Football Ki International Governing Body FIFA Ke Sadar Gianni Infantino Ne Qatar Par Tanqeed Karne Walay European Mulkon Ko Shut up Call Day Di. Kaha Europe Ko Qatar Ki Mezbani Par Tanqeed Nahi Karni Chahiye. European Mulkon Ko To Khud Apni History Par Muafi Mangni Chahiye.

Wo FIFA World Cupp 2022 Ke Iftitah Se Pehlay Press Conference Kar Rahay Thay. Gianni Infantino Ne Qatar Par Tanqeed Ko European Mulkon Ki Munafqat Qarar Dete Huye Kaha Ke Wo Mumalik Kisi Ko Ikhlaqi Lecture Dainay Ki Position Mein Nahi Hain.

Eurpoe Ko Qatar Per Kiya Aitrazat Hain?

Mashriq-e-Wusta Ke Chhootay Se Mulk Qatar Ko Ghair Mulki Karkunon Se Mubayyana Bad Sulooki Aur LGBT Ke Mutaliq Ravayye Par European Rehnuma Tanqeed Ka Nishana Bana Rahay Hain. Qatar Ki Janib Se Stadium Mein Sharab Ki Farokht Par Pabandi Ke Ain Waqt Par Elaan Par Bhi Liberal Tabqa Barham Hay.

Taham Gianni Infantino Ne Qatar Ki Himayat Kartay Huye Kaha Ke Kisi Ko Lecture Dainay Se Pehlay Jo Kuch European Mulk 3,000 Saal Se Dunya Bhar Mein Kar Ray Rahay Hain. Is Par To Unhen Aglay 3,000 Saal Tak Muafi Maangni Chahiye.

Unhon Ne Kaha Ke Kitney Maghribi Ya European Idaray Hain Jo Qatar Mein Karobar Kar Ke Millions, Bulkay Billions Dollar Kama Rahay Hain.Un Mein Se Kitney Idaron Ne Ghair Mulki Mazduron Ke Huqooq Ka Muamla Muqami Hukkaam Ke Sath Uthaya. Kisi Ne Nahi, Kyunkay Agar Is Par Qanoon Saazi Ho Jati To Un Ka Munafa Kam Ho Jata.

Hum Ne Yeh Muamla Uthaya Aur Isi Liye FIFA Ko Qatar Mein Un Idaron Ke Muqablay Mein Bohat Kam Amdan Hui Hai.

Gianni Infantino Ka Kehna Tha Ke Aaj Mein Khud Ko Qatri Mehsoos Kar Raha Hun, Khud Ko Arab Mehsoos Kar Raha Hun, Khud Ko African Mehsoos Kar Raha Hun. Khud Ko Gay Mehsoos Kar Raha Hun, Khud Ko Maazoor Mehsoos Kar Raha Hun. Khud Ko Ghair Mulki Mazdoor Mehsoos Kar Raha Hun.
Of Course Mein Qatri Nahi Hun, Arab Nahi Hun, African Nahi Hun, Gay Nahi Hun, Maazoor Nahi Hun. Lekin Mein Un Ki Terhan Mehsoos Karta Hun Kyunkay Mujhe Pata Hai Ke Discrimination Kya Hoti Hai. Kisi Ghair Mulk Mein Ghair Mulki Ko Kis Terhan Sataya Jata Hai.

Mujhe Bhi Bachpan Mein Sataya Jata Tha. Kyunkay Mere Baal Surkh Thay Aur Chehray Par Jhaaiyan Theen Aur Mein Italian Tha. Aap Tasawwur Kar Satke Hain.

Is Soorat Mein Aap Kya Karte Hain. Aap Un Mein Ghulne Milnay Ki Koshish Karte Hain. Dost Banatay Hain. Aap Ilzaam Nahi Dete. Jhagra Nahi Karte, Be Izzati Nahi Karte Balkay Mil Jul Kar Rehne Ki Koshish Karte Hain. Yahan Bhi Hum Ko Yahi Karna Chahiye.

FIFA Ke Cheif Ka Kehna Tha Ke Woh Qatar World Cupp Mein Security Ke Hawalay Se Puri Tarhan Mutmain Hain.

Qatar World Cup 2022 Ka Aaghaz Aaj Se Ho Gaya Hay. Is World Cup Ko Dunya Ka Sab Se Mehnga Tareen Event Qarar Diya Ja Raha Hay. Jis Ke Silsilay Main Qatar Ne 220 Arab Dollar Kharch Kiye Hain.

Umeed Ki Ja Rahi Hay Ke World Cup Muqablon Ki Nasharyat Dunya Bhar Main 5 Arab Se Zyada Log Dekhen Ge. Jabkay 10 Lakh Se Zyada Afrad Ye Muqablay Dekhne Qatar Aa Rahay Hain.

شیئر

جواب لکھیں