Lionel Messi Ki Umar Ab 35 Saal Hay. Ab To Un Say Expect Bhi Nahi Kia Jata Ke Ball Un Kay Paas Aaey Gi To Wo Toofani Speed Say Niklain Gay Aur Opponent Ka Defence Torrtay Huay Aisa Goal Karain Gay Ke Dunya Hairan Reh Jaey Gi. Ab Wo Purana Messi Kahan?

Laikin World Cup 2022 Kay 1st Semi Final Mein Hamain Kuch Dekhnay Ko Mila, A Moment Of Magic!

Penalty Par Score Aur 2nd Goal Mein Assist Karnay Kay Baad Lag Raha Tha Messi Ki Umar Achanak 35 Say 21 Saal Ho Gai Hay. 69th Minute Mein Halfway Line Par Unhain Aik Pass Mila Aur Phir Laga Pairon Mein Bijli Bhar Gai Hay. Control Ball Par Aur Nazar Opponent Kay Qadmon Par, Messi Bhagay, Ghoomay, Phiray, Dodge Diay Aur Phir Box Mein Enter Ho Gaey. Kis Shair Ki Aamad Hay!

Ab Koi Dhakka, Koi Shirt Tugging, Koi Foul Play Messi Ko Rok Nahi Paya Aur Phir Unhon Nay Julian Alvarez Ko "Wo" Perfect Paas Dia, Jis Kay Kuch Seconds Baad Ball Phir Croatia Kay Goal Mein Thi. Score 3-0 Aur Match Khatam!

Messi Ka Jadu Aik Tareekh Raqam Kar Gaya Aur Sath Hi Record Book Mein Buhat Si Tabdeelian Bhi Kar Deen.

Messi Top Scorer

34th Minute Mein Argentina Nay Penalty Par Pehla Goal Score Kia Tha. Captain Lionel Messi Ki ‘Goli’ Shoot Dominik Livakovic Jaisay Goalkeeper Ko Bhi Dhoka Day Gai. Argentina Ko Aisi Lead Mili Ke Croatia Phir Match Mein Wapis Nahi Aa Saka.

Is Kay Sath Hi FIFA World Cup 2022 Mein Messi Kay Goals Ka Count 5 Ho Gaya Hay. Yani Top Scorer French Kylian Mbappe Kay Barabar.

Semi Final Mein Kiay Gaey Goal Nay Messi Ko World Cup Ki History Mein Argentina Kay Liay Sab Say Zyada Goal Karnay Wala Bhi Bana Dia. Unhon Nay 11 Goals Karkay Gabriel Batistuta Ka 10 Goals Ka Record Torra Hay.

Is Goal Kay Sath Messi Hi World Cup Kay All Time Scorers Mein Bhi 6th Number Par Aa Gaey Hain. Germany Kay Miroslav Klose 16, Brazil Kay ‘Asli Tay WaddayRonaldo 15, Germany Hi Kay Gerd Muller 14, France Kay Just Fontaine 13, Brazilian Legend Pele 12 Messi Say Aagay Hain, Jabke Germany Kay Jürgen Klinsmann And Hungary Kay Mighty Magyars Team Ka Hissa Rehnay Walay Sandor Kocsis 11,11 Goals Kay Sath Messi Kay Barabar Kharay Hain.

Sab Say Zyada Matches

Croatia Kay Against Semi Final Messi Ka 25th World Cup Match Tha. Youn Wo Germany Kay Lothar Matthaus Ka Sab Say Zyada World Cup Matches Khelnay Ka Record Barabar Kar Chukay Hain. Sunday Ko FIFA World Cup 2022 Ka Final Khel Kar Ye Record Bhi Messi Ko Mil Jaey Ga.

Knockout Ki Naak Out!

Lionel Messi Nay FIFA World Cup 2022 Ki Knockout Stage Mein Har Match Mein Score Kia Hay. Australia Kay Against Round Of 16, Phir Netherlands Kay Khilaf Quarter Final Aur Ab Semi Final Mein Bhi. Mazay Ki Baat Ye Hay Ke Is Say Pehlay Unhon Nay Kabhi Kisi World Cup Ki Knockout Stage Mein Koi Goal Nahi Kia Tha.

Yaad Rahay Ke Messi 2006 Say Ab Tak Har FIFA World Cup Khelay Hain Aur 2014 Mein To Final Tak Bhi Puhanchay Thay. Tab Germany Samnay Aa Gaya, Jis Nay Extra Time Mein Match Jeet Kar Messi Ka Khwab Poora Nahi Honay Dia. Kya Wo Is Baar Is Adhooray Khwab Ki Ta'beer Hasil Kar Payen Gay?

شیئر

جواب لکھیں