Finally, FIFA World Cup 2022 Ka Round Of 16 Bhi Mukammal Hua. Group Stage Mein Muqablay Mein Ye Round Kuch Dull Raha, Laikin Japan-Croatia Aur Phir Last Day Par Morocco-Spain Match Nay Saray Dukh Door Kardiay. Ab Faisla Ho Chuka Hay Ke Round Of 16 Ki Kaun Si Teams World Cup Quarterfinals Mein Puhanchi Hain Aur Un Ka Muqabla Kis Say Hoga?

Brazil vs Croatia

9 December 2022, 8:00 PM PST, Education City Stadium

Brazil Nay World Cup Mein Buhat Acha Perform Kia Hay. Haan! Taqreeban Har Bari Team Nay Jo 1 Match Haara Hay, Wo Brazil Kay Naseeb Mein Bhi Aaya. Wo Apnay Last Group Match Mein Cameroon Say Shikast Kha Betha. Laikin Us Say Pehlay Aur Us Kay Baad Buhat Acha Khelay. Round Of 16 Mein To Brazil Apni Puri Taqat Say Khela Aur South Korea Ko 4-1 Say Haraya.

Ab Quarterfinal Mein Brazil Ka Muqabla Hoga Croatia Say. Jis Kay Liay Ye Bara Mushkil Tournament Raha Hay. World Cup 2018 Ka Runner-Up Croatia Is Baar Bus Allah Allah Karkay Final-8 Tak Aaya Hay. Morocco Kay Against Goalless Draw Khela, Canada Say 4-1 Say Jeetay To Laikin Belgium Kay Khilaf Bhi Koi Goal Na Kar Sakay Aur Match Barabar Hua. Phir Round Of 16 Mein Japan Nay Un Ka Bura Haal Kardia. Bari Mushkil Say Penalty Shootouts Par Faisla Hua Aur Croatia Ko Quarterfinal Mila.

Khair, Har Team Ka Aik Din Hota Hay, Jab Cameroon Brazil Ko Hara Sakta Hay To Croatia Kyun Nahi? Dekhtay Hain Jumma, 9 December Ko Kya Hota Hay?

Netherlands vs Argentina

10 December 2022, 12:00 AM PST, Lusail Stadium

Brazil Ki Qismat Ka Faisla Honay Kay Kuchh Dair Baad Baari Hogai Us Kay Parosi Argentina Ki. Lionel Messi Ki Team Kay Liay World Cup Ka Start To Acha Nahi Tha. Pehlay Hi Match Mein Saudi Arabia Kay Hathon Tareekhi Shikast Khai. Laikin Phir Sanbhal Gaya, Mexico Ko 2-0 Say Haraya Aur Phir Poland Ko Bhi.

Round Of 16 Mein Australia Nay Argentina Ko Hila Kar Rakh Dia Tha, Aur Messi XI Barri Mushkil Say 2-1 Say Jeeti. Yani Abhi Tak Hamain Argentina Ki Taraf Say Koi Dominant Performance Dekhnay Ko Nahi Mili.

Phir World Cup Quarterfinals Mein Un Kay Muqabla Bhi Netherlands Jaisi Mushkil Team Say Hay. Waisay Dutch Team Ko Zara Aasan Group Mila Tha, Jis Mein Wo Senegal Aur Qatar Ko Haranay Mein Kamyab Raha, Aur Ecuador Say Barabar Khela. Round Of 16 Mein Bhi Netherlands Ka Taakra America Say Hua Jisay 3-1 Say Haranay Mein Kamyab Raha.

Ab Dekhtay Hain Ke Lionel Messi Ka World Cup Dream Zinda Rehta Hay Ya Netherlands Us Ka Khaatma Kar Day Ga. Waisay Match Tagrra Honay Ki Umeed Hay.

Morocco vs Portugal

10 December 2022, 8:00 PM PST, Al Thumama Stadium

Phir Hoga All-Important Match. Aik Taraf Dilon Ki Champion Morocco Ki Team Hogi To Doosri Taraf Cristiano Ronaldo Ka Portugal. Morocco Kay Liay To Ye Dream World Cup Hay. Pehlay Croatia Say Barabar Khela, Phir Belgium Ko 2-0 Say Haraya Aur Canada Kay Against 2-1 Ki Jeet Lay Kar Wo Round Of 16 Mein Aaey. Jahan Un Ka Muqabla Parr Gaya Spain Say. Jisay Unhon Nay Penalty Shootouts Par Haraya Aur Youn World Cup Quarterfinals Mein Puhanchnay Wali Pehli Arab Team Ban Gaya. Jahan Us Ka Muqabla Hoga Spain Kay Parosi Portugal Say.

Portugal Nay Ghana Aur Uruguay Ko Haranay Kay Baad South Korea Say ‘Mandatory’ Shikast Khai Aur Phir Round Of 16 Mein Apna Most Powerful Display Dikhaya Aur Switzerland Ko 6-1 Say Haraya. Goncalo Ramos Ki Hattrick To Dekhnay Kay Qabil Thi.

England vs France

11 December 2022, 12:00 AM PST, Al Bayt Stadium

Aakhri Quarterfinal Hoga ‘Maha Muqabla’, Historic Rivals England Aur France Aamnay Samnay. Donon Teams Nay World Cup Mein Achi Performance Bhi Di Hay. England Nay Pehlay Match Mein Iran Ko 6-2 Say Haraya. America Kay Khilaf Goalless Draw Kay Baad Wales Ko 3-0 Say Shikast Di. Yani Nahi Round Of 16 Mein Aik One-Sided Match Mein Senegal Ko Bhi 3-0 Say Haraya. Yani Ab Tak Koi Team England Kay Samnay Jam Nahi Saki.

Laikin France Ka Mua’mla Group Stage Mein Mila Jula Raha. Australia Ko 4-1 Aur Denmark Ko 2-1 Say Haraya, To Phir Brazil Aur Portugal Ki Tarah Upset Shikast Bhi Khai, Jab Tunisia Say 1-0 Say Haaray. Laikin Round Of 16 Mein France Sanbhal Gaya Aur Poland Ko 3-1 Say Hara Kar Sabit Kia Ke Wo Defending Champion Hay Aur Apna Title Defend Karnay Ki Poori Salahiyat Rakhta Hay.

Is Liay Umeed Hay Ke England-France Muqabla To Buhat Jaandar Hoga. Aur Is Match Kay Sath Hi Final-4 Ki Line Up Bhi Tayaar Ho Jaey Gi. Aur 4 Teams Dil Mein Jeet Ka Armaan Liay Ghar Wapis Bhi Jaen Gi. Waisay Aap Ko Kya Lagta Hay Ke Semi-Finals Mein Kaun Kaun Puhanchay Ga?

شیئر

جواب لکھیں