Aaj Kal Har Taraf Imran Khan Ki Ghari Ka Charcha Hay. Jo Unhen Tohfay Main Mili Thi Aur Unhon Ne Tosha Khana Se Kharid Kar Bech Di Thi. Daawa Kiya Ja Ja Raha Hay Ke Saudi Crown Prince Ki Janib Se Di Gayi Ghari Aur Dusray Tohfon Ke Set Ki Qeemat 12 Million Dollars Hay. JIs Main Sirf Ghari Ki Qeemat 5-6 Million Dollars Se Zyada Hay. Graff Company Ki Makkah Edition Watch Ka Sirf Aik Hi Piece Tayyar Kiya Gaya Tha.
Halan Ke Ab Company Ke Dealer Ne Aik Video Main Wazeh Kar Diya Hay Ke Ghari 2019 Main 2 Lakh 50 Hazar Dollar Main Bechi Gayi Thi.
Imran Khan Ki Janib Se Bechi Gayi Ghari Ki Qeemat Ka Pata Chal Gaya. Lekin 2 Lakh 50 Hazar Ki Ghari Tou Kuch Bhi Nahi. Dunya Main Is Qadar Mehngi Gharian Bhi Hain Jin Ki Qeemat Sun Kar Hi Hosh Urr Jatay Hain. Aaiye Dekhtay Hain Dunya Ki Kuch Mehngi Tareen Gahrian Konsi Hain.
7. Patek Philippe Henry Graves Supercomplication: $26 million
Ye Ghari 1932 Main America Ke Aik Dolatmand Banker Henry Graves Ke Liye Banayi Gayi Thi. Patek Philippe Company Ko Ye Gold Pocket Watch Banany Main 7 Saal Ka Arsa Laga Tha. Kynune Us Zamanay Main Computer Ki Calculation Ke Bajaye Sara Kaam Karigaron Ki Mahart Se Hota Tha.
11th November 2014 Ko Geneva Main Sotheby’s Ke Neelam Ghar Main Aik Namloom Shaks Ne Ye Tareekhi Ghari 26 Million Dollar Ki Kharidi Thi.
6. Chopard 201-Carat: $25 million
Swiss Company Chopard Ki Banayi Gayi Is Khubsurat Watch Main 874 Heeray Lagay Hain. Jin Ka Majmoi Wazn 201 Carats Hay. Isi Liye Ise 201 Carats Ka Naam Diya Gaya Hay. Is Main 15 Carat Ke Pink Diamond, 12 Carat Ke Blue Diamond Aur 11 Carat Ke White Diamond Lagay Hain. White Aur Yellow Gold Se Bani Ye Dilkash Ghari Saal 2000 Main Taiyar Ki Gayi Thi.
5. Jaeger-LeCoultre Joaillerie 101 Manchette: $26 million
Agar Aap Ko Pata Chalay Ke Ye Ghari Kis Ke Liye Banayi Gayi Thi Tab Is Ka Andaza Ho Ga Ke Ye Itni Khaas Kyun Hay. Gharion Ke Mumtaz Brand Jaeger-LeCoultre Ne Ye Ghari 2012 Main Queen Elizabeth II Ki Hukmrani Ki 60veen Salgirah Per Un Ke Liye Banayi Thi.
White Gold Se Bani Is Munfarid Ghari Main Khubsurat Heeary Lagaye Gaye Hain.
4. Breguet Grande Complication Marie Antoinette: $30 million
Kaha Jata Hay Ke Ye Ghari France Ki Malika Marie Antoinette Ke Liye Us Ke Mehboob Ne Banwayi Thi. Sonay Se Bnay Is Shahkar Ki Taiyyari Main 40 Saal Ka Arsa Laga Magar 1827 Main Jab Ghari Tayyar Hui Tou Us Se Pehle Hi France Main Inqilab Aa chukka Tha Aur Malika Ko 1793 Main Phansi De Di Gayi Thi. 1900 Ki Dahai Main Ye Ghari Chori Ho Gayi Thi Lekin Baad Main Bazyab Kar Li Gayi. Aaj Kal Ye Ghari France Ke L.A Mayer Museaum Main Hay Aur Is Ki Qeemat 30 Million Dollar Rakhi Gayi Hay.
3. Patek Philippe Grandmaster Chime Ref. 6300A-010: $31 million
Agar Aap 31 Million Dollar Ki Ghari Khareed Saktay Hain Tou Aap Ke Liye Aaik Achi Khabar Hay Ke Aap Ko Aik KI Qeemat Main 2 Gharian Milen Gi, Almost. Asal Main Is Timepiece Main 2 Dial Hain. 1 Samnay Aur 1 Peechay.
Ye Patek Philippe Ki Ab Tak Ki Sab Se Mehngi Watch Hay. Is Main 5 Mukhtalif Chime Mode Hain. White Gold Se Tayyar Ki Gai Ye Ghari November 2019 Main Geneva Ke Christie’s Neelam Ghar Mian Farokht Ki Gayi Thi.
2. Graff Diamonds The Fascination: $40 million
British Jeweler Company Graff Dunya Ke Mashoor Tareen Heeray Istemal Karnay Ke Liye Shohrat Rakhti Hay. 2015 Main Banai Gayi Fascination Ghari Apnay Naam Ki Tarah Fascinating Hay. Is Ghari Main 152.96 Carat Ke Heeray Jarray Hain. Jabkaty Darmiyan Main 38 Carat Ka Nashpati Ki Shakl Ka Dial Diya Gaya Hay Jo Anguthi Ki Tarah Bhi Pehna Ja Sakta Hay. Yani Aik Ticket Main Double Mazay. Shandar Sufaid Heeron Se Saji Ye Ghari Kisi Bhi Khatoon Ka Khwab Ho Sakti Hay.
1. Graff Diamonds Hallucination: $55 Million
Dunya Ki Mehngi Tareen Ghari Ka Aizaz Bhi Graff Jewelers Ke Masterpiece Ko Hasil Hay. Is Main Mukhtalif Rangon Ke Heeray Lagay Hain Jin Ka Wazn 110 Carat Hay. Halucination Apni Qeemat Se Hi Nahi Apnay Naam Se Bhi Hosh Ura Deti Hay. Platinum Ke Braclet Per Dilkash Andaz Main Jarray Heeron Ke Darmiyan Nanha Munna Dial Waqt Batata Hay. 2014 Main Farokht Ke Liye Pesh Ki Gayi Ghari Designers, Gemologist Aur Mahireen Ki Kai Hazar Ghanton Ki Mehnat Se Tayyar Ki Gayi Hay. 55 Million Dollars Ko Pakistani Rupon Main Dekhen Tou Ye Taqreeban 12 Arab 24 Crore Rupay Ban