Bangladesh Apnay Homeground Par Ho, Aur Format One Day International Ka Ho To Samajh Jaen Buhat Bara KHATRA Hay. India Ko Ye Khatra Samjhna Chahiye Tha, Laikin Shayad Us Nay Bangladesh Ko Halka Lia Aur Nateeja Bhugat Lia. Aur Bangladesh India Series Kay First 2 Matches Mein Hi Haar Betha.
Ye Haal Sirf India Kay Sath Nahi Hua. Last 8 Years Mein Bangladesh Apnay Home Ground Par 13 Series Jeeta Hay Aur Sirf 1 Haara Hay.
Post-Misbah Era Mein Pehla Qadam
Ye Post-Misbah Era Mein Pakistan Ka Pehla Qadam Tha. World Cup 2015 Kay Baad Azhar Ali Captain Banaey Gaey Thay Aur Team Aik New Era Mein Dakhil Ho Rahi Thi. Laikin Us Say Aisi Bahayank Performance Ki Umeed Bilkul Nahi Thi.
Wo Bangladesh Jo 16 Saal Tak Pakistan Kay Khilaf Aik ODI To Kya, Kabhi Koi Match Nahi Jeet Saka Tha, Aik Nahi, Do Nahi, Teenon Matches Jeet Kar Clean Sweep Kar Gya. Aur Ye Teenon Kamyabian Bhi Baray Margins Say Haasil Ki Gai Theen. Bangladesh Nay Pakistan Kay Against Pehla ODI 79 Runs Say, Doosra 7 Aur Teesra 8 Wickets Say Jeeta.
Chalain Pakistan To 'Unpredictable' Hay. Laikin Is Kay Baad Sher-e-Bangla Nay India Ka Bhi Shikar Kia. Ye History Mein India Ki Bangldesh Kay Khilaf Pehli Nakaami Thi.
Pakistan Aur India Donon Ko Haraanay Kay Baad To Bangladesh Aisa Utha Ke South Africa, Zimbabwe, Afghanistan, West Indies, Sri Lanka Jo Bhi Last 8 Years Mein Bangladesh Aaya, ODIs Mein Haar Kar Hi Wapis Gaya.
Bangladesh in Bilateral ODI Series At Home
November 2014 Say Aaj Tak
Winner | vs. | Margin | Year |
---|---|---|---|
Bangladesh | Zimbabwe | 5-0 | 2014 |
Bangladesh | Pakistan | 3-0 | 2015 |
Bangladesh | India | 2-1 | 2015 |
Bangladesh | South Africa | 2-1 | 2015 |
Bangladesh | Zimbabwe | 3-0 | 2015 |
Bangladesh | Afghanistan | 3-2 | 2016 |
England | Bangladesh | 1-2 | 2016 |
Bangladesh | Zimbabwe | 3-0 | 2018 |
Bangladesh | West Indies | 2-1 | 2018 |
Bangladesh | Zimbabwe | 3-0 | 2020 |
Bangladesh | West Indies | 3-0 | 2021 |
Bangladesh | Sri Lanka | 2-1 | 2021 |
Bangladesh | Afghanistan | 2-1 | 2022 |
Bangladesh | India | 2-0* | 2022 |
Haan! Aik Team Aisi Thi Jo Bach Gai. Ye England Tha Jis Nay 2016 Mein Bangladesh Ka Tour Kia Aur One Day International Series 2-1 Say Jeeti Thi. Series Kay Last Decider Match Mein Jos Butler Aur Chris Woakes Nay Usay 4 Wickets Say Kamyabi Dilai, Aur Wo Nagin Kay Zehr Say Bach Gaey.
India Nahi Bach Saka, Aik Baar Phir
Laikin Haqeeqat Ye Hay Ke Jo Maza Bangladesh India Ki Is Series Mein Aaya Hay, Kisi Mein Nahi Aaya. Series Kay Pehlay Donon Matches Down The Wire Gaey. Aur Donon Mein Mehidy Hasan Miraz Nay Kamaal Dikhaya. Pehlay Match Mein Last Wicket Par 51 Runs Ki Partnership Nay Dhaka Ka Miracle Kia.
Phir 2nd ODI Mein Bhi Halaat Kuch Waisay Hi Thay. Pehlay Batting Kartay Huay Bangladesh Kay 69 Par Hi 6 Out Ho Gaey They. Yahan Mehidy Hasan Miraz Nay Aik Kamal Century Ki. Inhon Nay Sabit Kia Kay First Match Mein Un Ki Performance Koi Fluke Nahi Tha Balkay Wo Asli Mard-E-Bohran Hain. 7th Wicket Par Mehmudllah Kay Sath Un Ki 48 Runs Ki Partnership Bangladesh Ko 271 Runs Tak Lai Aur Phir India Zakhmi Rohit Sharma Ki 28 Balls 51 Runs Ki Toofani Innings Kay Bawujood Jeet Nahi Paya.
India Tour of Bangladesh 2022 - 2nd ODI
Bangladesh vs India
December 7, 2022
Shere Bangla National Stadium, Mirpur, Bangladesh
Result: Bangladesh 5 Runs Say Jeet Gaya
BAN | 271-7 | |
---|---|---|
Mehidy Hasan Miraz | 100 (83) | |
Mahmudllah | 77 (96) |
IND Bowling | O | M | R | W |
---|---|---|---|---|
Washington Sundar | 10 | 0 | 37 | 3 |
Umran Malik | 10 | 2 | 58 | 2 |
IND | (T:272) | 266-9 |
---|---|---|
Shreyas Iyer | 82 (102) | |
Axar Patel | 56 (56) |
BAN Bowling | O | M | R | W |
---|---|---|---|---|
Ebadot Hossain | 10 | 0 | 45 | 3 |
Shakib Al Hasan | 10 | 1 | 39 | 2 |
To Upsets Sirf FIFA World Cup Mein Hi Nahi Ho Rahay, Cricket World Bhi Shocking Results Lanay Ki Apni Koshish Kar Rahi Hay. Bus Ab Dekhna Ye Hay Ke India Clean Sweep Say Bach Pata Hay Ye Nahi.