FIFA World Cup 2022 Ab Apni Peak Par Puhanch Chuka Hay. 56 Matches Kay Baad Ab Quarterfinals Ki Stage Shuru Ho Rahi Hay, Jis Mein Dunya Ki 8 Best Teams Aik Doosray Ka Muqabla Karain Gi. Is Stage Tak Puhanchnay Kay Liay Sab Nay Bari Mehnat Ki Hay Laikin Kuch Individuals Nay To Kamaal Kia Hay. Brazil Say Lay Kar Saudi Arabia Tak Kuch Teams Kay Players Nay Aisay Goals Kiay Hain Jo Saalon Tak Yaad Rakhay Jaen Gay. Aayen Dekhtay Hain FIFA World Cup 2022 Best Goals!
5. Vincent Aboubakar – Cameroon vs Serbia
Cameroon vs Serbia Match Ka To Start Hi Jandaar Tha. First Half Mein Donon Teams Nay Kai Tries Keen, Jin Kay Baad Lead Cameroon Nay Li, Jo Serbia Kay Consecutive 2 Goals Nay Khatam Kardi. Second Half Mein Serbia 3-1 Say Aagay Tha, Jab 64th Minute Mein Hamain Jadu Dekhnay Ko Mila.
Aboubakar Ko Half Kay Qareeb Aik Long Pass Mila, Wo Uncertain Thay Kyunke Unhain Lag Raha Tha Ke Wo Offside Hain. Laikin Wo Aagay Barhtay Raha Aur Aik Defender Ko Beat Karnay Kay Baad Jab Serbian Goalkeeper Bilkul Un Kay Samnay Aa Gaey. Yahan Aboubakar Nay Ball Ko Chip Karkay Un Kay Ooper Say Nikaal Dia. Ball Aik Tappa Khanay Kay Baad Net Mein Chali Gai. Referee Nay VAR Par Isay Goal Qarar Dia, Aur World Cup Ka Best Goal Bana Dia.
4. Luis Chavez – Mexico vs Saudi Arabia
Mexico Consecutive 7 World Cup Tournaments Kay Baad Pehli Baad Round Of 16 Mein Nahi Puhanch Saka. Luis Chavez Ka “Wo” Goal Bhi Us Kay Liay Kafi Sabit Nahi Hua Jo Unhon Nay Saudi Arabia Kay Khilaf Kia Tha. Match Kay 52nd Minute Mein Mexico Ko Aik Free-Kick Mili. Saudi Goal 32 Meters Door Tha, Laikin Chavez Ki Powerful Kick Kay Liay Bilkul Nahi. Unhon Nay Aisa Goal Kia Ke Jitni Baar Dekhain Dil Nahi Bharta.
3. Enzo Fernandez – Argentina vs Mexico
Argentina Aur Mexico Ka Match Buhat Important Tha. Isi Liay Spanish Bolnay Walay Mulkon Mein Ye History Mein Sab Say Zyada Dekha Janay Wala Match Bana. Phir Is Match Mein Bhi Hamain Aik Magic Moment Dekhnay Ko Mila, Jab 87th Minute Mein Enzo Farnendez Nay Aik Kamaal Goal Kia. Aap Bhi Dekhain:
2. Richarlison - Brazil vs Serbia

Brazil Kay Richarlison Ko July Mein English Premier League Kay Club Tottenham Hotspurs Nay 60 Million British Pound Mein Khareeda Tha, Aur FIFA World Cup Mein Serbia Kay Against Match Mein Unhon Nay Sabit Kia Ke Wo Is Kay Haqdaar Hain. Ye Match Ka 73rd Minute Tha Jis Mein Unhain Vinicius Jr. Ka Paas Mila, Laikin Ball Un Say Sanbhli Nahi, Flick Hui Laikin Is Say Pehlay Kay Control Say Bahar Ho Jati, Richarlison Nay Wo Kia Jisay Dekh Kar Ab Bhi Hairat Hoti Hay. Unhon Nay Bicycle Kick Par Aisa Goal Kia Ke Sub Hairan Reh Gaey.
1. Salem Aldawsari – Saudi Arabia vs Argentina
Ab Akhir Mein Wo Historical Goal, Jis Nay Sab Kuch Badal Dia. Saudi Arabia Kay Hathon Argentina Ki Shikast Koi Choti Moti Baat Nahi, Balkay Isay Tareekh Ka Sab Say Bara Upset Kaha Ja Raha Hay. Aur Ye Upset Kia The Hamari Nazar Mein ‘Goal Of The Tournament’ Nay. Salem Aldawsari Nay Match Kay 53rd Minute Mein 4 Argentinian Players Ko Beat Ka Kay Ye Goal Kia. Aik Aisa Goal Jo Hamesha Yaad Rakha Jaey Ga.