score Nahi Kiye.

Doosri Taraf Croatia Ko Dekhain To Us Nay 6 Goals Kiye Hain Jin Main Say 4 Goals Canada Kay Against Thay. Croatia Nay Pre-Quarter Final Main Japan Aur Quarter Final Main Brazil Ko Penalty Shoot Out Per Shikast Di Thi. Andrej Kramarić Is World Cup Main Croatia Kay Top Scorer Hain, Unhonay 2 Goals Kiye Hain.

Croatia Kay Chances

Croatia Ki Team Consecutive Second Time Aur Total Teesri Martaba World Cup Semi Final Main Puhanchi Hay. 1998 Main Croatia Ko Semi Final Main France Nay Shikast Di Thi. Laikin 2018 Kay World Cup Main England Ko Semi Final Main Hara Kar Final Main Jaga Banai Thi.

Is Match Say Pehlay Croatia Ki Team 11 Matches Main Undefeated Rahi Hai. Phir Ye 2018 Kay World Cup Ki Finalist Team Bhi Rahi.

Agar Croatia Final Main Puhanch Jata Hay Tou Woh Italy, Netherlands Aur Germany Kay Baad 4th Team Hogi Jo Musalsal 2 World Cup Kay Finals Kheli Ho.

Croatia Ki Kaptani Luka Modrić Kay Pass Hay. 37 Saal Kay Modrić Ka Bhi Yeh Mumkina Toar Per Last World Cup Hay. Midfield Ki Position Main Un Jaisa Koi Nahi. 2006 Main Debut Kay Baad Woh Croatia Kay Liye 160 Matches Main 23 Goals Score Ker Chukay Hain. 2007 Say 2021 Tak Woh Record 10 Bar Croatian Footballer Of The Year Ka Aizaz Apnay Naam Kar Chukay Hain. Un Kay Pass Croatia Kay Liay Sab Say Ziada Matches Khelnay Ka Record Bhi Hay.

Argentina Aur Croatia Kay Captains Ko Modern Era Kay Legend Players Ka Darja Hasil Hay, Taham Un Kay Pas Abhi Tak 'World Cup' Nahi Hay. Dekhna Yeh Kay Kay Kaunsa Captain Apni Team Ko Jeet Dila Ker World Cup Dream Zinda Rakhta Hay Aur Kis Kay Dil Main World Cup Jeetnay Ka Khwab Hamesha Kay Liye Adhora Reh Jaey Ga.

شیئر

جواب لکھیں