Football World Cup Ho Ya Duniya Ka Doosra Koi Bara Mega Event, Maslan Olympics, Cricket World Cup Ya Hockey World Cup. Dunya Ke Har Mulk Ki Khwahish Hoti Hai Ke Usay Mezbani Mil Jaye.

Barson Balkay Dahaiyon Pehlay Darkhwasten Di Jati Hain. Faisla Saaz Body Ko Har Tarah Ki Yaqeen Dehani Karai Jati Hai Ke Hum Barray Achay Andaaz Mein Ye Event Karayen Ge. Khilarion Aur Tamashaiyon Ko Security Aur Tamam Sahulaten Faraham Karen Ge.

Magar International Olympics Committee, FIFA, ICC Waghera Event Ki Mezbani Dainay Ke Liye Kisi Mulk Ki Maali Hesiyat, Wahan Ke Infrastructure Aur Security Soorat-e-Haal Ko Mad-e-Nazar Rakhtay Hain. Ziyada Tar Yeh Aizaz Ameer Mulkon Hi Ke Hissay Mein Aata Hai.

FIFA World Cup 2022 Ki Mezbani Qatar Ko Di Gayi Hai. Umeed Ki Jarahi Hai Ke Is Event Ki Transmission Dunya Bhar Mein 5 Arab Se Ziyada Afraad Dekhen Ge. Jabkay 10 Lakh Se Ziyada Log Qatar Aa Kar In Muqablon Se Lutf Andoz Hon Ge.

Match Ke Ticket, Merchandise Ki Sale, Sponsorship Aur Tourism Ke Saath Aise Event Main Beshumar Daulat Kharch Hoti Hay.

Magar Kya Mezban Mulk Ko Is Event Se Koi Maali Faaida Bhi Hota Hay? Is Ka Mukhtasir Jawab Hay, Nahi.

World Cup Ke Muqablay Jis Mulk Mein Hotay Hain Woh Tayarion, Infrastructure, Hotlon Ki Taamer Waghera Par Arbon Dollar Kharch Karte Hain. Magar Is Ka Return Unhein Maali Faiday Ki Soorat Mein Nahi Milta.

Maslan Russia Mein Honay Walay Football World Cup Ke Nashriyati Haqooq 4.6 Arab Dollar Mein Farokht Huye. Magar Yeh Raqam FIFA Ke Paas Gayi. Isi Tarah Tickets Ki Farokht Se Haasil Honay  Walay Taqreeban 1 Arab Dollar Ki Raqam Bhi FIFA Ko Mili.

FIFA Mezban Mulk Ko Sirf Bunyadi Ikhrajaat, Jis Mein Khilarion Aur Officials Ke Rehne Aur Safar Ka Kharcha Shaamil Hota Hai, Aur Prize Money Deta Hai. Is World Cup Mein FIFA Ko 6.5 Arab Dollar Ki Amdan Mutawaqqa Hai Magar Woh Qatar Ko Sirf 1.7 Arab Dollar Day Ga. Jis Mein 440 Million Dollar Ki Prize Money Bhi Shaamil Hai.

Mega Event Foot Ball World Cup 2022, Qatar World Cup
Mega Event Karwanay Ka Koi Faida Bhi Hay? 1

Doosri Janib Qatar Ne Rail Network Ki Taamer, Sarkon Ki Upgradation, Hotels Aur Deegar Sahulaton Ki Taamer Par 200 Arab Dollar Se Ziyada Kharch Kar Diye Hain.

10 Lakh Se Ziyada Afraad Ki Aamad Se Mulk Mein Sayahati Sargarmian Barhti Hain. Hotles Waghera Ki Sale Mein Bhi Izafah Hota Hai Magar Itni Barri Tadaad Mein Sayahon Ke Rehne Ke Intizam Ke Liye Jo Tameeraat Karni Parti Hain Is Ke Akhrajaat Sayahon Ki Taraf Se Kharch Ki Gayi Raqam Se Kahin Ziyada Hotay Hain.


Short Term Mein Kis Ka Faida Hota Hai?

World Economic Forum Ki Aik Report Mein Kaha Gaya Hai Ke Aisay Event Ke Dauran Hotel Ke Kamron Ki Qeematen To Barh Jati Hain Lekin Mulazmeen Ki Amdan Mein Itna Izafa Nahi Hota. Yani Asal Faida Sarmaya-Kar Ko Hota Hai. Jis Ke Paas Paisa Hai Woh Mazeed Paisa Banata Hai, Jis Ke Paas Paisa Nahi Woh Haath Malta Reh Jata Hai.

Is Ke Ilawa World Cup Ke Dauran Aanay Walay Sayah Jo FIFA Ke Brand Partners Se Samaan Khareedtay Hain Is Ka Bhi Mezban Mulk Ko Tax Mein Koi Faida Nahi Hota. Kyunkay World Cup Ki Mezbani Ki Conditions Mein Ye Tax Chhoot Shamil Hoti Hain. Germany Ne 2006 Ke World Cup Mein 272 Million Dollar Ki Tax Chhoot Di Thi.

Isi Tarah Mega Event Ke Dauran Doosray Sayah Is Mulk Se Door Rehtay Hain Taakay Woh World Cup Ke Rush Aur Is Dauran Honay Wali Aarzi Mehengai Se Bach Sakain. Qatar Ne Tou Pehlay Ye Pabandi Lagayi Thi Ke Aisay Log Jin Ke Paas Ticket Na Hon Wo 1st November Se Mulk Main Dakhil Nahi Ho Saktay, Lekin Baad Main Ye Pabandi Utha Li Gayi.

Phir World Cup Hosting Se Milta Kya Hay?

Short Term Mein Football World Cup Ki Mezbani Faiday Ka Sauda Nahi. Lekin Har Cheez Nafa Nuqsaan Ke Tarazu Mein Nahi Toli Jati.

World Cup Jaisay Event Ki Mezbani Apni Muashi Taaqat Ka Pur-Waqar Izhaar Samjhi Jati Hai. Duniya Ko Us Mulk Ke Baray Mein Jan'nay Ka Mauqa Milta Hai. Logon Ki Dilchaspi Us Mulk Ke Muta'liq Barh Jati Hai. Sarmaya Karon Aur Idaron Ko Pata Chalta Hai Ke Infrastructure Mein Behtari Ke Baad Wahan Sarmaya Kari Ya Business Kitna Ziyada Aasan Hua Hai.

Isi Tarah Infrastructure Aur Sahulaton Ki Tameer Par Jo Kharch Kiye Gaye Hain Agar Un Ka Munasib Intizam Kya Jaye, To Long Term Mein Woh Mulk Ki Economy Mein Izafay Ka Baa'is Bantay Hain. Nai Sarkain Aur Tansport Project Ke Faiday World Cup Ki Teamon Aur Sayahon Ke Chalay Janay Ke Baad Bhi Barqarar Rehtay Hain.

Baray Sports Event Samaji Tafreeq Ko Khatam Karte Hain Aur Logon Ko Qareeb Laatay Hain. 2018 Ke Winter Olympics Mein North Aur South Korea Aik Hi Parcham Ke Saaye Taley Shareek Huye Thay. Isi Tarah Aisay Event Se Bachon Aur Naujawanon Mein Sports Ka Shoq Peda Hota Hai Jis Se Us Mulk Ke Healthcare System Ko Faida Pohnchta Hai.

Yani World Cup Ya Kisi Mega Event Ki Mezbani Daulat Kamanay Se Ziyada Izzat, Shohrat Aur Musarrat Kamanay Ka Mauqa Hota Hai.

شیئر

جواب لکھیں