Argentina FIFA World Cup 2022 Kay Final Mein Hay, Jahan Wo Apna 3rd Title Jeetnay Ki Koshish Karay Ga. La albiceleste Nay Apna Pehla World Cup 1978 Mein Jeeta Tha, Aur Kya Aap Jantay Hain Ke Is Kamyabi Kay Peechay Pakistan Hockey Ka Bara Kirdar Tha? Shayad Aap Ko Yaqeen Na Aa Raha Ho, Laikin Haqeeqat Yahi Hay Ke Tab Argentinian Football Aur Pakistan Hockey Team Kay Style Of Play Mein Aik Strong Resemblance Thi.

Argentina Nay Pakistan Hockey Team Say Inspiration Laiker Kaisay Apna Pehla World Cup Jeeta? Yeh Qissa Bara Hi Dilchasp Hai. Ye Pakistan Hockey Ka Argentinian Football Par Aisa Ahsaan Hai, Aur Is Pakistan Argentina Connection Ka Buhat Kam Logon Ko Pata Hay.

1978, Hockey Aur Football World Cup Ka Saal

Actually Pakistan Hockey Team Nay 1978 Mein Khela Gaya 4th Hockey World Cup Jeeta Tha. Aur Ye World Cup Kahan Khela Gaya Tha? Jee Haan! Argentina Main. Jab Pakistan Kay 'Shaheen' Argentinian Sarzameen Par Apnay Saray Matches Jeet Kar World Champion Banay To Hairan Honay Walon Mein Argentina Football Kay Head Coach César Luis Menotti Bhi Thay. April Mein Pakistan Ko Apnay Mulk Main Champion Banta Dekhnay Kay Baad Un Ki Aik Hi Khwahish Thi. As A Host Argentina Ko FIFA World Cup Jitwana.

Menotti Ko Pakistan Hockey Ki Game Philosophy Nay Bara Bara Inspire Kia. Aur Phir Argentinian Football Team Waisay Hi Kheli, Jaisay Pakistani Team Hockey Field Par Khelti Thi.

1978 FIFA World Cup Main Argentina Nay Netherlands Ko 3-1 Say Shikast Di Thi. Aur Home Ground Par Champion Ban'nay Wali 5th Team Bana Tha.

Pakistan Hockey Ki Strategy Thi Kya?

Pakistan Ki Hockey Team Ka Combination Yeh Hota Tha Kay Agar Right Side Say Attack Hota Tou Forward Kay Sath Center Line Say Bhi Player Right Side Per Shift Hojata. Us Kay Sath Defender Bhi Right Per Ajata Aur Passing Lines Ko Cover Kar liya Jata. Menotti Nay Yeh Technique Observe Kar Kay Apni Team Kay Liye Adapt Ki. Aur Argentina Pehli Bar World Champion Bana.

Tab Pakistan Hockey Kay Coach Abdul Waheed Khan Thay. Wo Former Olympian Bhi Thay, Balkay 1960 Kay Rome Olympics Main Gold Medal Jeetnay Wali Team Ka Bhi Hissa Thay.

Menotti Nay FIFA World Cup Jeetnay Kay Baad Waheed Khan Ko Letter Likh Ker Acknowledge Bhi Kia Tha Kai Yeh Title Hasil Kernay Main Aap Kay Style Of Play Ka Bara Kirdar Hay.

شیئر

جواب لکھیں