Donald Trump Ko America Ki History Kay Aggressive Presidents Kay Toar Per Jana Jata Hay. Unhonay Bator US President Apnay Statements Aur Actions Say Americans Samait Dunya Bhar Main Leaders Ko Hairan Keya. Donald Trump Dobara American President Banay Ka Khuwab Daikh Rahay Hain.
Florida Club Main Apnay Supporters Say Khitab Kertay Hoay Former US President Donald Trump Nay 2024 Kay US Elections Main Hissa Lainay Ka Ilan Kia. Unhonay Election Campaign Kay Liye Federal Election Commission Main Paperwork Bhi Filed Kerdia Hay.
Pitchlay Elections Main, Joe Biden Kay Hathon Shikshat Ka Zakham Trump Nahi Bholay. Trump Ki Taraf Say Presidential Race Main Hissa Lenay Kay Ilan Kay Baad Bhi Bauhat Imtehan Baqi Hain.
Trump Ka Yeh Faisla, US Kai Future, Government Making Aur Sab Say Barh Ker, Electoral System Ki Azmaish Bhi Hoga.
President Joe Biden Ki Taraf Say Abhi Tak, 2024 Kay Elections Main Hissa Lenay Ya Na Lenay Kay Hawalay Say Koi Faisla Zahir Nahi Kia Gaya Hay. Taham Ager Trump Kay Muqablay Main Biden Agaei Tou Yeh 2020 Kay Elections Ka “Re-Match” Sabit Hoga.
US Elections 2024 Say Pehlay, Trump Ko Republican Party Kay Primary Process Say Guzarna Hoga. Yeh Dekhna Eham Hai Kai Unko Apni Party Say, Kaunsa Candidate Challenge Ker Sakta Hay. Florida Kay Governor Ron DeSantis Nay America Mid Term Elections Main Kamiyabi Hasil Ki Hay. Trump Kay Himayat-Yafta Candidates in Elections Main Haar Chukay Hain. Taham Yeh Abhi Wazah Nahi Hoa Hay Kay Trump Ko DeSantis Primaries Main Challenge Kerain Gay Ya Nahi.
Ager Republicans Ki Primaries Ko Cross Kertay Hoay, Trump Presidential Candidate Ban Bhi Gaei, Tou Dekhna Yeh Hoga Kay Kia Woh Waqi US Elections Mai Jeet Saktay Hain? Is Waqt Trump Aur Biden Ki Approval Ratings 40% Kai Darmiyan Hain.
Abhi In Elections Main 2 Saal Ka Waqt Baqi Hai. Us Say Pehlay, US Politics Main Tabediliyan Asakti Hain. Biden Ki Policies Per Trump Ki Tanqeed Ka Silsila Shuru Hochuka Hay. Un honay Biden Kay Verbal Misstatements Per Tanqeed Ki Hay Aur Kaha Hay Kay Joe Biden Mulk Ko Nuclear War Ki Taraf Lai Jarahay Hain.
Trump 1st Term Vs Exptected 2nd Term
Ager Trump Dosri Bar America Ka President Elect Hojatay Hain Tou Un Kay 2nd Term Ko 1st Term Ki Tarhan Samjhna Ghalti Hogi.
Trump Nay 1st Term Main Ziada Tar Republican Establishment Ki Taraf Say Select Kiye Gaey Candidates Ko Eham Appointments Dein. In Candidates Ya Important Leaders Nay Trump Ki Shadeed Mukhalfat Kay Bawajoud, Un Ki Corrupt Practices Ko Control Kernay Ki Koshish Ki. Ab Trump Ka Inhizar Ziada Tar Apnay Un Advisors Ki Taraf Hai Jo Liberal Democracy Main Ziada Interest Nahi Rakhtay, Iss Liye Khayal Yeh Kiya Jaraha Hay Kay Trump President Ban Ker Ziada Sakht Faisalay Kersaktay Hain.
Trump Aik Zakhmi Sher Hai
US Presidential Elections 2020 Main Shikast Manay Say Donald Trump Nay Inkar Kerdia Tha. 6 January 2021 Ko US Capitol Per Attack Kay Bad Umeed Ki Jarahi Thei Kay Donald Trump Policties Say Kinara Kashi Ikhteyat Kerlain Gae.
Senate Impeachment Trial Main Ager Trump Ko Mujrim Qarar Dai Diya Jata Tou Woh Kisi Bhi Federal Office Kay Liye Mustaqbil Main Haqdar Nahi Hotay.
Mager Aisa Hoa Nahi, February 2021 Main Senate Kay Republicans Senators Nay Trump Kay Haq Main Faisaly Diya.
Trump Nay Us Waqt Kaha Kay Woh US Elections Kay Process Main “Cheating” Ko Khatam Kerwaein Gay, Same Day Voting Aur Paper Ballots Ka Nizam Aei Ga.
Is Kay Bad Say Trump Ko Republic Party Main Dobara Influence Mila, Taham Un Kay Himayat-Yafta Kai Candidates Ko Mid Term Elections Main Shikast Hoi.
Trump Nay Apni Aik Recent Speech Main Yeh Admit Bhi Kiya Kay Republican Party Ko Jab Iqtidar Mila Tou Us Ko Acha Perform Kerna Chaheye Tha Mager Aisa Nahe Hoa, Aur Yeh Ilzam Durast Hay.
Trump Kay Liye Mumkina Mushkilat
Republican Aur Democrate Parties Main Trump Kai Mukhalifin Samajtay Hain Kay Trump Ki Rah Main Legal Problems Bhi Aein Gi.
Federal Prosecutors Investigation Ker Rahay Hain Kay Kia Trump Nay Power Main Rehnay Kay Liye Laws Ki Khilafwarzi Ki. Yeh Bhi Investigation Ki Jarahi Hai Kay Kia Trump Nay Iqtidar Say Alag Honay Kay Bad, Classified Information (Khufia Malomat) Ka Na-Jaiz Istemal Kia.
Georgia (State) Main Prosecutors Is Bat Ki Investigation Ker Rahay Hain Kai Kia Trump Nay Electoral Votes Apnay Haq Main Rakhnay Kay Liye Illegal Koshish Ki.
Iss Kai Ilawa, Newyork Attorney General Ki Taraf Say Civil Law Suit Bhi Trump Kay Karobar Kay Hawalay Say File Ki Gai Hay.
Trump Kay Liye Dobara President Banay Asaan Nahi Hoga. Ager Woh Tamam Marahil Tai Kertay Hoay President Ban Jatay Hain, Tou Woh American History Main Pehlay President Hongay Jo Dou Nonconsecutive Terms Main White House Aei Hon. Iss Kay Liye Americans Ko Mazeed 2 Saal Intezar Kerna Hoga.