Ap Ki Pocket Mein Aik Aisi Cheez Hay Jo Aap Ki Health Ko Hijack Kar Sakti Hay Aur Focus Ko Destroy Kar Sakti Hay. Phir Mood, Motivation, Productivity Aur Sleep Quality Sab Kharab Kar Deti Hay. Ye Hay Aap Ka Smartphone Jis Ki Addiction Buhat Bara Masla Ban Chuki Hay. Laikin Ghabraane Ki Baat Nahi Kyunke Phone Addiction Ka Bhi Solution Hay Hamare Pass. Bus Kuch Casual Steps Follow Karne Hein Aur 14 Din Mein Aap Ki Ye Addiction Khatam Ho Jayegi.

Ad Blocker Use Karein

App Store Se Koi Bhi Ad Blocker Install Kar Lain Jo Aap Ki Social Media Advertisements Ko Mute Karde, Taake Aap Aaram Se Apne Kaam Pe Focus Kar Sakain Aur Dehan Kaheen Aur Na Jaye.

Delete Apps

Wo Apps Delete Kar Dain Jo Aap Ab Use Na Karte. Hota Ye Hay Ke Aap Phone Uthate Hein To Aisi Unwanted Apps Kay Notifications Bhi Aatay Hain. Phir Aisi Apps Phone Kay Phone Ka Space Bhi Khati Hain. Is Liay Behtar Hay Ke Ghair Zaruri Apps, Jese Games Ya Koi Social Media App, Delete Kardain.

Adjust Sound Settings

Aap Koi Kaam Kar Rahe Hein Aur Yakdam Phone Baj Uth'ta Hay, Aap Chonk Jatay Hein. Is Liay Koi Aisi Ringtone Set Karein Jo Soothing Ho, Aur Aapko Youn Shock Na Day.

Parental Control Yourself

Parental Control App Install Karain Jis Mein Phone Use/Screen Timer Ho, Jo Aap Ko Phone Ek Waqt Tak Use Karne Day Aur Phir Notify Karay Ke Ab Phone Rakhne Ka Waqt A Gaya Hay, Ya Phir Wo Khud Hi Kuch Time Kay Liay Lock Hojaey.

Charging Instructions

Apne Phone Sath Rakh Kar Charge Pen Bilkul Na Rakhein. Jab Bhi Battery Down Ho To Usay Apne Room Kay Kisi Mein Charge Par Laga Dein Aur Khud Sukoon Say Bethain.

شیئر

جواب لکھیں