New Zealand Nay Bangladesh Ko 48 Runs Say Hara Kar Tri-Series Say Bahar Kar Dia Hay, Yani Jis Series Ka Naam Hi Bangla Wash Tri-Series Tha, Us Main Sub Say Pehlay Khud Bangladesh Hi Wash Ho Gaya.

Christchurch Main Honay Walay Is Important Match Main New Zealand Nay Wicket Keeper Devon Conway Kay 40 Balls 64 Aur Aakhir Main Glenn Phillips Ki 24 Ball 60 Runs Ki fast-paced Innings Ki Madad Say 208 Runs Banaey. Jo Bangladesh Ki Puhanch Say Buhat Ziada Thay.

New Zealand Innings Kay Shuroo Main Martin Guptill Aur Conway Nay 54 Balls Par 82 Runs Ki Partnership Ki. Laikin Match Wahan Say Bangladesh Ki Grip Say Nikal Gaya, Jab Glenn Phillips Kay Ballay Say Runs Ka Toofan Nikalna Shuroo Ho Gaya. Unhon Nay James Neesham Kay Sath Mil Kar Aakhir Main Sirf 18 Balls Par 42 Runs Ka Izafa Kia. Is Main Say Bhi 36 Runs Phillips Kay Thay.

Big Chase Main Captain Shakib Al Hasan Kay Siwa Bangladesh Ka Koi Batsman Us Tarah Perform Nahi Kar Saka, Jaisay Karna Chahiye Tha. Yahan Tak Ke 20 Overs Pooray Ho Gaey Aur Runs Banay Only 160. Shakib Nay 44 Ball 70 Runs Banaey, Laikin Team Ko Jitwa Nahi Sakay.

Bangladesh Is Say Pehlay Pakistan Aur New Zealand Kay Hathon Pervious Matches Bhi Haar Chuka Tha. Yani Ab Final Say Pehlay Series Ka Last Pak-Bangla Match Aik ‘Dead Rubber’ Hoga. Agar Bangladesh Wo Bhi Haar Gaya To Series Say Khali Hath Jaey Ga.

Tri-Series Ka Final Friday 14th October Ko Christchurch Main Hi Pakistan Aur New Zealand Ka Darmian Khela Jaey Ga.

شیئر

جواب لکھیں