Real Estate Neechay

Stocks Neechay

Economy Neechay

Tou PHIR YE SONA KYUN OOPER JARAHA HAY?

10 October Ko Aik Tola Sona 142,000 Ka Tha...

Jo 8 December Ko 165,000 Par Puhach Gaya Hay.

Aisa Is Liay Hai Kay Dunya Mai Kai Baar Real Estate Aur Financial Tabahian Aain
Famines aur Earthquakes aaye Laikin SONA Nahi HILA.

Balkay Jitney Halaaat Kharab Hotay Hain Is Ki Demand Utni Hi Barh Jati Hay!


Kyun Kay SONA HAY SARMAYE KA SAB SE MAZBOOT AUR PURANA MOHAFIZ.

Chahay Dunya Idhar Se Udhar Hojaye GOLD Apni Jaga Par Rehta Hay.

Crypto Currency Se Pehlay,

Dollar Aur Stock Markets Se Bhi Pehlay,

Oil Aur Coal Se Pehlay.

Sona Tou Tab Bhi Qeemti Tha Jab Firoun Misr Kay Pyramids Mai Dafan Hotay Thay.

Tou Jab Saray Darwazay Band Hojatay Hain Tou Log Sab Se Purani Dukaan Par Jatay Hain.

Toofani Mehngayi Hay, Default Ka KHatra hay LOG Dar Rahay Hain Kay Un Ka Paisa Apni Value Kho Raha Hay…Aur aisay mai Gold Hi Hay Sab Se Mehfooz Thikana…Rupees Ko Gold Mai Convert Karwao Aur Sukoon Se Beth Jao…

Isi Liay July Se September Mai Pakistanio Nay 13 TONNES Gold KHAREEDA Jo Pichlay Saal Ke Comparison Mai 34% Ziada aur 3 Saal Ki Highest Quantity Hai.

Diamonds May Be A Woman’s Best Friend But Gold Is An Investors Last Hope.

شیئر

جواب لکھیں