Expectations To Buhat High Theen Ke Ye Hojaey Ga, Wo Hojaey Ga. Laikin Argentina vs Croatia Semi Final Mein Messi Kay Magic Kay Samnay Kisi Ki Aik Nahi Chali. Argentina Aik One-Sided Match Kay Baad FIFA World Cup 2022 Ka 1st Semi Final 3-0 Say Jeet Gaya Aur Youn Aik Martaba Phir Final Mein Puhanch Gaya Hay.

Lusail Iconic Stadium Mein Argentina Nay Shuru Mein Hi Lead Lay Li Thi. Ye 32nd Minute Tha Jis Mein Croatian Goalkeeper Dominik Livakovic Ko Aagay Barthay Julián Álvarez Ko Roknay Ki Koshish Mein Yellow Card Dekhna Para, Is Say Bhi Zyada Ye Ke Penalty Bhi Ho Gai. Jis Par Lionel Messi Nay Goal Score Kar Dia.

Messi On The Top

Is Goal Kay Sath Hi FIFA World Cup 2022 Mein Messi Kay Goals Ka Count 5 Ho Gaya Hay. Yani Top Scorer French Kylian Mbappe Kay Barabar. Wo Alag Baat Ke Messi Nay Apnay 5 Mein Say 3 Goals Penalty Par Kiay Hain.

Argentina 2-0 Croatia

Phir Zyada Dair Nahi Guzri Kay Alvarez Nay Aik Zabardast Long Run Kay Baad Doosra Goal Kardia. Pichlay Challenge Par 2 Yellow Cards Khanay Kay Baad Croatian Defence Waisay Hi Ghabraya Hua Tha, Phir Alvarez Ki Qismat Bhi Achi Thi. Aik Baar Ball Un Kay Control Say Bahar Bhi Hui, To Wapis Unhi Kay Paas Aai. 2nd Chance Kaun Chhorta Hay? Ball Palak Jhapaktay Mein Croatian Goal Mein Thi. Argentina 2-0 Croatia.

Magical Messi

Is Semi Final Mein Hamain Messi Ki Wohi Purani Jhalak Dekhnay Ko Mili. Last 3 Matches Mein Messi Urooj Par Nazar Aaey Hain, Jin Mein Unhon Nay 5 Goals Mein Hisa Daala Hay. 3 Goals To Khud Score Kiay Hain. Yani Final Say Pehlay Bharpoor Form Mein Hain.

Laikin Argentina vs Croatia Match Ka 3rd Goal To Pure Messi Magic Tha. Ye 69th Minute Tha, Jis Mein Unhain Half Kay Qareeb Aik Paas Mila. 35 Saal Kay Messi Say Umeed To Nahi Thi Ke Wo Yahan Say Ball Lay Kar Niklain Gay. Laikin Wo Gaey Aur Box Kay Qareeb Jis Tarah Croatian Defence Ko ‘Tigni Ka Naach Nacha’ Dia.

Kehnay Ko To 3rd Goal Alvarez Nay Kia, Laikin Is Ka Pura Pura Credit Messi Ko Milna Chahiye. Is Goal Kay Sath Croatia Ki Thori Buhat Umeedain Bhi Khatam Ho Gaeen.

Modric Ka World Cup Dream Khatam

Croatia Aur Luka Modric Ka World Cup Dream 2018 Mein Final Aur 2022 Mein Semi Final Mein Hi Toot Gaya. Last 21 Matches Mein Sirf Aik Muqabla Haarnay Wali Team Aik Important Match Mein Itni Buri Tarah Haaray Gi, Is Ki Umeed Nahi Thi.

Argentina Ka Aik Aur Final

Argentina 6th Time World Cup Final Mein Puhancha Hay. Last 3 World Cup Tournaments Mein Doosri Baar. Sirf Germany Nay Hi Argentina Say Zyada 8 Finals Khelay Hain. Argentina Kay Ilawa Italy Aur Brazil Bhi 6,6 Finals Khel Chukay Hain.

Worst Start Kay Baad...

Argentina Nay Semi Final Jaisa Bara Muqabla Jis Tarah Jeeta Hay, Yaqeen Nahi Aata Yahi Team Hay Jis Nay World Cup Ka Start Biggest Upset Ever Say Lia Tha. FIFA World Cup 2022 Mein Argentina Apna Pehla Match Saudi Arabia Say Haar Gaya Tha. Tab Lagta Tha Ke Ye Shikast Argentina Kay Liay Decisive Blow Hogi. Laikin Messy Kay Alfaz Mein Ye Defeat Argentina Kay Liay ‘Acid Test’ Sabit Hui, Aur Us Kay Baad La Albiceleste Nay Kamaal Kardia.

Final Mein Muqabil Kaun?

FIFA World Cup 2022 Kay Final Mein Argentina Ka Muqabla 2nd Semi Final Ki Winner Team Say Hoga, Jo Aaj Raat 12 Bajay France Aur Morocco Kay Darmiyan Hoga. Jahan Hamara Dil Morocco Aur Dimagh France Kay Sath Hay.

شیئر

جواب لکھیں