FIFA World Cup Knockout Round Ab Rozana Kisi Team Ko Bahar Kar Raha Hay. Pehlay Din America Aur Australia Bahar Huay Aur Ab Dekhna Ye Hay Ke Defending Champion France Aur England Poland Aur Senegal Ko Bahar Kar Patay Hain Ya Abhi Is World Cup Mein Upsets Baqi Hain. 

Round Of 16 Kay Pehlay Din America Nay Netherlands Kay Hathon 3-1 Say Shikast Khai Aur Phir Hum Nay Dekha Messi Ka Jadu! Argentina Nay Australia Ko Aik Sakht Muqablay Kay Baad 2-1 Say Haraya Aur Quarterfinal Mein Pohanch Gaya.  

The Magic Man 🪄

Saudi Arabia Kay Hathon Shikast Say Tournament Ka Start Lainay Wala Argentina Ab Full-Form Mein Aa Gaya Hay, Especially Lionel Messi. 

Australia Kay Against Match Messi Kay Football Career Ka 1,000th Match Tha, Jis Mein Un Ki Performance Bhi Zabardast Rahi. Unhon Nay 35th Minute Mein Aik Kamaal Goal Kia Aur Argentina Ko Lead Dilai. Ye Kisi Bhi FIFA World Cup Knockout Round Mein Messi Ka Pehla Goal Tha. 

Is Goal Kay Sath Hi Messi Kay World Cup Goals Legend Diego Maradona Say Zyada Ho Gaey Hain.

“Wo Ghalti” 

Australia Haar To Gaya Laikin Match Buhat Shandaar Hua. Agar Australia “Wo Ghalti” Na Karta Jo 57th Minute Mein Hui To Shayad Match Ka Result Mukhtalif Hota. Defender Kay Back Pass Ko Goalkeeper Sambhal Na Saka Aur Julian Alravez Nay Goal Kardia. Itnay Baray Match Mein Aisi Ghalti Ki Gunjaish Hoti Nahi, Australia Nay Ki Aur Nateeja Bhi Bhugat Lia. 

Match Kay Last 15 Minutes Mein Australia Nay Wapsi Ki Bari Koshish Ki, Laikin Deflection Par Aik Goal Milnay Kay Baad Wo Aik Baar Bhi Ball Argentinean Net Mein Nahi Puhancha Saka. Especially 81st Minute Mein Argentina Kay Zabardast Defence Nay Australia Ko Aik Yaqeeni Goal Say Bacha Lia. Waisay Last Minutes Mein Messi Nay Baray Chance Create Kiay Laikin Na Wo Khud Faida Utha Sakay Aur Na Doosray Players. 

Australia Ko Final Chance Stoppage Time Kay Last Minute Mein Mila, Jo Zaya Hua Aur Argentina Quarterfinal Mein Puhanch Gaya. Jahan USA Ka Muqabla Hoga Netherlands Say, Jo Pehlay Knockout Match Mein America Ko Haranay Mein Kamyab Hua. 

Dutch Toofan 

Netherlands Nay First 10 Minutes Mein Hi Lead Lay Li Thi. Laikin Is World Cup Mein Kai Teams Lead Lainay Kay Baad Hari Hain, Dutch Squad Nay Aisi Ghalti Nahi Ki, Unhon Nay Shuru Say Hi US Team Par Pressure Banaey Rakha. Aur First Half Kay Last Moments Mein Score 2-0 Kardia. 

Second Half Mein Dutch Defence Aur American Goalkeeper Matt Turner Ki Performance Dekhnay Wali Thi. Unhon Nay Kai Yaqeeni Goal Bachaey, Laikin America Ka Attack Waisa Khel Pesh Nahi Kar Saka. 75th Minute Mein Haji Wright Ko Goal Karnay Khula Mauqa Mila, Agar Wo Kar Detay To 2 Minutes Mein America 2 Goal Kar Kay Match Barabar Kar Deta, Bus Qismat. 81st Minute Mein Netherlands Nay US Defence Mein Aik Aur Hole Karkay Goal Kardia. Aur Match Khatam!

Argentina Aur Netherlands Aik Baar Phir 

Ab Quarterfinal Mein Jab Argentina Aur Netherlands Aamnay Samnay Hongay To Ye Donon Ka World Cup History Mein 6th Muqabla Hoga. In Mein Sab Say Mash’hoor Match Tha FIFA World Cup 1978 Ka Final. Jis Mein Argentina Host Tha Aur 3-1 Say Jeet Kar Champion Bhi Bana. 

شیئر

جواب لکھیں