FIFA World Cup Ka Semi First Final To Messi Kay Magic Kay Sath Khatam Hua Laikin Abhi Moroccan Miracle Baqi Hay. 2nd Semi Final Mein Tay Hoga Ke Argentina Say Final Kaun Khelay Ga? Laikin Yahan Morocco Ka Samna Hay France Say, Kylian Mbappe Say.

France vs Morocco

Football World Cup 2022 Mein Ab Sirf 3 Matches Reh Gaey Hain. 2nd Semi Final Main Morocco Kay Pass Mauqa Hoga Kay France Ko Haraa Ker Final Mai Jagha Bananay Wali Pehli African Team Ban Jaey. Is Say Pehlay Koi African Team Football World Cup Kay Semi Final Tak Nahi Khel Saki Thi. Ye Karnama Bhi Morocco Ka Hi Hay.

Doosri Taraf, Agar France Morocco Ko Hara Kar Final Main Puhanchta Hay Aur Argentina Ko Bhi Hara Ker Title Jeet Laita Hay To Yeh Last 60 Years Main Pehla Moqa Hoga Kay Defending Champion Nay Title Retain Kia.

France Kay Chances

France Nay Quarter Final Main England Kay Khilaf Impressive Game Pesh Kiya Tha. England Kay Defensive Khel Kai Samnay French Forwards Kay Passes Aur Movements Ka Koi Toar Nahi Tha.

Phir France Morocco Say Kabhi Nahi Haara Hay. Donon Teams Is Say Pehlay World Cup Kay Kisi Match Main To Aamnay Samnay Nahi Aein. Laikin 5 Friendly Matches Zarur Khel Chuki Hain. In Matches Main 3 Baar France Fateh Raha, Aur 2 Bar Matches Draw Huay.

Haan! France Ko Group Stages Main Morocco Kay Parosi Tunisia Nay Zarur Shikast Di Thi. Is Liay Morocco Ko Umeed To Zarur Hay, Laikin Kisi World Cup Main Koi Team 2 Bar Kisi African Team Say Nahi Haari.

France Ka Yeh 7th World Cup Semi Final Hoga. France Ko 1958, 1982 Aur 1986 Kay Semi Finals Main Shikast Hoi Thi. Taham Wo 1998, 2006 Aur 2018 Kay Semi Finals Jeeta Tha.

France Kay Coach Didier Deschamps Ka Yeh French Team Kay Sath Last World Cup Hay. Woh Apni Team Ko Jitwanay Kay Liye Sir Dharh Ki Bazi Laga Dain Gay.

Morocco Kay Chances

Morocco Kay Semi Final Main Anay Say African, Aur Especially Muslim, Sentiments Barh Gai Hain. Atlas Lions Nay Morocco Say Indonesia Tak Aik Buhat Bari Fan Following Hasil Ki Hay. Phir Karnamay Bhi Kam Nahi Dikhaey. Is World Cup Main Koi Team Moroccoa Kay Against Goal Nahi Kar Saki. Canada Nay Morocco Kay Against Jo Goal Kia Tha, Wo Bhi Own Goal Tha.

Last TIme 2006 Main Itlay Aur 2010 Main Spain Tha, Jis Kay Against Tournament Mein Koi Goal Score Nahi Hua Tha, Aur Mazay Ki Baat Ye Ke Dono Teams Hi Eventually World Champion Bani Theen.

Jin Players Ka Match Dekhnay Kay Qabil Hoga, Un Main France Kay Kylian Mbappe Hain, Jo FIFA World Cup 2022 Kay Top Scorer Hain. Phir Morocco Kay Achraf Hakimi Ka Khel Daikhnay Say Ta'luq Rakhta Hay. Agar Ko French Defenders Nay Hakimi Ko Control Kar Liya To Morocco Kay Liye Mushkil Ho Sakti Hai.

Phir, Portugal Kay Khilaaf Morocco Kay Goalkeeper Yassine Bounou Nay Jo Shandaar Saves Kiay, Un Ki Performance Bhi Buhat Important Hogi.

France vs Morocco Semi Final Budh Aur Jumerat Ki Darmiani Shab 12 Bajay Shuru Hoga. Jis Mein Morocco Aur Dimagh France Kay Sath Hoga.

شیئر

جواب لکھیں