Thanay (Police Station) Aur Kachehri (Court) Se Allah Bachaye.

Aap Ne Aksar Logon Ko Ye Dua Mangtay Suna Ho Ga. Halan Ke Thana Aur Kachehri Dono Insaf Aur Tahaffuz Ki Jagah Hain, Phir Pakistani In Se Khauf Kiun Khatay Hain? Is Ki Wajah Wo Personal Ya Kisi Jananay Walay Ke Wo Experiences Hain Jo Police Station Aur Court Of Law Main Hotay Hay. Yehi Wajah Hay Ke Pakistan Main Insaaf Ke Ye Idaray Sab Se Daghdar Samjhay Jatay Hain. Transparency International (TI) Ke Latest Annual Survey Main Bhi Yehi Samnay Aaya Hay.

Pakistan Police Corruption and Torture
Sab Se Zyada Corrupt Kaun? 1

National Corruption Perception Survey 2022 Ke Key Points

Transparency International Pakistan Ne National Corruption Perception Survey 2022 (NCPS) Ka Data Release Kiya Hay. Survey Ke Mutabiq National Level Per Police Ko Sab Se Corrupt Sector Perceive Kiya Jata Hay. Second Number Per Tendering And Contracting, Teesray Number Per Judiciary Aur Fourth Per Education Sector Sab Se Corrupt Samjhay Jatay Hain.

Police Department Ko Last Year Ke Survey Main Bhi Awam Ne Sab Se Corrupt Qarar Diya Tha.

Province Ke Lehaz Se Baat Karen Tou Sindh Main Education Sector Ko Most Corrupt Perceive Kiya Jata Hay, Police Second Number Aur Tendering And Contracting 3rd Number Per Hain.

Punjab Main Corruption Perception Main Police Ka Pehla Number Raha, Tendering And Contracting Second Aur Judiciary 3rd Per Rahi.

Khyber Pakhtunkhwa Ke Shehri Judiciary Ko Sab Se Corrupt Sector Samjhtay Hain. Yehan Tendering And Contracting Second Aur Police Ka Teesra Number Raha.

Balochistan Ke Awam Samjhtay Hain Ke Tendering And Contracting Main Sab Se Zyada Corruption Hoti Hay. Police Ka Dusra Aur Judiciary Ka Teesra Number Hay.

Le Ke Rishwat Phans Gaya Hay, De Ke Rishwat Chhoot Ja

Pakistan Main Aik Aam Perception Ye Bi Hay Ke Corruption Ki Rok Tham Krnay Walay Departments Khud Corrupt Hain. Anti-Corruption Department Ko 'Aunty Corruption' Kaha Jata Hay. NAB, National Accountability Bureau Ke Bajaye 'National Accomplice Bureau' Samjha Jata Hay. Transparency International Ke Taza Survey Main Bhi Awam Ne Aisi Hi Raye Di Hay. National Level Per 45% Afrad Ne Kaha Ke Anti-Graft Ke Institution Mulk Main Corruption Roknay Main “Ineffective” Hain.

Sindh Main 65% Log Samjhtay Hain Ke National Accountability Bureau (NAB) Corruption Se Larnay Main Ineffective Hay. KP Main 61% Afrad Ka Khayal Hay Ke Koi Bhi Anti-Corruption Institution Apna Kaam Durst Tor Per Nahi Kar Raha. Balochistan Main In Idaron Per Adam Aitimad Karnay Walon Ki Taadad 58% Aur Punjab Main 31% Hay.

Survey Main Logon Ka Kehna Tha Ke National Level Per Corruption Ke 3 Most Important Causes Corruption Cases Main “Delayed Decisions” (31%), Governments Ka Institutes Ko Apnay Mafaad Ke Liye Istemal Karna (26%) Aur Government Incompetence (19%) Hain.

Data Ke Mutabiq 33% Pakistani Samjhtay Hain Ke Corruption Ko Roknay Ke Liye Is Crime Ki Punishment Life Imprisonment Honi Chahiye.

28% Pakistanion Ka Khayal Hay Ke Tamam Government Officials, Politicians, Military Officers Aaur Judges Ko Apnay Assets Public Main Disclose Karnay Chhiyen. 25% Ka Kehna Hay Ke Corruption Cases Ki Hearing Anti-Corruption Courts, NAB Aur Federal Investigation Agency (FIA) Main Daily Basis Per Honi Chahiye Aur Us Ka Decision 6 Months Main Aa Jana Chahiye.

Lack Of Transparency, Information

Survey Main Kaha Gaya Hay Ke 77% Pakistani Ko Shikwa Kartay Hain Ke Right To Information Laws Ke Bawajood Unhen Public Bodies Se Information Hasil Karnay Main Difficulties Ka Samna Karna Parta Hay.

Is Ki Sab Se Zyada Shikayat Sindh(87%) Ke Logon Ne Ki. Punjab Main 83%, KP Main 71% Aur Balochistan Main 68% Afrad Ne Bhi In Khayalat Ka Izhar Kiya.

66% Pakistani Kehtay Hain Ke Government Ne Unki Complaints Ko Redress Karnay Ke Liye Koi Corrective Action Nahi Liya. Provincial Level Per Sindh Ke 57%, Punjab Ke 70%, KP Ke 70% Aur Balochistan Ke 67% Afrad Ko Shikwa Hay Ke Government Un Ki Complaints Per Koi Action Nahi Leti.

Survey Ke Mutabiq 70% Pakistani Samajhtay Hain Ke Recent Floods Main Funds/Aid Transparently Distribute Nahi Huye.

Survey Main Kaha Gaya Hay Ke 64% Pakistani Samjhtay Hain Ke International Monetary Fund (IMF) Se Agreement Ka Pakistan Ko Koi Faida Nahi Hua.

Isi Tarah 54% Pakistanion Ki Raaye Hay Ke Mulk Main News Channels Ki Reporting Biased Hay. Province Ke Lehaz Se Is Main Bara Farq Nazar Aata Hay. KP Ke 61% Aur Balochistan Ke 53% Afrad News Channels Ki Reporting Ko Unbiased Samjhtay Hain. Jabkay Sindh Ke 72% Aur Punjab Ke 59% Afrad Ka Khayal Is Ke Ulat Hay.

شیئر

جواب لکھیں