Bachpan Ki Yadain Kuch Aisi Hoti Hain Jin Ka Asr Zindagi Bhar Sath Rehta Hay. Aaj Kaal Maslay Itnay Barh Gaey Hain Kay Kabhi Kabhi Khayal Ata Hay Kay Ager Youn Hota Tou Kia Hota Aur Woh Hota Tou Kia Hota. Matlaab Yeh Kay Ager Hum Acha Waqt Guzaartay Hain Tou Buray Waqt Main Pareshan Nahi Hona Chaheye Kion Kay Yeh Waqt Guzar Jaye Ga. Apnay Piyaron Kay Sath Khushi Say Rehna Bhi Kisi Naimat Say Kam Nahi. Is Naimat Ki Qadar Kerni Chaheye Aur Un Ka Her Mumkin Khayal Rakhna Chaheye.

Ager Ap Khush Gawar Zindagi Guzar Rahay Hain Aur Ap Ki Sehat Bhi Acchi Hai Tou Is Kay Pechay Zaror Koi Baat Hogi.

Research Main Bachpan Say Related Eham Batain

Journal Of Environmental Psychology Main Publish Honay Wali Research Main Bataya Gaya Kay Jo Bachay Apnay Bachpan Main Ziada Waqt, “Blue Spaces”, Sarsabz Aur Qudrati Muqamat Main Guzartay Hain, Woh Baray Hoker Zaihani Toar Per Tandursat Aur Behtar Hotay Hain. Blue Spaces Ka Matlab Rivers, Lakes Aur Samandar Kay Kinaray Hain.  

In Kay Ilawa Natural Environments Main Apna Bachpan Guzarnay Walay Log, Baray Hoker Ziada Hoshiyar Aur Active Rehtay Hain.

Survery Report Mai Kia Tha

Blue Health International Survey Main National Environments Kay Recreational Usage Ko Examine Kiya Gaya. Is Main 14 Europeon Countries Aur 4 Non- European Regions Kay 15743 Afrad Kay Jawabaat Ko Dekha Gaya.

Is Survey Mai Sawal Kiya Gaya Kay Participants Apnay Bachpan Main Kitni Baar “Blue Spaces” Gayi. Yeh Bhi Pocha Gaya Kay In Muqamat Per Jana Kitna Aasan Tha. Yeh Bhi Sawal Hoa Kay Aap Kay Parents Nay Aisay Places Main Visit Kay Doraan Kaisa Feel Kiya Jaab Aap In Muqamat Per Kheltay Koudtay Thay.

Research Ki Findings

Research Main Yeh Zahir Hua Kay Aisay Bachay Jo Bachpan Mai Ziada Blue Spaces Main Ghomnay Phirnay Jatay Thay, Woh Jaab Baray Hoay Tou Un Ki Mental Nurturing Yani Subjective Well-Being Behtar Hay. Yeh Loog Ziada Motivated Hotay Hain Aur In Main Agae Barhnay Ki Justujo Ziada Hoti Hay.

Pakistaniyun Ko Kia Karna Chaheye

Ab Masla Yeh Hay Kay Pakistan Jaisay Mulk Main Ap Kaisay Apnay Bachon Ko Yeh Sab Dai Saktay Hain. Pakistan Main Youn Tou Masalay Ziada Hain Mager Tafreehi Muqamat Per School Vacations Kay Ilawa Weekends Per Bhi Rush Rehta Hay.

Ager Baat Ki Jaei Karachi Ki, Daily Yahan Kay Seaside Per Hazaron Afrad Apni Families Kay Sath Atay Hain. Bachay In Muqamat Per Jaker Bauhat Khush Hotay Hain Aur Yeh Lamhaat Unkay Zaihanon Per Naqsh Hojatay Hain. Choutay Bachay Aam Toar Per, Apnay In Visits Ki Tafseel School Main Bhi Doston Main Share Kertay Hain. Kabhi Kabhi Woh Kisi Subject Main Is Baray Main Koi Mazmoon Bhi Likh Daitay Hain.

Vacations Per, Northern Areas Ka Visit Ya Pur Fiza Muqamat Per Relatives Kay Ghar Janay Ki Alag Hi Baat Hain. Yeh Yaadain Saari Zindagi Zaihan Main Reh Jati Hain. Jahan Taza Hawa Kay Sath Dil Faraib Manazir Daikhnay Ko Miltay Hain, Wahen Nature Sai Qareeb Hoker Bachay Khudh Ko Bauhat Taza Dum Mehsoos Bhi Kertay Hain.

Oper Jis Research Ka Zikar Kiya Gaya Us Main Yeh Bhi Bataya Gaya Kay Aaj Kay Doar Main Technological Advancement Ki Waja Say Lifestyle Change Hoa Hay.

Is Research Main Yeh Sabit Kernay Ki Koshish Ki Gai Kay Jo Bachay Baray Hoker Nature Say Doar Rehtay Hain, Us Ki Aik Waja Shuru Main Aisay Muqamat Say Doar Rehna Bhi Hay.

Kisi Bhi Surat, Is Baat Say Inkaar Nahi Kiya Jasakta Kay Natural Environments Sai Milnay Wali Inspiration Aur Motivation Ka Jahan Souch Per Acha Asr Parta Hay, Waheen Far Sightedness Main Bhi Ap Ka Vision Broad Hota Hay Aur Aap Kay Ander Kuch Naya Kernay Aur Sekhnay Ki Justujo Barhti Hay.

  

شیئر

جواب لکھیں