Twitter Ke Naye Malik Elon Musk Ne America Ke Sabiq Sadar Donald Trump Ka Twitter Account Bahal Kar Diya. Elon Musk Ne Trump Ke Account Ki Bahali Ke Liye Aik Twitter Per On Line Poll Karaya Tha. Poll Main 15 Million Se Zyada Logon Ne Hissa Liya. 51.8% Logon Ne Trump Ke Haq Main Vote Diya.
Dunya Ke Ameer Tareen Shaksh Elon Musk Ne October Main 44 Billion Dollar Ki Deal Ke Baad Twitter Ka Control Sanbhala Tha. Unhon Ne Twitter Ka Malik Bannay Se Pehlay Bhi Aisay Isharay Diye Thay Ke Wo Kai Logon Ka Account Bahal Kar Saktay Hain.
Elon Musk Ne Trump Ke Account Ki Bahali Ke Liye Poll Shuru Kiya Tou Aik Latin Muhawra Likha “Vox Populi, Vox Dei” Yani Zaban-e-Khalq Ko Naqara-e-Khuda Samjho.
Poll Main 7,814,267 Logon Ne Trump Ke Account Ki Bahali Ke Liye Vite Diya Jab Ke 7,271,190 Logon Ne Is Ki Mukhalfat Ki.
Poll Ke Baad Elon Musk Ne Tweet Kiya Logon Ne Apna Faisla Suna Diya Hay. Trump Ka Account Bahal Kar Diya Jaye Ga. Musk Ne Dobara Wohi Latin Muhawara Bhi Likha. “Vox Populi, Vox Dei”
Trump Ke Account Per Pabandi Kyun Lagi Thi.
Trump Ka Account Twitter Ki Sabiq Intezamia Ne 6 January 2021 Ko Washington DC Main Capitol Per Hamlay Ke Kuch Din Baad Suspend Kar Diya Gaya Tha. Sabiq Twitter Intezamia Ne Un Per Tashadud Ko Hawa Denay Ka Ilzam Lagaya Tha. Trump Ne Twitter Ke Zariye Baar Baar Dawa Kiya Tha Ke Nov 2020 Main Un Ki Shikaskt Dhandli Se Hui Aur Wo Election Result Tasleem Nahi Kartay.
6 January Ko Trump Ke Hazaron Hami Capitol Per Hamla Awar Ho Gaye Thay. Jahan US Congress Presidential Election Main Joe Biden Ki Jeet Ko Certify Karnay Ja Rahi Thi. Us Din Hungama Arai Main 4 Shehri Aur Aik Police Officer Halak Ho Gaya Tha.
Hungama Arai Ke Kuch Hi Din Ke Andar Donald Trump Ka Facebook, Instagram Aur Youtube Account Bhi Suspend Kar Diya Gaya Tha. Har Platform Per Un Ke Lakhon Follower Thay. Pabandi Ke Waqt Twitter Per Un Ke 88.8 Million Follwer Thay.
Kai Mahinon Ke Baad Donald Trump Ne Apna Social Media Platform ‘Truth Social’ Ke Naam Se launch Kiya Tha.
Kya Donlad Trump Dobara Twitter Per Active Hon Ge?
Elon Musk Ne Tou Trump Ka Twitter Account Bahal Kar Diya Lekin Trump Shayad Wapas Is Platform Ka Rukh Na Karen. Kuch Din Pehlay Sawal Hua Tou Un Ka Kehna Tha Ke Mujhay Is Ki Koi Wajah Nazar Nahi Aati.
Taham Jab Musk Ne Twitter Poll Ka Aaghaz Kiya Tou Trump Ko Us Ki Ehmiyat Pata Thi. Sabiq American Sadar Ne Truth Social Per Apnay Followers Se Kaha Ke Wo Twitter Poll Main Bharpoor Hissa Lain Lekin Fikra Na Karen, Hum Kahin Nahi Ja Rahay. Truth Social Bohat Special Hay.
Is Se Sawal Uthta Hay Ke Agar Trum Twitter Dobara Join Nahi Karna Chahtay Tou Unhon Ne Apnay Hamion Ko Vote Dalnay Ka Kyun Kaha?
Trump Ke Shash o Panj Ki Wajah Shayad Ye Bhi Hay Ke Twitter Ke Muqablay Main Truth Social Ke Sarfeen Ki Taadad Bohat Kam Hay. September Main Sirf 92,000 Logon Ne Truth Social App Download Ki, Jabakay Is Arsay Main Twitter App 15 Million Baar Download Ki Gayi. Truth Social Ab Tak Sirf America Main Dastyab Hay Jabkay Twitter Ke User Puri Dunya Main Phelay Hain.
Yani Twitter Per Donald Trump Ko Apni Baat Zyada Logon Tak Pohnchanay Ka Mauqa Milta Hay, Lekin Dusri Taraf Truth Social Se Un Ke Maali Mafad Wabsata Hain Jo Trump Media & Technology Group Ki Milkiyat Hay. Agar Trump Twitter Per Aa Gaye Tou Truth Social Ka Mustaqbil Khatray Main Parr Jaye Ga.
Yehi Waja Hay Ke Twitter Account Ki Bahali Per Trump Ki Janib Se Bohat Zyada Josh o Kharosh Dekhne Main Nahi Aaya. Lekin Ho Sakta Hay Jald Wo Siyasi Mafadat Ke Liye Apnay Maali Mafadat Pas-e-Pusht Daalnay Per Aamada Ho Jayen. Kyunke Chand Din Pehlay Republican Party Ne Ailan Kiya Hay Ke 2024 Ke Presidential Election Main Donald Trump Un Ke Umeedwar Hon Ge.