FIFA World Cup 2022 Mein Ye Argentina Ka Din Tha. Pehlay Us Ka Archrival Brazil Croatia Kay Hathon Shocking Defeat Kay Sath Tournament Say Bahar Hua Aur Phir Kuch Dair Baad Wo Netherlands Kay Hathon Haartay Haartay Penalty Shootouts Par Jeet Gaya.

Youn Lionel Messi Ka World Cup Dream Zinda Hay, Laikin Neymar Ka Khwab Toot Chuka. 5 Martaba Ka World Champion Brazil Last 5 World Cup Tournaments Mein 4th Martaba Quarterfinals Mein Hi Haar Gaya.

Waisay FIFA World Cup 2022 Mein Ye Din Hi Kamaal Ka Tha. Aik Kay Baad Doosra Shandaar Muqabla. Aisay Matches Ke Shayad Future Mein ‘Greatest Ever Football Matches’ Mein Shumar Hon.

Pehlay Hua Brazil Aur Croatia Ka Muqabla, Balkay Ye Kahain Ke Behtar Hoga Brazil Aur Croatian Goalkeeper Dominik Livaković Ka Aamna Samna. Second Half Kay Start Mein Unhon Nay Jis Tarah Own Goal Bachaya Aur Phir 66th Minute Mein Neymar Kay Attack Par Ball Net Main Nahi Janay Di, Wo Kamal Tha. Laikin Un Ka Asal Jadu Nazar Aaya Penalty Shootouts Mein.

Goal of the Tournament?

Khair, Us Say Pehlay Match 0-0 Say Barabar Rehnay Kay Baad Extra Time Mein Gaya, Jahan Neymar Nay FIFA World Cup 2022 Kay Best Goals Mein Say Aik Kia. Box Kay Bahar Ball Paqueta Kay Sath One Two Kartay Huay Apna Pass Wapis Lia Aur Phir Aik Croatian Defender Kay Block Ko Roka Aur Keeper Ko Peechay Chortay Huay Aik Buhat Tight Angle Say Goal Kardia. Youn Wo Legend Pele Ka Brazil Kay Liay 77 Goals Karnay Ka Record Barabar Kar Gaey.

Lagta Tha Croatia Ki Kahani Khatam Ho Gai. Laikin Picture Abhi Baqi Thi. Croatia Aik Do Attacks Mein Samajh Chuka Tha Ke Brazilian Defence Ab Thak Chuka Hay. Phir 116th Minute Mein Bruno Petković Nay Score Kar Kay Match Barabar Kardia.

Kuch Dair Pehlay Jo Log Social Media Par Luka Modrić Ko Alvida Keh Rahay Thay, Unhain Andaza Hi Nahi Tha Ke Aagay Honay Walay Kya Hay?

Brazil vs Green Wall

Match Penalty Shootouts Par Gaya, Jahan Croatia Ki ‘Green Wall’ Livaković Nay Kam Kar Dikhaya. Pehli Shoot Par Lead Croatia Ko Mili, Jis Kay Baad Livaković Nay Brazil Ki Pehli Kick Rok Di, Bilkul Waisay Hi Jaisay Round Of 16 Mein Japan Kay Khilaf Roki Thi. Aik Taraf Croatian Players Aik Kay Baad Doosri Shoot Goal Mein Convert Kartay Rahay To Doosri Taraf Brazil Phansta Chala Gaya. Yahan Tak Ke 4th Shoot Par Marquinhos Pressure Bardasht Na Kar Sakay. Un Ki Shoot Goal Post Say Lag Kar Wapis Aa Gai Aur Brazil Bahar Ho Gaya. Jo Impossible Lagta Tha, Wo Possible Ho Gaya.

Old Rivalry Phir Zinda

Is Shandaar Muqablay Kay Kuch Hi Dair Baad Hua Argentina vs Netherlands Quarterfinal. Aisa Muqabla Jo Apni Aik Bitter History Rakhta Hay. Match Mein Argentina Nay 35th Minute Mein Lead Hasil Ki Jab Messi Kay Zabardast Assist Par Nahuel Molina Nay Goal Score Kia. Phir 71st Mein Muft Ki Penalty Par Khud Messi Bhi GOal Kar Gaey Aur Argentina Ki Lead 2-0 Ho Gai. Yani Wohi Halaat Thay Brazil-Croatia Match Walay. Wahan To Chalain Brazil Ko Aik Goal Ki Lead Thi, Yahan To Oranje 2 Goals Peechay Thay.

Palat Kar Rakh Dia

Phir Match Nay Palta Khaya 83rd Minute Mein Jis Mein Wout Weghorst Kay Header Nay Argentinian Lead Ko Kam Kia. Kuchh Hi Dair Mein Match Stoppage Time Mein Dakhil Ho Gaya, Jis Kay Bilkul Last Minute Kay Last Seconds Mein Netherlands Nay Freekick Par Aik ‘Cheeky’ Goal Kardia.

Ye Teun Koopmeiners Thay Jinhon Nay Seedhi Freekick Lainay Kay Bajaey Usay Wall Kay Sath Kharay Wout Weghorst  Ki Taraf Bhej Dia, Jinhon Nay Aik Aur Goal Kardia. Argentina Shocked, Netherlands Rocked!

Extra Time Mein Donon Teams Nay Bari Koshish Ki Laikin Koi Score Na Kar Saka. Argentina Ki Aik Hit To Goalpost Say Takra Kar Wapis Aai, Yahan Tak Ke Extra Time Bhi Poora Ho Gaya Aur Aik Aur Match Gaya Penalty Shootouts Mein.

Aik Aur Penalty Shootout

Yahan Netherlands Kay Sath Wohi Hua Jo Kuch Dair Pehlay Brazil Kay Sath Hua Tha. Argentinean Goalkeeper Emiliano Martínez Nay Aik Nahi Balkay Pehli Donon Dutch Shoot Rok Deen. Jabkay First 3 Shoots Mein Argentina Nay Teenon Goals Kiay, Aur Netherlands Sirf 1 Shoot Ko Goal Mein Convert Kar Saka. Match Ka Faisla Phir Bhi Final Shoot Par Hua Jis Par Lautaro Martines Nay Score Kar Kay Argentina Ko Semifinal Mein Puhancha Dia.

Match Ki Aik Khaas Baat Thi Is Mein Pesh Kia Gaya Rough Khel. Shayad Us Rivalry Ki Waja Say Jo 1978 Kay World Cup Say Chal Rahi Hay. Match Mein 8 Argentinean Aur 6 Dutch Players Ko Yellow Card Dikhaey Gaey. Netherlands Kay Denzel Dumfries Nay 2 Yellows Red Card Liay, Youn Red Card Kay Haqdar Theray.

To Ab 1st Semifinal To Tay Ho Chuka Hay Jo 14th December Ko Argentina Aur Croatia Kay Darmyan Hoga. Yani Argentina-Brazil Epic Semifinal Ka Sapna Toot Chuka Hay. Khair, Baqi 2 Quarterfinals Aaj Saturday Ko Hon Gay, Jin Mein Morocco Portugal Say Khelay Ga Aur ‘Historic Rivals’ England Aur France Aamnay Samnay Hongay. Jeetnay Wali Teams 15th December Ko Second Semi Mein Takrayen Gi.

شیئر

جواب لکھیں