32 Teams Say Shuru Honay Wala FIFA World Cup 2022 Ka Safar Ab 8 Teams Tak Aa Puhancha Hay. Quarterfinals Stage Mein Ab Koi Team Kisi Say Kam Nahi, Sab World Champion Ban’nay Ki Puri Salahiyat Rakhti Hain. Laikin World Cup Trophy Kaun Uthaey Ga? Is Ka Faisla 18 December Ko Hoga.

Tournament Mein Ab Tak Kai Players Nay Apni Individual Performance Say Buhat Muta’sir Kia Hay, Aur Goals Par Goals Score Kiay Hain. Yahi Wo Players Hain Jo Golden Boot Award Ki Race Mein Shamil Hain.

Ye Golden Boot Hay Kya?

FIFA World Cup Jeetnay Wali Team Ko Trophy Denay Kay Ilawa Individual Performers Ko Bhi Awards Deta Hay, Jin Mein Say Aik Hay Golden Boot. Jisay Pehlay Golden Shoe Kaha Jata Tha.

Individual Awards Mein Top Scorer Kay Liay Golden Boot Kay Ilawa Best Player Kay Liay Golden Ball Aur Best Goalkeeper Kay Liay Golden Glove Awards Bhi Hain.

Golden Boot Kis Kis Nay Jeeta?

1930 Say Har FIFA World Cup Tournament Ka Koi Na Koi Top Scorer To Rehta Hi Hay. Laikin Officially Awards Dainay Ka Silsila 1982 Mein Shuru Hua. Ab Tak Ye Players Golden Boot Award Jeet Chukay Hain.

Golden Boot Winners 1982-2018

World CupGolden ShoeCountryGoals
1982 Spain Paolo Rossi Raftar Bharne Do Italy6
1986 MexicoGary LinekerRaftar Bharne Do England6
1990 ItalySalvator Schillaci Raftar Bharne Do Italy6
1994 USAOleg Salenko
Hristo Stoichkov
Raftar Bharne Do Russia
Raftar Bharne Do Bulgaria
6
6
1998 FranceDavor Suker Raftar Bharne Do Croatia6
2002 South Korea/JapanRonaldo Raftar Bharne Do Brazil8
2006 GermanyMiroslav Klose Raftar Bharne Do Germany5
2010 South AfricaThomas Muller Raftar Bharne Do Germany5
2014 BrazilJames Rodriguez Raftar Bharne Do Colombia6
2018 RussiaHarry Kane Raftar Bharne Do England6

World Cup 2022 Mein Golden Boot Kis Ka Hoga?

World Cup 2022 Quarterfinals Say Pehlay Tak 56 Matches Ho Chukay Hain Jin Mein Total 148 Goals Score Huay Hain. Aur Sab Say Ooper Naam Kay France Kay Kylian Mbappe Ka. Wohi Jinhon Nay Last World Cup 2018 Mein FIFA Young Player Ka Award Jeeta Tha Aur France Ko World Champion Bananay Mein Important Role Play Kia Tha.

2022 Mein Mbappe Nay Australia Khilaf Apnay Pehlay Match Mein Hi 1 Goal Score Kia. Phir Denmark Kay Against All Important Muqablay Mein Donon Goals Unhi Kay Thay. Yani Nahi Round Of 16 Mein Unhon Nay Poland Ko Bhi 2 Goals Maaray, Aur Wo Donon Goals Kamal Kay Thay. To Is Saal Golden Boot Kay Sab Say Baray Contender To Mbappe Hi Hain.

Un Kay Baad Lionel Messi Samait 9 Players Aisay Hain Jinhon Nay 3,3 Goals Score Kiay Hain. Brazil Kay Richarlison, England Kay Marcus Rashford Aur Bukayo Saka, France Kay Olivier Giroud, Netherlands Kay Cody Gakpo Aur Portugal Kay Goncalo Ramos Aisay Players Hain Jo Ab Bhi Race Mein Hain Aur Next Matches Mein Kisi Ko Bhi Peechay Chhor Saktay Hain. Ramos Nay To Saray Goal Aik Hi Match Mein Maray, Round Of 16 Mein Switzerland Kay Khilaf 6-1 Ki Kamyabi Mein Aadha Hissa Unhi Ka Tha.

To Aap Kay Khayal Mein FIFA World Cup 2022 Ka Top Scorer Kaun Hoga? Hamara Player To Mbappe Hay.

شیئر

جواب لکھیں